Tuesday, September 10, 2024

Jahannam Ke Halaat Aur Darajaat Ke Mutalliq Ek Riwayat Ki Tehqeeq

 Jahannam Ke Halaat Aur Darajaat Ke Mutalliq Ek Riwayat Ki Tehqeeq


Sawaal:

Is riwayat ki tehqeeq chahiye:

Ek Baar Jab Jibrail alaihissalam Nabi kareem ﷺ  k paas aye to Muhammad Sallallahu alaihi wasallam ne dekha k Jibrail kuch pareshan hai, Aapne farmaya Jibrail kya mamla hai k aaj mai aapko ghamzada dekh raha hoo, Jibrail ne arz kiya Aye Mehboob e kul Jahan Aaj mai Allah paak k hukm se Jahannum ka nazara karke aaya hoo isko dekhne se mujh pe ye Gham k Aasaar namodar hoye hai, Huzoor ne farmaya mujhe bhi Jahannum k halaat batao,Jibrail ne Arz kiya k Jahannum k kul Saat (7) darje hai,

In mai jo Subse neeche wala darja hai Allah isme munafiqo ko rakega,

Usse oper wale 6 darje me Allah Mushrik logo ko dalega

5 darje me Allah  Sooraj aur Chand ki parastish karne walo ko Dalega,

4 darje me Allah Aatish parast logo ko dalega,

3 darje me Allah yahood ko dalega aur

2 darje me Esaiyo ko Dalega ye kehkar Jibrail  alaihissalam khamosh ho gaye

To huzoor ne poocha aap khamosh kyu ho gaye mujhe Batao k pehle darje me kon hoga,

Jibrail ne arz kiya aye Allah k Rasool pehle darje me Allah paak aapke Ummat k Gunehgaro ko dalainge Huzoor ye Sunte hi Behad Ghamgeen ho gaye aur aapne Allah se Duayein Karna Shuru ki, Teen din aise guzre k Allah k Mehboob masjid me Namaaz padhne k liye tashreef laate,namaaz padhkar hujre me tashreef le jate aur Darwaza band karke Allah k huzoor ro rokar Faryaad karte. Sahaba pareshan thai k huzoor par ye kaisi kaifiyat taari hoi hai,Masjid se hujre jate hai Ghar bhi tashreef nahi le ja rahe hai. Jab teesra din hoa to Syedna Hazrat Abu bakr رضى الله عنه  se raha nahi gaya wo darwaze pe dastak diye aur Salaam kiya laikin Salaam ka jawaab nahi aaya, Aap rote hoye Syedna Omer رضى الله عنه  k paas aaye aur farmaya maine Salaam kiya laikin Salaam ka jawaab na paya lihaza aap ko ho sakta hai Salaam ka jawaab mil jaye,Aap gaye aur aapne teen baar salaam kiya laikin jawaab na aaya Hazrat omer ne Hazrat Salman Faarsi رضى الله عنه  ko bheja laikin phir bhi jawaab na aaya. Hazrath Salman faarsi ne Hazrath Ali رضى الله عنه ko poora waqiya sunaya Hazrath Ali رضى الله عنه ne Soncha k jab itne Azeem Shakhsiyaat ko salaam ka jawaab na mila to mujhe bhi khud nahi jana chahiye balke Mujhe unki Noor e Nazar Beti Hazrath Fatima (رضى الله عنها) ko andar bhejna chahiye, Lihaza aapne Hazrath Fatima ko sab ehwaal bata diye Aap Hujre k darwaze par aayi, "Abba jaan Assalamu alaikum". Beti aawaz sunkar Mehboob e Kaynaat uthe Darwaza khola aur Salaam ka jawaab diya. Abba jaan aap par kya kaifiyat hai k Teen din se aap yaha tashreef farma hai, Huzoor ne farmaya k Jibrail mujhe aagaah kiya k meri Ummat bhi Jahannum me jayegi, Fatima beti mujhe apni Ummat k Gunehgaro ka Gham khaye ja raha hai aur mai apne malik se duaye kar raha hoo k Allah unko Maaf karde aur Jahannum se bari karde, ye kehkar Sajde me chale gaye, aur Rona shuru kar diya Ya Allah meri Ummat,Ya Allah meri Ummat,Ya Allah meri Ummat k Gunehgaro pe rahem kar unko Jahannum se Azaad kar, k itne me Wahi nazil huyi

وَلَسَوفَ یُعطِیکَ رَبُّکَ فَتَرضَی

“Aye Mere Mehboob Gham na kare mai tum ko itna ata kar doonga k Aap raazi ho jaoge.”

Huzoor Khushi se khil uthe aur Farmaya logo Allah ne mujhse wada kar liya hai k wo Roz e khayamat mujhe meri Ummat k maamle me khoob raazi karega aur mai is waqt tak raazi nahi hoonga jab tak mera Aakhri Ummati bhi Jannat me na chala jaye...

likhte hoye Aankho se aansoo Aa gaye k Hamare Nabi itne Shafeeq aur Gham mehsoos karne wale aur badle me hamne inko kya diya?Aapka ek Second is Tehreer ko doosre logo tak pahunchane ka zariya hai,Meri aapse Guzarish hai k bekaar aur be faida post hum Share karte hai, Aaj apne Nabi ki Rehmat ka pehlu kyu na Share kare

Dua ki Guzarish


Jawaab:

Aap ne jis riwayat ke baare me poocha hai usko hanfi Fiqeeh “Abu al-Lais Samarqandi” ne apni kitaab "Tambeeh ul Ghafileen" meim naqal kiya hai.

Ye buzurg fiqeeh hone ke saath ek qissa'go (qissa kehne wale) wa'iz bhi they, aur isi shauq ko poora karne ke liye wa'az  o Qisas ke topic par ek kitab "Tambeeh ul Ghafileen" bhi likh dali, aur us mein beshumar Be'sar-o-paa riwayaat jama kar di, Ye kitaab qissa'go wa'izeen ka marja e tehqeeq hai, kuch ahle tauheed aur ahle bareli isi ka mawaad apni taqareer me gaa-gaa kar sunaya karte Hain. Aur agar is ke mutalliq sawal karo to bigad jaate hain..

Aap ki poochi gai riwayat bhi unhin mein se ek lambi riwayat hai, jis ko bagair kisi sanad aur hawale ke “Samarqandi” sahab ne "Tambeeh ul Ghafileen" mein naqal farma diya hai.


Imam Zehbi “Tareekh ul Islam” mein fiqeeh “Abu al-Lais Samarqandi”  ke tarjume mein ikhte hain:

وفي كتاب تنبيه الغافلين موضوعات كثيرة

Yani unki kitab tambeehul gafileen mein bahot saari mauzoo (yani man'gadhat) riwayatein paayi jati hain


Aur Allama Albani Rahimahullah ke mashhoor shagird Sheikh Mashoor bin Hasan Hafizahullah farmate hain:

كتاب "تنبيه الغافِلين"؛ فهو مجموعٌ لمِثل هذه القصص المكذوبة، والحِكايات التي لا أسانيد لها ولا أزمَّة

[نقلًا من"قصص لا تثبت"، 3/22-23]


Yani Kitab "Tambeeh ul Ghafileen" jhoothey qisson ka majmua, aur be'buniyad hikayaat ki gathri hai.


Lehaza is riwayat ka koi aitebaar nahi.


Abu Al-Lais ne ye riwayat “Yazeed Al-Raqaashi” ke hawale se Anas bin Malik Radhiallahu Anhu ke naam se naqal ki hai aur “Yazeed Al-Raqaashi” naqabil e aitebaar raawi hai.


Allama Ibn e Kaseer Ad-Dimashqi Rahimahullah likhtey hain:

قال البخاري: كان ضعيفاً قدرياً

Yani imam Bukhari Rahimahullah kehtey hain ke “Yazeed Al-Raqaashi” taqdeer ka munkir aur zaeef tha.


وقال الفَلَّاس: كان رجلاً صالحاً، وقد روى الناس عنه، وليس بالقوي في الحديث

Allama Al-Fallas kehte hain: “Yazeed Al-Raqaashi” aadmi toh neik tha, aur logo ne ussey riwayaat bhi naqal ki hain, lekin wo hadees me qawi nahin (balki zaeef raawi) tha.


وقال البخاري: تَكلَّم فيه شعبة

Imam Bukhari Rahimahullah farmate hain: Sho’bah ne iske silsile mein kalam kiya hai.


وقال إسحاق بن راهويه عن النضر بن شميل قال شعبة: لأن أقطع الطريق أحب إلي من أن أروي عنه

Imam ishaaq bin Rahawaih Rahimahullah farmate hain ke imam nazar bin shumel kehte the, “Yazeed Al-Raqaashi” se riwayat lene se daaka marna behtar hai.

(At-Takmeel Fil-Jarh e Wat-Ta'deel Li-Ibn e Kaseer)

No comments:

Post a Comment

Important Massage To All Readers

Galati Insaan Se Hi Hoti Hai

Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wabarakatuhu  Bismillahirrehmanirraheem  Galati Insaan Se Hi Hoti Hai. Or Hum Se Bhi Galati Ka Imkaan ...