Thursday, September 19, 2024

Namaz e Janazah Mein Surah Fatiha Padhne Ki Daleel

 Namaz e Janazah Mein Surah Fatiha Padhne Ki Daleel


Sawaal:

Assalaamu alaikum

Namaz e janaza me surah fathiha padne ki daleel quran o hadees se bhejiye

Jazakallah allahu khair


Jawaab:

Walaikum Assalam Wa Rehmatullahi Wabarakatuhu

Namaz e Janazah ho ya koyi aur namaz, Surah Fatiha padhna Waajib hai iske baghair Namaz nahi hoti. Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka farmaan hai:

عَنْ عُبَادَةَ بْنِ الصَّامِتِ، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم قَالَ:‏ لاَ صَلاَةَ لِمَنْ لَمْ يَقْرَأْ بِفَاتِحَةِ الْكِتَابِ

Tarjumah: Hazrat Ubaadah bin Saamit Radhiallahu Anhu se riwayat hai ke Rasool e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya, jis shakhs ne Surah Fatiha na padhi us ki namaz nahi hue.

(Sahih Bukhari: 756)


Mazeed Talha bin Abdullah bin Auf farmaate hain:

صَلَّيْتُ خَلْفَ ابْنِ عَبَّاسٍ ـ رضى الله عنهما ـ عَلَى جَنَازَةٍ فَقَرَأَ بِفَاتِحَةِ الْكِتَابِ قَالَ لِيَعْلَمُوا أَنَّهَا سُنَّةٌ‏

Tarjumah: Maine Ibn e Abbas Radhiallahu Anhuma ke peeche Namaz e Janazah padhi to unhon ne Surah Fatiha (thoda zor se) padhi aur farmaaya ki (Surah Fatiha zor se isliye padhi) taaki log jaan len ki yeh Sunnat hai.

(Sahih Bukhari: 1335)


Yahan “Sunnat hai” se yeh muraad nahi ki yeh mustahab hai, balki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki Sunnat muraad hai, yani Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne isay padha tha.

واللہ اعلم بالصواب

Shaikh Rafiq Tahir Hafizahullah

No comments:

Post a Comment

Important Massage To All Readers

Galati Insaan Se Hi Hoti Hai

Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wabarakatuhu  Bismillahirrehmanirraheem  Galati Insaan Se Hi Hoti Hai. Or Hum Se Bhi Galati Ka Imkaan ...