Ahl e imaan logon ke mehboob hote hain
Written by: Abdul Ghaffar Salafi, Banaras
Imaan aur amal e saleh insaan ko sirf akhirat mein hi faida nahi dete balki in se duniya mein bhi be shumaar khair o barkaat haasil hoti hain. Jo log husn e amal ki doulat se malaamaal hote hain woh Allah ke bhi mehboob hote hain aur Allah ke bandon ke bhi. Un ka zikr zameen waalon mein bhi hota hain aur aasman waalon mein bhi. Allah Taala Surah Maryam mein farmata hai:
إِنَّ الَّذِينَ آمَنُوا وَعَمِلُوا الصَّالِحَاتِ سَيَجْعَلُ لَهُمُ الرَّحْمَٰنُ وُدًّا
Tarjumah: Beshak jo imaan laaye hain aur jinhon ne nek aamaal kiye hain un ke liye Allah rehman mohabbat paida kar dega.
(Surah Maryam: 96)
Is aayat e karimah ki mazeed wazahat ke liye ek Hadees e Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam dekhen. Allah ke pyare Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam farmate hain:
إِذَا أَحَبَّ اللَّهُ الْعَبْدَ نَادَى جِبْرِيلَ : إِنَّ اللَّهَ يُحِبُّ فُلَانًا فَأَحْبِبْهُ. فَيُحِبُّهُ جِبْرِيلُ. فَيُنَادِي جِبْرِيلُ فِي أَهْلِ السَّمَاءِ : إِنَّ اللَّهَ يُحِبُّ فُلَانًا فَأَحِبُّوهُ. فَيُحِبُّهُ أَهْلُ السَّمَاءِ، ثُمَّ يُوضَعُ لَهُ الْقَبُولُ فِي الْأَرْضِ
Tarjumah: Jab Allah Ta’ala kisi bande se mohabbat karta hai to Jibrael Alaihissalam se farmaata hai ke Allah Ta’ala falaan shakhs se mohabbat karta hai. Tum bhi us se mohabbat rakho, chunanche Jibrael Alaihissalam bhi us se mohabbat rakhne lagte hain. Phir Jibrael Alaihissalam tamaam ahl-e-aasman ko pukaar dete hain ke Allah Ta’ala falaan shakhs se mohabbat rakhta hai. Is liye tum sab log us se mohabbat rakho, chunanche tamaam aasman waale us se mohabbat rakhne lagte hain. Us ke baad roo-e-zameen waale bhi us ko maqbool samajhte hain.
(Sahih Bukhari: 3209)
Aslaaf ki seeraten (biographies) padhiye to un ki zindagiyon mein yeh cheez hamein kasrat ke saath dekhne ko milti hai. Kitne hi ulama aur aimma aise guzre hain ke bade bade badshahon aur hukmraanon ko woh maqbooliyat aur logon ki mohabbat na mil saki jo unhein mili. Wajah sirf aur sirf un ka ilm, taqwa aur husn e amal tha. Yeh Allah waale boriya nasheen (simple life guzarne wale) the, duniya ka aish o aaraam unhein chhoo kar bhi na guzra tha, rookha sookha kha kar tang kothriyon mein raha karte the magar maqbooliyat aur mohabbat ka yeh aalam tha ke mehlon mein rehne waale bhi un par rashk kiya karte the, log un ki zindagiyon mein bhi aur un ki maut ke baad bhi unhein yaad kiya karte the.
Aaj hum logon ki nazar mein achcha ban'ne ke liye na jaane kitne jatan karte hain, jhooti tareefon ka sahara lete hain, chaploosi ki rahein ikhtiyar karte hain, woh karte hain jo log chaahte hain. Kash hum yeh haqeeqat samajhte ke haqeeqi maqbooliyat tab milegi jab hum apne Rabb ko raazi karenge.
No comments:
Post a Comment