Sone se pehle ayat-al-kursi 3 baar padhna
Sawaal:
Assalamualaikum
Soone(sleeping) se phele 1 martaba ayat-al-kursi padhne se ek farishta nahil hota hai raat me hamari hifazath ke liye
2 martaba padhne se 2 farishte nahil hotey hai hifazath ke liye
3 martaba padhne se allah farishtoon se khete hain ke is ki hifazat kudh my (allah) karunga.
Toh kya aa sahih hai ya ghuti riwayat hai?
Jawaab:
Walaikum Assalam Warehmatullahi Wabarakatuhu
Raat Mein Sone Se Pahle Ayat al Kursi ke mutalliq bukhari me hadees milti hai wo kuch is tarah hai:
إِذَا أَوَيْتَ إِلَى فِرَاشِكَ فَاقْرَأْ آيَةَ الْكُرْسِيِّ {اللَّهُ لاَ إِلَهَ إِلاَّ هُوَ الْحَىُّ الْقَيُّومُ} حَتَّى تَخْتِمَ الآيَةَ، فَإِنَّكَ لَنْ يَزَالَ عَلَيْكَ مِنَ اللَّهِ حَافِظٌ وَلاَ يَقْرَبَنَّكَ شَيْطَانٌ حَتَّى تُصْبِحَ
Tarjumah: Jab Tum Apne Bistar Par Letne Lago Toh Ayat al Kursi { اللَّهُ لاَ إِلَهَ إِلاَّ هُوَ الْحَیُّ الْقَيُّومُ}اللَّهُ لاَ إِلَهَ إِلاَّ هُوَ الْحَىُّ الْقَيُّومُ} Poori Padh Liya Karo. Ek Nigran Farishta Allah Ki Taraf Se Barabar Tumhari Hifazat Karta Rahega Aur Subah Tak Shaitaan Tumhare Paas Nahi Aa Sakega.
(Sahih Bukhari: 2311)
Is Hadees Se Raat Mein Sone Se Pahle Ayat al Kursi Ki Fazeelat Maloom Hue Lekin yaad rahe is riwayat me ye qaid nai hai ki Teen baar padhen.
Ayat al Kursi ke mutalliq mazeed yahan dekhen
والله أعلم بالصواب
No comments:
Post a Comment