Ghusl kab Wajib Hota hai?
✵Sawaal:✵
Assalamu alaikum.
Mera ek sawaal ghusl konse kamon se wajib hojata hai. Aur agar sharamgah se koi chees daqil kare for example scan karte vaqt scan me liye kuch daqil kiya jata hai, to kya ispe b ghusl wajib hoga kya.?
Jazakallahu khair.
✯Jawaab:✯
Walaikum Assalam Wa Rehmatullahi Wabarakatuhu
6 cheezein aisi hain ke un mein se kisi ek ki maujoodgi mein musalman ke liye ghusl karna wajib hoga:
➊ Mani ka apni jagah se nikal jaana, chaahe mard ho ya aurat, uski do soortein ho sakti hain, neend mein ya bedaari ki haalat mein chunanche agar bedaari ki haalat mein nikle to lazzat ke saath niklana shart hai, chunanche agar baghair lazzat ke mani kharij ho to us se ghusl wajib nahi hota, jaise ke bemari ki wajah se kabhi kabhaar mani kharij ho jaati hai.
Aur agar neend ki haalat mein mani kharij ho to usi ko ihtihlaam kehte hain, is se mutlaq taur par (chaahe lazzat mehsoos ho ya na ho) ghusl wajib ho jaayega, kiunki neend mein shu’oor nahi hota, aur kabhi kabhaar lazzat bhi mehsoos nahi hoti, lehaza soya huwa shakhs bedaari ke baad mani ke asraat dekhe to us par ghusl wajib hai.
➋ Sharamgaah ko aurat ki sharamgaah mein daakhil karne se ghusl wajib ho jaayega, chaahe inzaal na bhi ho, iski daleel Imam Muslim waghera ne Nabi ﷺ se bayan ki ke Aap ﷺ ne farmaya:
Jab koi mard chaar (4) shaakhon mein baith jaaye aur mard o aurat ki sharamgaahein aapas mein mil jaayen to ghusl wajib ho jaayega
(Sahih Muslim: 349 aur 348, Sahih Bukhari: 291)
Is Hadees ki wajah se hambistari mein dono par sharamgaah daakhil karne ki wajah se ghusl wajib ho jaayega, chaahe inzaal na bhi ho, ahl e ilm ka is par ijmaa’ hai.
➌ Kayi ulama ke nazdeek kisi kafir ke Islam qubool karne par bhi ghusl wajib ho jaata hai, kiunki Aap ﷺ ne kuch naye musalman hone waale logon ko ghusl karne ka hukm diya.
(Tafseel ke liye dekhen, Abu Dawood: 355, Tirmizi: 605, Nasai: 188)
Jabki bahut se ahl e ilm ka khayaal hai ke kisi kafir ke musalman hone par ghusl Mustahab (pasandeeda) hai, wajib nahi, unki daleel yeh hai ke Nabi ﷺ se yeh kisi ne bayan nahi kya ke Aap ﷺ har naye musalman hone waale ko ghusl karne ka hukm dete they, chunanche dalail ko jama karte huwe ghusl ke hukm ko Istihbaab par mahmool kiya jaayega.
➍ Maut ki wajah se bhi mayyat ko ghusl dena wajib ho jaata hai, siwaaye jung mein shaheed hone waale shakhs ke, usey ghusl nahi diya jaayega.
➎ Aur ➏ Ghusl wajib karne waali cheezon mein se haiz aur nifas hai, iski daleel yeh Hadees hai:
Abu Hubaish ki beti Fatima Rasoolullah ﷺ ki khidmat mein haazir hue aur us ne kaha ke main ek aisi aurat hun jise istihaaza ki beemari hai. Is liye main paak nahi rehti to kya main Namaz chhod dun? Aap ﷺ ne farmaaya nahi, yeh ek rag (ka khoon) hai haiz nahi hai. To jab tujhe haiz aaye to Namaz chhod de aur jab yeh din guzar jaayen to apne (badan aur kapde) se khoon ko dho daal phir Namaz padh.
(Sahih Bukhari: 228, Sahih Muslim: 333 aur 334)
Taken from: “Al-Mulakhkhas ul Fiqhi” by: Shaikh Saleh Al-Fawzan Hafizahullah
Aur raha aap ka doosra sawaal ki:
“Agar sharamgah se koi chees daqil kare for example scan karte vaqt scan ke liye kuch daqil kiya jata hai, to kya ispe b ghusl wajib hoga kya.?”
To is ka jawaab hai ki:
“Nahi aisi soorat mein ghusl wajib nahi hota.”
No comments:
Post a Comment