Monday, September 09, 2024

 بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ


Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ke aqeeqe se milaad ka saboot?



Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah 


Barelwi hazraat ek baatil riwayat se daleel pakadte huwe yeh kehte hain ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne apni paidaish ki khushi mein janwar zabah kiya tha.

Riwayat is tarah se hai:

عَنْ أَنَسٍ أَنَّ النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ عَقَّ عَنْ نَفْسِهِ بَعْدَ النُّبُوَّةِ

Tarjumah: Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne apna aqeeqa nabuwwat ke baad kiya.

(Al-Awsat Lit-Tabarani: 1/529, Abdurrazzaq: 4/329)

* Imam Baihaqi Rahimahullah ne kaha yeh hadees Munkar hai.

* Imam Nawawi Rahimahullah ne Baihaqi ki riwayat «عن عبد الله بن محرر بالحاء المهملة والراء المكررة عن قتادة عن أنس» wali riwayat ko baatil qarar diya hai.

(Sharah Al-Muhazzab: 8/330)

* Imam Ahmed Rahimahullah ne Baihaqi ki riwayat «عبد الله بن محرر عن أنس» wali riwayat ko Munkar qarar diya hai.


Goya aqeeqa wali riwayat istedlaal ke qabil hi nahi hai to phir kaise istedlaal kiya jayega?

Agar thori der ke liye is riwayat ko Sahih maan bhi len to kya aqeeqa se Melaad manana saabit ho sakta hai, kahan aqeeqa aur us ke Masnoon aamaal aur kahan Melaad aur us ki Bidaat?

Agar aise hi khane peene se aqeeqa saabit kiya jaye to insaan ka 24 ghante khana peena sab Melaad hi kehlayega.

Ta'ajjub hai yeh barelwi deen ke saath kis tarah khilwad karte hain aur logon ko bewaqoof banate phirte hain. Allah Taala inhein hidaayat de.

No comments:

Post a Comment

Important Massage To All Readers

Galati Insaan Se Hi Hoti Hai

Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wabarakatuhu  Bismillahirrehmanirraheem  Galati Insaan Se Hi Hoti Hai. Or Hum Se Bhi Galati Ka Imkaan ...