Thursday, September 19, 2024

Toilet mein bismillah keh kar wuzu kar sakte hain?

 Toilet mein bismillah keh kar wuzu kar sakte hain?


❀Sawaal:❀

AS SALAMU ALAIYKUM


sawal hain ki aksar logo ke bathroom( gusal khana) toilet se attech hotey hain toh aiesi halat mein gusal karne ke dauraan bismillah kaise pardi jati hain? Kyuki ghusal mein bhi wadhu karna hota hain aur Wadhu bismillah pardhey bagair ho nai sakta hain aur toilet mein bismillah pard nai saktey toh aiesi halat mein kya kiya jaye?


✿Jawaab:✿

Walaikum Assalam Warehmatullahi Wabarakatuhu


Jab wuzu karne waali jagah toilet (jo ki qaza e hajat ke liye banaai hai na ki sirf ghusl ke liye) mein ho to wahan Allah ka zikr karna makrooh (na-pasandeedah) hai, bawajood is ke ki Bismillah padhna mashroo hai, is liye kuch ulama e kiram kehte hain ke woh dil mein Bismillah padh le lekin zabaan se alfaaz ki adaaigi na kare.


Shaikh Ibn e Uthaimeen Rahimahullah kehte hain:

Agar hammam mein ho to Imam Ahmed Rahimahullah kehte hain: Jab aadmi cheenk maare to dil mein Alhamdulillah kahe, to is se yeh nikala jaa sakta hai ki woh Bismillah dil mein padh le.

(Dekhen: Ash-Sharh ul Mumti': 1/130)


Aur kuch doosre ulama ka kehna hai: Bismillah ki mashroo’iyyat ghalib hai to is tarah woh kehte hain ki woh zabaan se adaaigi karega, to us waqt karahat nahi hogi.


Shaikh Ibn e Baaz Rahimahullah kehte hain:

Agar zaroorat paish aaye to latrine ke andar wuzu karne mein koi harj nahi, aur woh wuzu ke shuru mein Bismillah padh le, kiunki kuch ahl e ilm ke haan Bismillah padhna zaroori aur wajib hai, aur aksar ke haan takeedi amal hai, is liye woh Bismillah padh le to karahat khatm ho jaayegi kiunki Bismillah padhne ki zaroorat hone ke waqt karahat khatm ho jaayegi, aur phir insaan ko wuzu ki ibtida (starting) mein Bismillah padhne ka hukm hai, lehaza woh apna wuzu mukammal kare.

(Dekhen: Majmoo’ Fatawa Ibn e Baaz: 10/28)


Aur Mustaqil Fatawa Al-Lajnah ke FatawaaJaat mein darj hai:

Baathroom jahan qaza e hajat ki jaati ho wahan Allah Taala ke naam ka ehtram karte huwe zabaan ke saath Bismillah padhna makrooh hai, lekin us ke liye wuzu ke ibtida mein Bismillah padhna mashroo’ hai, kiunki aksar ahl e ilm ke haan dua ke saath Bismillah padhna mashroo' hai.

(Fatawa Lajna Daimah: 5/94)


Aur agar wuzu waali jagah Latrine se bahar ho (chahe woh uske saath attache ho) to wuzu karne wale ke liye Bismillah zabaan ke saath alfaaz mein ada karna mashroo’ hai, aur is haalat mein makrooh nahi, kiunki yeh latrine ke andar nahi hai.

والله أعلم بالصواب


Fatwa Link

No comments:

Post a Comment

Important Massage To All Readers

Galati Insaan Se Hi Hoti Hai

Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wabarakatuhu  Bismillahirrehmanirraheem  Galati Insaan Se Hi Hoti Hai. Or Hum Se Bhi Galati Ka Imkaan ...