Monday, September 09, 2024

Zikr ya Quran ki tilawat ke dauraan baat karna kaisa hai?

 Zikr ya Quran ki tilawat ke dauraan baat karna kaisa hai?


Sawaal:

Assalamoalaikum Warahmatullahi Wabarakatuhu

Umar Bhai,

Mera sawaal ye hai ke kuch log douran-e- zikr ya koi dua ya quran ki tilawat kartey waqt jab tak apney par ya kisi par dum na kar letey hai jab tak khamoosh rehtey hai , agar unse koi zaroori baat karni ho to ishareey se baat kartey hai.


kya aisa karna sunnat se sabit hai, ya douran-e-zikr,dua,tilawat(quran) baat bhi ki ja sakti hai.

baraiye meharbani iski wadahat kijiye.

Jazakallahu khairan


Jawaab:

Walaikum Assalam Warehmatullahi Wabarakatuhu

Quran ki tilawat ke waqt agar zaroorat hai to baat karne mein koyi harj nahi hai. Lekin agar zaroorat na ho to baat na karna afzal hai. Yeh shaikh Ibn e Baaz Rahimahullah ka fatwa hai. Mazeed yahan dekhen.


Rahi baat koyi zikr kar rahe hon ya kisi par dam kar rahe hain to us waqt bhi zaroorat ke waqt baat ki jaa sakti hai. Kiunki mumani'at ki koyi daleel maujood nahi.

واللہ اعلم بالصواب

No comments:

Post a Comment

Important Massage To All Readers

Galati Insaan Se Hi Hoti Hai

Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wabarakatuhu  Bismillahirrehmanirraheem  Galati Insaan Se Hi Hoti Hai. Or Hum Se Bhi Galati Ka Imkaan ...