•بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ•
Imam Ke Peeche Bhi Surah Fatiha Padhna Waajib Hai
Prepared By: Umar Asari
Daleel No: ❶
عَنْ عُبَادَةَ بْنِ الصَّامِتِ، أَنّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: لَا صَلَاةَ لِمَنْ لَمْ يَقْرَأْ بِفَاتِحَةِ الْكِتَابِ
Tarjumah: Ubadah bin Saamit Radhiallahu Anhu se riwayat hai ke Rasoolulllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya, jis shakhs ne Surah Fatiha na padhi us ki namaz nahi hue.
(Sahih Bukhari: 756)
Yeh Hadees apne matlab mein waazeh hai ki koi bhi Namaz Surah Fatiha ke baghair durust nahi hogi.
Imam Bukhari Rahimahullah ne apni Sahih mein is Hadees par is tarah baab qaaim kiya hai:
بَابُ: وُجُوبِ الْقِرَاءَةِ لِلإِمَامِ وَالْمَأْمُومِ فِي الصَّلَوَاتِ كُلِّهَا فِي الْحَضَرِ وَالسَّفَرِ وَمَا يُجْهَرُ فِيهَا وَمَا يُخَافَتُ
Tarjumah: Baab: Imam aur Muqtadi ke liye qirat ka waajib hona, hazar aur safar har haalat mein, sirri aur jehri sab namaazon mein.
Imam ibn e Abul Barr “At-Tamheed: 11/43” mein farmaate hain:
Yeh Hadees aam hai. Is mein Imam ya Muqtadi ya akele Namazi ke liye takhsees nahi hai balki sab ke liye hukm hai.
Al-Kirmani Bukhari ki sharah jild: 5 page: 124 mein hai:
Is Hadees mein daleel hai ki tamaam Namazon mein chaahe Imam ho ya Muqtadi ho ya akele sab par Surah Fatiha padhna farz hai.
Isi tarah Qastalaani sharah ul Bukhari mein bhi hai.
Daleel No: ❷
عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ ، عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: مَنْ صَلَّى صَلَاةً لَمْ يَقْرَأْ فِيهَا بِأُمِّ الْقُرْآنِ فَهِيَ خِدَاجٌ -ثَلَاثًا - غَيْرُ تَمَامٍ، فَقِيلَ لِأَبِي هُرَيْرَةَ : إِنَّا نَكُونُ وَرَاءَ الْإِمَامِ، فَقَالَ: اقْرَأْ بِهَا فِي نَفْسِكَ، فَإِنِّي سَمِعْتُ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَقُولُ: قَالَ اللَّهُ تَعَالَى: قَسَمْتُ الصَّلَاةَ بَيْنِي وَبَيْنَ عَبْدِي نِصْفَيْنِ وَلِعَبْدِي مَا سَأَلَ، فَإِذَا قَالَ الْعَبْدُ: {الْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ}، قَالَ اللَّهُ تَعَالَى : حَمِدَنِي عَبْدِي. وَإِذَا قَالَ: {الرَّحْمَنِ الرَّحِيمِ}، قَالَ اللَّهُ تَعَالَى: أَثْنَى عَلَيَّ عَبْدِي. وَإِذَا قَالَ: {مَالِكِ يَوْمِ الدِّينِ}، قَالَ: مَجَّدَنِي عَبْدِي. وَقَالَ مَرَّةً: فَوَّضَ إِلَيَّ عَبْدِي. فَإِذَا قَالَ {إِيَّاكَ نَعْبُدُ وَإِيَّاكَ نَسْتَعِينُ}، قَالَ: هَذَا بَيْنِي وَبَيْنَ عَبْدِي وَلِعَبْدِي مَا سَأَلَ. فَإِذَا قَالَ: {اهْدِنَا الصِّرَاطَ الْمُسْتَقِيمَ} {صِرَاطَ الَّذِينَ أَنْعَمْتَ عَلَيْهِمْ غَيْرِ الْمَغْضُوبِ عَلَيْهِمْ وَلَا الضَّالِّينَ}، قَالَ : هَذَا لِعَبْدِي وَلِعَبْدِي مَا سَأَلَ
Tarjumah: Abu Hurairah Radhiallahu Anhu ka bayan hai ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya: “Jis ne namaz mein Surah Fatiha nahi padhi to us ki namaz poori nahi hue balke us ki namaz naaqis rahi.” Yeh jumla Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne teen baar irshaad farmaaya. Logon ne poocha ke jab hum imam ke peeche hon to kya karen? Abu Hurairah Radhiallahu Anhu ne jawaaban kaha: Us waqt tum log aahista Surah Fatiha padh liya karo. Kiunki main ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ko Allah Azza wa Jal ka yeh qaul farmaate suna hai: “Namaz mere aur mere bande ke darmiyaan aadhi aadhi taqseem ho chuki hai. Aur mera bandah jo sawaal karta hai woh poora kiya jaata hai. Jab koi shakhs «الْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ» kehta hai to Allah Azza wa Jal farmaata hai: Mere bande ne meri tareef ki. Aur namazi jab «الرَّحْمَنِ الرَّحِيمِ» kehta hai to Allah Taala farmaata hai ke mere bandah ne meri tauseef ki. Aur namazi jab «مَالِكِ يَوْمِ الدِّينِ» kehta hai to Allah Azza wa Jal farmaata hai mere bande ne meri buzurgi bayan ki aur yun bhi kehta hai ke mere bande ne apne sab kaam mere supurd kar diye hain. Aur namazi jab «إِيَّاكَ نَعْبُدُ وَإِيَّاكَ نَسْتَعِينُ» padhta hai to Allah Azza wa Jal farmaata hai yeh mere aur mere bande ka darmiyaani muaamla hai mera bandah jo sawaal karega woh us ko milega. Phir jab namazi apni namaz mein «اهْدِنَا الصِّرَاطَ الْمُسْتَقِيمَ¤ صِرَاطَ الَّذِينَ أَنْعَمْتَ عَلَيْهِمْ غَيْرِ الْمَغْضُوبِ عَلَيْهِمْ وَلَا الضَّالِّينَ» padhta hai to Allah Taala jawaab deta hai ke yeh sab mere is bande ke liye hai aur yeh jo kuch talab karega woh use diya jaaye ga.”
(Sahih Muslim: 395)
Hafiz ibn e Abdul Barr “Al-Istezkaar: 6/167,168” mein likhte hain:
Abu Hurairah Radhiallahu Anhu se marwi is Hadees se fiqhi masla nikalta hai ki har Namaz mein Surah Fatiha padhna farz hai aur jis Namaz mein surah fatiha nahi padhi gayi woh naaqis o faasid hai. Agarche Surah Fatiha ke alawah kitna hi Quran kiun na padha gaya ho. Aur yahi matlab “Khidaaj” ka hai jaise kehte hain «اخدجت الناقة» yani oontni ne waqt poora hone se pehle kachcha hamal gira diya. Aur un logon ka yeh khayaal ghalat hai jo kehte hain ki na-mukammal Namaz adhoori hone ke baawjood ho jaayegi. Yeh ghalat aur faasid faisla hai kiunki tehqeeq ke mutaabiq kami waali soorat mein Namaz mukammal na hogi aur jo Namaz mukammal nahi woh jaaiz kaise thehri? Aur jo aadmi Namaz ke mukammal karne se pehle us se nikal jaaye to us par haqq hai ki woh dobaarah mukammal Namaz padhe jaise usko hukm diya gaya hai. Jo shakhs iqraar karta hai ki faatiha ke baghair Namaz naaqis hai phir bhi dawa karta hai ki woh Namaz jaaiz hai to is par usko daleel deni chaahiye jis ke baghair koi doosra raasta nahi.
Is Hadees mein alfaaz hain:
مَنْ صَلَّى صَلَاةً، لَمْ يَقْرَأْ فِيهَا بِأُمِّ الْقُرْآنِ، فَهِيَ خِدَاجٌ
Yani jis ne bhi Namaz padhi aur woh koi si bhi namaz ho sab bina Surah Fatiha padhe naaqis aur adhoori hain. Aur yeh hukm aam hai. Imam, Muqtadi, munfarid (akela) sab ke liye hai. Chaahe koi bhi Namaz ho. Jehri ho ya sirri ho sab mein Surah Fatiha padhna zaroori hai. Bina Surah Fatiha ke Namaz nahi hogi.
Hadees ki riwayat karne waale Sahabi Hazrat Abu Hurairah Radhiallahu Anhu ne khud yahi mafhoom samjha hai. Jab un se Imam ke peeche Surah Fatiha padhne ke mutalliq sawaal huwa to unho ne kaha ki Imam ke peeche bhi Surah Fatiha padhi jaayegi. Jaisa ki upar Hadees is baat par daleel hai.
Ab woh log ghaur karen jo Muqtadi ko Surah Fatiha padhne se rokte hain. Itni waazeh Ahadees ki khilaafwarzi karte huwe unko darna chahiye.
Iske alawah kayi Ahadees aur Asaar is par dalaalat karte hain. Agar sab ko zikr karne lagun to poori ek kitaab tayyaar ho jaayegi.
Allama Syed Abu Muhammed Badi'uddin Rahimahullah ki kitaab Fatiha Khalfal Imam se Makhooz.
No comments:
Post a Comment