”HADEES” bhi ALLAH ka KALAAM hai…?
Jawab:
Ji haan, Jis tarah Allah ne “Quran” ko nazil kiya usi tarah “Hadees” bhi Rasoolullah ﷺ par nazil ki gayi.
”HADEES” ko yaad karne wale ke liye Nabi ﷺ ki duwa:
✔Zaid bin Sabit Radhiallahu Anhu ne kaha ke Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
Allah us shakhs ko tar-o-taazaa (hara bhara) rakhe jo meri koi Hadees sune aur usko waisi yaad kare aur usko waisi hi logo tak pahuncha de”.
(Sahih Abu Dawood, Kitab ul Ilm)
↘“Munkire Hadees” yaani “Inkaar e Hadees” ka fitna “Khawariz” aur “Mutzila” se shuru huwa jo qal-parst firqe the. Aaj bhi Highly Qualified Muslim “Hadees” ko Allah ka KALAAM nahi mante hai.
Aur kuchh “Taqleedi” mizaaj ke Musalman “Maslak” ke buniyad par bhi “Sahih Hadees” ka inkar karte hain is liye ke unke “Maslak” ke khilaf hoti hai.
↘Hindustan me “Munkire Hadees” ka fitna Punjab ke “Abdullah Chakralvi” ne failaya jo “Jamaat-e-Ahl e Quran” ka baani hai aur dhire dhire logo ke dil me ghar kar liya. “Ahl e Quran” bahot hi GUMRAAH firqa hai is se bachke rahna lazim hai warna ham bhi “gumraah” ho jayenge.
↘“Munkire Hadees” ka kehna yah ke Hadees mahefuz nahi hai aur apas me bahot zyada takraati hai. Jahan bhi 2 Sahih Ahadees me takraao paaya jayega wahan un dono Ahadees ko mila kar “ek natija” nikala jayega.
↘Unka dusra etraaz yah hai ki HADEES ham tak “LOGON ke zariye pahunchi” hai lekin “QURAN bhi to ham tak LOGON ke zariye pahuncha hai. Kya fir ham QURAN me bhi SHAK karenge…??? Kya aap Quran Nazil hote waqt wahan maujud the…??
Yaad rahe jis tarah Pure QURAN ya KISI EK AYAAT ka bhi INKAAR karna KUFR hai usi tarah kisi ek HADEES ka INKAR karna bhi KUFR hai jo Hadees sahih SANAD ke sath Nabi ﷺ se sabit ho jaaye. Isko mamuli baat na samjana.
✔Quran ne khud “kufr” ka fatwa diya hai. Jaisa ke Allah ne farmaya:
(Aye Rasool) Keh dijiye! ke Allah ta'ala aur Rasool ki ita'at (farmadari) karo agar ye muh pher len to beshak Allah ta'ala KAFIRO se muhabbat nahi karta.
(Surah 03 Aal e Imran: Ayat 32)
↘Aaiye dekhte hain ke, kya HADEES bhi ALLAH ne NAZIL ki hai ya nahi…?
QURAN se DALEEL:
"Ke Tumhare saathi (Muhammad) NA GUMRAAH huye aur na BAHKE. Aur woh (Muhammad) to APNI NAFSAANI KHWAHISH se kuchh NAHI KAHTE. Yah to WAHEE (paigaam) hai jo unpar bheji jaati hai.
(Surah An Najm 53 : Ayat 2,3,4)
Is ayat se yeh baat malum hoti hai ke:
Nabi ﷺ ISLAM ke talluq se jo bhi BAAT kiya karte the wo apne NAFS (Mann) se nahi balke sirf ALLAH ke WAHEE ke mutabiq hi kiya karte the. Agar kisi masle ke talluq se WAHEE nahi aati to Nabi ﷺ khamosh raha karte yaha tak ke WAHEE nazil ho jaaye.
HADEES se Daleel:
✔Miqdaam bin Ma’dikarib Radhiallahu Anhu farmate hain ke Rasoolullah ﷺ ne IRSHAAD farmaya ke…
Suno, mujhe “Quran” diya gaya aur usi ke sath sath “uska Misl” (yaani usi jaisi dusri chiz) bhi di gayi……”._
(Abu Dawood, Kitab us Sunaah, Chapter 42, Hadees No. 9)
Is Hadees se yeh maloom hota hai ke:
Rasoolullah ﷺ khud kah rahe hain ki “Hadees” bhi Allah ne Quran ke sath nazil ki.
Kiski baat maani jaaye ? Apki ya Rasoolullah ﷺ ki…???
Allah ne, Rasoolullah ﷺ ko Quran ke sath sath uska “Misl” yaani usi “jaisi” dusri chiz bhi NAZIL ki hai, us dusri chiz ka naam hai “HADEES”.
↘English me, “Misl” ka tarjuma hota hai “similar”.
Hum HADEES ko kam ALFAAZ me is tarah BAYAN kar sakte hain:
…..“ZUBAN to NABI ﷺ ki hoti hai lekin FARMAAN Allah ka hota hai”.
✔Yaad rahe, Sirf SAHIH aur HASAN HADEES hi ALLAH ki sacchi WAHEE hai jo Rasoolullah par nazil hui hai. “ZAEEF Hadees” me “shak” baaqi rahta hai aur yah baat “sabit” nahi ho paati ke “is Hadees” ko Nabi ﷺ ne apne “zuban-e-mubarak” se farmaya ya unke naam par kisi aur ne ZHOOT kaha. Isliye ZAEEF HADEES kisi masle me DALEEL nahi ban sakti yaha tak ke us HADEES ki SANAD sahih nikal aaye.
Wallahu Alam Sawab.
-Regards Akhi Abu Inayah & group (Taken from lectures of Abu Zaid zameer & Shaikh jalaluddin qasmi)
No comments:
Post a Comment