Namaz padhte huwe bachche ko peeche karna
✵Sawaal:✵
Kya bachche ko saff mein us ki jagah se door hata dena jaaiz hai?
✪Jawaab:✪
Sahih baat yeh hai ke bachche ko saff mein us ki jagah se door hata dena jaaiz nahi kiunki Hazrat Ibn e Umar Radhiallahu Anhuma se marwi Hadees mein hai ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya:
لَا يُقِيمُ الرَّجُلُ الرَّجُلَ مِنْ مَجْلِسِهِ ثُمَّ يَجْلِسُ فِيهِ
◈Tarjumah:◈ Koi shakhs kisi doosre shakhs ko us ke baithne ki jagah se na uthaaye ke khud wahaan baith jaaye.
(Sahih Bukhari: 6269)
Aur doosri baat yeh hai ke is mein bachche ki haq-talfi aur us ki dil-shikni hai, neez use namaz se mutanaffir karna aur us ke dil mein bughz o hasad paida karna hai. Agar hum yeh kahen ke bachchon ko aakhiri saff mein peeche hata diya jaaye to is tarah saare bachche ek saff mein ikaththe ho jaayenge aur woh namaz mein khel tamaasha shuru kar denge, is liye jab khel tamaasha ka andeesha ho to phir unhein ek doosre se alag kar dene mein koi harj nahi.
⁌Mohaddis Fatwa⁍
واللہ اعلم بالصواب
No comments:
Post a Comment