Sunday, September 08, 2024

Rizq Aur Shaadi Likhe Huwe Hain

 Rizq Aur Shaadi Likhe Huwe Hain


Sawaal:

Kiya rizq aur shadi ke baare mein bhi lauh e mehfooz mein likha huwa hai?


Jawaab:

Qalam ki paidaish se le kar qayamat ke din tak ki har cheez ko Allah Taala ne lauh e mehfooz mein likh rakha hai. Allah Taala ne jab sab se pehle qalam paida farmaya to use hukam diya:

اكْتُبْ، ‏‏‏‏‏‏فَقَالَ:‏‏‏‏ مَا أَكْتُبُ؟ قَالَ:‏‏‏‏ اكْتُبِ الْقَدَرَ مَا كَانَ، ‏‏‏‏‏‏وَمَا هُوَ كَائِنٌ إِلَى الْأَبَد

ترمذی: 2155 و 3319، ابو داؤد: 4700، مسند احمد: 5/317 بالفاظ مختلفة

Tarjumah: Likho, qalam ne arz kiya: Kya likhun? Allah Taala ne farmaaya: Taqdeer likho jo kuch ho chuka hai aur jo hamesha tak hone waala hai.

(Tirmizi: 2155 and 3319, Abu Dawood: 4700, Musnad Ahmad: 5/317)


Aur Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya hai:

إِنَّ أَحَدَكُمْ يُجْمَعُ خَلْقُهُ فِي بَطْنِ أُمِّهِأَرْبَعِينَ يَوْمًا، ‏‏‏‏‏‏ثُمَّ يَكُونُ عَلَقَةً مِثْلَ ذَلِكَ، ‏‏‏‏‏‏ثُمَّ يَكُونُ مُضْغَةً مِثْلَ ذَلِكَ، ‏‏‏‏‏‏ثُمَّ يَبْعَثُ اللَّهُ مَلَكًا فَيُؤْمَرُ بِأَرْبَعِ كَلِمَاتٍ، ‏‏‏‏‏‏وَيُقَالُ لَهُ:‏‏‏‏ اكْتُبْ عَمَلَهُ وَرِزْقَهُ وَأَجَلَهُ وَشَقِيٌّ أَوْ سَعِيد

Tarjumah: Tumhaari paidaaish ki tayyaari tumhaari maa ke pet mein chaalis (40) dinon tak (nutfa ki soorat) mein ki jaati hai itni hi dinon tak phir ek basta khoon ke soorat mein ikhtiyaar kiye rehta hai aur phir woh itne hi dinon tak ek Muzghah gosht rehta hai. Us ke baad Allah Taala ek farishta bhejta hai aur use chaar baaton (ke likhne) ka hukm deta hai. Us se kaha jaata hai ke us ke amal, us ka rizq, us ki muddat e zindagi aur yeh ke bura hai ya nek, likh le.

(Sahih Bukhari: 3208, Sahih Muslim: 2643)


Rizq bhi likha huwa hai us mein kami beshi nahi ho sakti. Haan albatta talab e rizq ke jo asbaab insan ikhtiyaar karta hai un mein se ek sa'ee aur koshish bhi hai jaisa ki Irshad e Baari Taala hai:

هُوَ الَّذِي جَعَلَ لَكُمُ الْأَرْضَ ذَلُولًا فَامْشُوا فِي مَنَاكِبِهَا وَكُلُوا مِنْ رِزْقِهِ ۖ وَإِلَيْهِ النُّشُورُ

Tarjumah: Woh zaat jis ne tumhare liye zameen ko past o mutee’ kar diya taaki tum us ki raahon mein chalte phirte raho aur Allah ki roziyan khao (piyo) usi ki taraf (tumhein) ji kar uth khada hona hai.

(Surah Al-Mulk, Surah No: 67 Ayat No: 15)


Inhien asbaab mein se ek silah rehmi yani walidain se neki karna aur rishtedaaron se husn e sulook bhi hai ki Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya hai:

مَنْ سَرَّهُ أَنْ يُبْسَطَ لَهُ رِزْقُهُ أَوْ يُنْسَأَ لَهُ فِي أَثَرِهِ فَلْيَصِلْ رَحِمَهُ

Tarjumah: Jo shakhs apne rizq mein wus’at aur umr mein izafah pasand kare woh sila rehmi kare.

(Sahih Bukhari: 2067)


Aur unhein asbaab mein se ek taqwa bhi hai jaisa ki Irshad e Baari Taala hai:

وَمَنْ يَتَّقِ اللَّهَ يَجْعَلْ لَهُ مَخْرَجًا۞ وَيَرْزُقْهُ مِنْ حَيْثُ لَا يَحْتَسِبُ

Tarjumah: Aur jo shaks Allah se darta hai Allah us ke liye chutkaare ki shakl nikal deta hai. Aur use aisi jagah se rozi deta hai jis ka use gumaan bhi na ho.

(Surah At-Talaq, Surah No: 65 Ayat No: 1 and 2)


Lekin app yeh na kahen ki rizq to likha huwa aur mehdood hai lehaza main hasool e rizq ke liye asbaab ikhtiyaar nahi karunga kiunki yeh to ijz o darmandgi hai aur aql o ehtiyaat ka taqaza yeh hai ki app rizq aur deen o duniya ka faidah hasil karne ke liye koshish karen.

Jis tarah rizq likha huwa aur asbaab ke saath muqaddar hai usi tarah shadi ka mu'aamla bhi taqdeer mein likha huwa hai miyaan biwi mein se har ek ke liye yeh likha huwa hai ke us ki shadi us se hogi aur Allah Taala se to asmaanon aur zameen ki koi cheez bhi makhfi nahi hai.

No comments:

Post a Comment

Important Massage To All Readers

Galati Insaan Se Hi Hoti Hai

Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wabarakatuhu  Bismillahirrehmanirraheem  Galati Insaan Se Hi Hoti Hai. Or Hum Se Bhi Galati Ka Imkaan ...