Kya Nabi ﷺ apni qabr mein zindah hain aur Namaz padhte hain?
✵Sawaal:✵
mera sawal.hai kya nabi apni qabar me zinda hain or namaz parhty hain
✯Jawaab:✯
Assalamu Alaikum Warehmatullahi Wabarakatuhu
Pehli baat: Is mein koi shak-o-shuba nahi hai ke Nabi-e-Kareem ﷺ duniya ki zindagi guzaar kar faut ho gaye hain. Irshaad-e-Baari Ta’ala hai:
إِنَّكَ مَيِّتٌ وَإِنَّهُم مَّيِّتُونَ
“Be shak tum wafaat paane waale ho aur yeh log bhi marne waale hain.”
[Surah Az-Zumar, Surah No: 39, Ayat No: 30]
❀ Sayyiduna Abu Bakr Radhiallahu Anhu ne Nabi ﷺ ki wafaat ke baad apne khutbe mein farmaaya tha:
فَمَنْ كَانَ مِنْكُمْ يَعْبُدُ مُحَمَّدًا صلى الله عليه وسلم فَإِنَّ مُحَمَّدًا صلى الله عليه وسلم قَدْ مَاتَ
“Agar koi shakhs tum mein se Muhammed ﷺ ki ibadat karta tha to use ma’loom hona chaahiye ke Muhammed ﷺ ki wafaat ho chuki hai.”
[Sahih Bukhari: 1241-1242]
Us mauqa’ par Sayyiduna Abu Bakr As-Siddiq Radhiallahu Anhu ne “Surah Aal-e-Imran” ki “Aayat No: 144” tilawat ki thi aur us se Nabi ﷺ ki wafaat par istedlaal kiya tha jis ke baad har shakhs ki zabaan par yahi Aayat thi.
[Sahih Bukhari: 1241, 1242]
Sayyiduna Umar Radhiallahu Anhu ne bhi ise tasleem kar liya tha.
[Dekhiye: Sahih Bukhari 4454]
Ma’loom huwa ke is par Sahaba-e-Kiraam Radhiallahu Anhum Ajma’een ka ijmaa’ hai ke Nabi ﷺ faut ho gaye hain.
❀ Sayyedah Aisha Siddiqah Radhiallahu Anha ne farmaaya:
مَاتَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ وَإِنَّهُ لَبَيْنَ حَاقِنَتِي وَذَاقِنَتِي
“Nabi-e-Kareem ﷺ ki wafaat hue to Aap meri hansli aur Thodi ke darmiyaan (sar rakhe huwe) the.”
[Sahih Bukhari: 4446]
❀ Sayyedah Aisha Radhiallahu Anha farmaati hain ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:
مَا مِنْ نَبِيٍّ يَمْرَضُ إِلَّا خُيِّرَ بَيْنَ الدُّنْيَا وَالْآخِرَةِ
“Jo Nabi bhi maraz-ul-maut mein beemaar hota hai to use duniya aur aakhirat ka ikhtiyaar diya jaata hai.”
[Sahih Bukhari 4586, Sahih Muslim: 2444]
Aap ﷺ ne duniya ke badle aakhirat ko ikhtiyaar kar liya. Yani Aap ﷺ ki wafaat ke baad Aap ki zindagi ukhrawi zindagi hai jise ba’z ulama barzakhi zindagi bhi kehte hain.
❀ Ek riwayat mein hai ke Sayyedah Aisha Radhiallahu Anha farmaati hain:
كُنْتُ أَسْمَعُ أَنَّهُ لَا يَمُوتُ نَبِيٌّ حَتَّى يُخَيَّرَ بَيْنَ الدُّنْيَا وَالْآخِرَةِ
“Main sunti aayi thi ke har Nabi ko wafaat se pehle duniya aur aakhirat ke rahne mein ikhtiyaar diya jaata hai.”
[Sahih Bukhari: 4435, Sahih Muslim: 2444]
❀ Sayyedah Aisha Radhiallahu Anha hi farmaati hain:
فَجَمَعَ اللَّهُ بَيْنَ رِيقِي وَرِيقِهِ فِي آخِرِ يَوْمٍ مِنَ الدُّنْيَا، وَأَوَّلِ يَوْمٍ مِنَ الْآخِرَةِ
“Is tarah Allah ﷻ ne mere aur Aap ﷺ ke thook ko us din jama kar diya jo Aap ki duniya ki zindagi ka sab se aakhiri aur aakhirat ki zindagi ka sab se pehla din tha.”
[Sahih Bukhari: 4451]
❀ Ek doosri riwayat mein hai ki Sayyedah Aisha Radhiallahu Anha ne farmaaya:
لَقَدْ مَاتَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ
“Yaqeenan Rasoolullah ﷺ faut ho gaye.”
[Sahih Muslim: 2974]
❀ Sayyiduna Abu Hurairah Radhiallahu Anhu apni Namaz ke baare mein farmaate the:
إِنْ كَانَتْ هَذِهِ لَصَلَاتَهُ حَتَّى فَارَقَ الدُّنْيَا
“Aap ﷺ isi tarah Namaz padhte rahe yahan tak ke Aap duniya se tashreef le gaye.”
[Sahih Bukhari: 803]
❀ Ek doosri riwayat mein hai ke Sayyiduna Abu Hurairah Radhiallahu Anhu ne Nabi-e-Kareem ﷺ ke baare mein farmaaya:
حَتَّى فَارَقَ الدُّنْيَا
“Yahan tak ke Aap ﷺ duniya se chale gaye.”
[Sahih Muslim: 2976]
❀ Sayyiduna Abu Hurairah Radhiallahu Anhu hi farmaate hain:
خَرَجَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ مِنَ الدُّنْيَا
“Nabi ﷺ duniya se chale gaye.”
[Sahih Bukhari: 5414]
❀ Sayyiduna Samurah bin Jundub Radhiallahu Anhu ki bayan kardah Hadees main aaya hai ke farishton (Jibraeel aur Mikaeel Alaihimassalam) ne Nabi-e-Kareem ﷺ se farmaaya:
إِنَّهُ بَقِيَ لَكَ عُمُرٌ لَمْ تَسْتَكْمِلْهُ، فَلَوِ اسْتَكْمَلْتَ أَتَيْتَ مَنْزِلَكَ
“Be shak Aap ki umr baaqi hai jise Aap ne (abhi tak) poora nahi kiya. Jab Aap yeh umr poori kar lenge to apni (jannati) jagah mein aa jaayenge.
[Sahih Bukhari: 1386]
Ma’loom huwa ke Aap ﷺ duniya ki umr guzaar kar jannat mein apne mahal mein pahunch gaye hain.
In ke alawah aur bhi bahut se dalaail hain. In Sahih aur Mutawaatir dalaail se ma’loom huwa ke Muhammed ﷺ, faut ho gaye hain.
Doosri baat: Yeh durust hai ki Ambiya-e-Kiraam Alaihimussalam apni qabron mein zindah hain aur Namaz padhte hain. Chunanche Sayyiduna Anas Radhiallahu Anhu se riwayat hai ki Nabi-e-Akram ﷺ ne farmaaya:
الْأَنْبِيَاءُ أَحْيَاءٌ فِي قُبُورِهِمْ يُصَلُّونَ
“Ambiya-e-Kiraam Alaihimussalam apni qabron mein zindah hain aur Namaz padhte hain.”
[Musnad Abi Ya’la Al-Mawsili: 6/147, Hadees No: 3425, Musnad Bazzar: 13/299, Hadees No: 6888. Allama Albani Rahimahullah ne “Silsila Al-Ahadees As-Saheeha: 621” mein is ki Sanad ko Qawi kaha hai]
Lekin yaad rahe ki yeh zindagi dunyawi zindagi nahi hai. Balki yeh barzakhi zindagi hai. Jis ki haqeeqat aur kaifiyat ka ilm sirf Allah ﷻ ko hai. Chunanche Allama Albani Rahimahullah is Hadees ki tashreeh mein farmaate hain:
ثم اعلم أن الحياة التي أثبتها هذا الحديث للأنبياء عليهم الصلاة والسلام إنما هي حياة برزخية، ليست من حياة الدنيا في شيء، ولذلك وجب الإيمان بها دون ضرب الأمثال لها ومحاولة تكييفها وتشبيهها بما هو المعروف عندنا في حياة الدنيا. هذا هو الموقف الذي يجب أن يتخذه المؤمن في هذا الصدد: الإيمان بما جاء في الحديث دون الزيادة عليه بالأقيسة والآراء، كما يفعل أهل البدع الذين وصل الأمر ببعضهم إلى ادِّعاء أن حياته صلى الله عليه وسلم في قبره حياة حقيقية! قال: يأكل و يشرب ويجامع نساءه!! وإنما هي حياة برزخية لا يعلم حقيقتها إلا الله سبحانه وتعالى
“Phir Yeh baat wazeh rahe ke is Hadees mein jo zindagi Ambiya-e-Kiraam ke liye saabit hai yeh barzakhi zindagi hai, dunyawi zindagi ka is se koi talluq nahi hai, is liye barzakhi zindagi ke baare mein misaalen aur kaifiyaat zikr kiye baghair aur dunyawi zindagi se tashbeeh diye baghair imaan rakhna zaroori hai. Is masle ke baare mein darj zail mauqif rakhna har musalmaan ki zimmedaari aur farz hai: Ahadees mein zikr shudah baaton par min-wa-’an (as it is) imaan laana chaahiye aur un mein qiyaas aur raaye ke zariye kisi qism ki kami ya ziyaadti nahi karni chaahiye, jaise ke kuch bid’ati log aisa karte hain aur mu’aamla yahan tak pahunch gaya hai ke kuch log is baat ka da’wa bhi kar baithe hain ke Nabi ﷺ ki qabr ki zindagi haqeeqi zindagi hai! Aap khaate peete aur apni biwiyon se shab baashi bhi karte hain!! Halaanki yeh barzakhi zindagi hai is ki haqeeqat Allah ke siwa koi nahi jaanta.
[Silsila Al-Ahadees As-Saheeha Lil-Albani: 2/190]
Ma’loom huwa ke Nabi-e-Kareem ﷺ zindah hain lekin Aap ki zindagi ukhrawi aur barzakhi hai, dunyawi nahi hai.
◈ Hafiz Ibn-e-Hajar Al-Asqalaani Rahimahullah likhte hain:
وَإِنْ كَانَ حَيًّا فَهِيَ حَيَاةٌ أُخْرَوِيَّةٌ لَا تُشْبِهُ الْحَيَاةَ الدُّنْيَا وَاللَّهُ أَعْلَمُ
“Be shak Aap ﷺ apni wafaat ke baad agarche zindah hain lekin yeh ukhrawi zindagi hai dunyawi zindagi ke mushabeh nahi hai, Wallahu A’lam.”
[Fatah-ul-Bari Li-Ibn e Hajar: 7/349]
◈ Saudi Arab ke Jaleel-ul-Qadr Shaikh Saleh Al-Fawzaan Hafizahullah likhte hain:
الذى يقول: إن حياته فى البرزخ مثل حياته فى الدنيا كاذب وهذه مقالة الخرافيين
“Jo shakhs yeh kehta hai ke Aap ﷺ ki barzakhi zindagi duniyawi zindagi ki tarah hai woh shakhs jhoota hai. Yeh man ghadat baatein karne waalon ka kalaam hai.”
[At-Ta’leeq-ul-Mukhtasar Ala Al-Qaseedah An-Nooniyyah: 2/684]
◈ Imam Baihaqi Rahimahullah (barzakhi) roohon ke lautaane ke zikr ke baad likhte hain:
فَهُمْ أَحْيَاءٌ عِنْدَ رَبِّهِمْ كَالشُّهَدَاءِ
“Pas woh (Ambiya Alaihimussalam) apne Rabb ke paas, Shuhadaa ki tarah zindah hain.
[Risaalah: Hayaat-ul-Ambiya Lil-Baihaqi, Page No: 20]
Yeh aam sahih-ul-aqeedah aadmi ko bhi ma’loom hai ke Shuhadaa ki zindagi ukhrawi aur barzakhi hai, dunyawi nahi hai.
Khulasa-e-Kalaam: Nabi-e-Kareem ﷺ duniya ki zindagi guzaar kar faut ho gaye hain. Ab jo unki zindagi hai woh barzakhi hai. Usko duniyawi zindagi se tashbeeh dena ya us ki kaifiyat o haqeeqat bayan karna sahih nahi. Balki us par imaan laana waajib hai.
Wallahu A’lam Bis-Sawaab.
[Hafiz Zubair Ali Zai Rahimahullah ke ek Fatwe se mustafaad. Dekhiye: Maahnama Isha’at-ul-Hadees, Shumaarah No: 15, Aug: 2005, Page No: 13-19]
No comments:
Post a Comment