Sunday, January 31, 2016

Logon Mein Phaili 40 Ghalat Fehmiyan (Part-2)

بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

Logon Mein Phaili 40 Ghalat Fehmiyan (Part-2)


Tahreer: Shaikh Maqbool Ahmed Salafi Hafizahullah

Romanized By: Umar Asari

Is Mazmoon (Topic) Ki Pehli Qist (First Part) Likhi Gai Thi Jis Mein Aik Se Leker Pandrah (15) Ghalat Fehmiyon Ka Izaala (Radd) Kiya Gaya Tha. Ab Is Ka Doosra Part Aap Ki Khidmat Mein Paish Hai.

(16) Subah Sooraj Niklney Tak Sona:
Insaan Ko Chahiye Key Woh Subah Saweray Beedar Ho (Uthey), Fajr Ki Namaz Parhey Aur Phir Rozi Ki Talaash Mein Nikley. Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Farmaan Hai:
مَن صَلَّى الصُّبحَ فَهُوَ فِي ذِمَّةِ اللَّهِ
Tarjuma: Jis Ne Fajr Ki Namaz Parhi Woh Allah Ke Amaan Mein Aa Gaya.
(Sahih Muslim: 657)

Jo Bandah Namaz Chor Kar Rozana Takheer (Late) Se Uthey Us Ki Qismat Mein Barbadi Hi Barbadi Hai Kiyunkay Us Ne Apne Rab Se Amaan Utha Liya, Us Ke Sath Kabhi Bhi Kuch bhi Ho Sakta Hai.


(17) Darakht Ke Neechay Peshaab Karna:
Kisi Bhi Cheez Ke Saaye (Shadow) Mein Chahe Wo Darakht Ka Ho Ya Kisi Aur Ka Us Ke Neechay Peshaab o Pakhanay Se Mana Kiya Gaya Hai.

Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Farmaan Hai:
عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم قَالَ ‏"‏ اتَّقُوا اللَّعَّانَيْنِ ‏"‏ ‏.‏ قَالُوا وَمَا اللَّعَّانَانِ يَا رَسُولَ اللَّهِ قَالَ ‏"‏ الَّذِي يَتَخَلَّى فِي طَرِيقِ النَّاسِ أَوْ فِي ظِلِّهِمْ ‏"‏ ‏
Tarjuma: Laanat Ka Sabab Banney Wali Do Baton Se Bacho, Sahab e Kiram Radhiallahu Anhum Ney Poocha: Aye Allah Key Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam! Lanat Ka Sabab Banney Wali Wo Do (2) Baten Konsi Hain? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ney Farmaya: Aik Yeh Ke Aadmi Logon Ke Rastay Mein Qazaye Haajat Karey, Dosray Yeh Ke Un Ke Saaye Ki Jagah Mein Aisa Kare.
(Sahih Muslim: 269)

“Tabrani Ne Mo’jam Al Awsat” Mein Phaldar Darakht Ke Neechay Qaza e Haajat Ki Mumaniyat Wali Rivayet Zikr Ki Hai, Yeh Rivayet Zaeef hai. Phaldar Darakht, Saya Wali Mazkoorah Baala (Upar Zikr Ki Gai) Hadees Ke Zimn  Mein Hai Kiyunkay Aam Taur Se Har Darakht Ka Saya Hota Hai. Lekin Jo Darakht Aam Ho Aur Waisay Hi Bila-Zaroorat (Bina Zaroorat) Abadi Se Door Sunsaan (Lonesome) Jagah Pay Para Ho To Us Ke Neechay Qaza e Haajat Mein Koi Harj Nahi.


(18) Bait ul Khala Mein Baatein Karna:
Qaza e Haajat Ke Waqt Baat Karna Mana Hai. Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Farmaan Hai:
لا يخرجُ الرجلانِ يضربانِ الغائطَ كاشفَينِ عن عوراتِهما يتحدَّثانِ ، فإنَّ اللهَ يمقُتُ على ذلك
Tarjuma: Do Aadmi Qaza e Haajat Karte Hue Aapas Mein Baatein Na Karen Ke Dono Aik Dosrey Ke Satar (Sharamgaah) Ko Dekh Rahey Hon Kiyunkey Allah Taala Is Baat Par Naraaz Hota Hai.
{Sahih At-Targheeb (Albani): 155}

Yahan Sawaal Paida Hota Hai Ke Aaj Kal Gharon Mein Hammaam Bana Hota Hai To Kya Is Mein Baatein Karna Jayez Hai?
Hadees Se To Yahi Pata Chalta Hai Ke Is Haalat Mein Kalaam Mana Hai Ke  Jab Do (2) Aadmi Nangay Ho Kar Aik Dosray Ko Dekhte Hue Baat Karen Lekin Hammaam Mein Baat Karne Ki Mumaniyat (Preclusion) Par Koi Daleel Nahi Hai. Phir Bhi Behtar Surat Yahi Hai Ke Hamaam Mein Qaza e Haajat Kartey Waqt Baat Na Karen Lekin Zaroorat Padey Ya Phir Qaza e Haajat Se Pehlay Hamaam Mein Daakhil Hotay Waqt Baat Kar Sakta Hai.

(19) Ulta Sona:
Pait Ke Bal Sona Napasandeedah Aur Makrooh Amal Hai, Is Ki Karahat (Napasandeedgi) Ki Wujohaat (Reasons) Mein Jahannamiyon Ke Sonay Ki Mushabihat Aur Jismani Nuqsaan Waghera (Etc) Hain.

Allah Taala Ka Farmaan Hai:
يَوْمَ يُسْحَبُونَ فِي النَّارِ عَلَى وُجُوهِهِمْ ذُوقُوا مَسَّ سَقَرَ
Tarjuma: Jis Din Woh Apne Mun Ke Bal Aag Mein Ghseetey Jayenge (Aur Un Se Kaha Jayega) Dozakh Ki Aag Lagnay Ke Mazay Chako.
(Surah Al-Qamar: Surah No: 54  Ayat No: 48)

Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ney Farmaya:
"إِنَّ ھٰذِہِ ضِجْعَۃٌ یُبْغِضُھَا اللّٰہُ تَعَالٰی یَعْنِی الْاَضْطِجَاعُ عَلَی الْبَطَنِ"
Tarjuma: Yaqeenan Is Tarah Letney Ko Allah Taala Napasand Farmata Hai Yani Pait Ke Bal (Ondha) Laytna.
{Sahih al Jami’(Alabni): 2271}

 Al-Iztijao Ala-al-Batan “الاضطجاع علی البطن”: Yani Aisay Sona Ke Pait Zameen Ki Taraf Aur Pusht (Back Side) Upar Ki Taraf Ho.
Is Liye Kisi Ko Pait Ke Bal Nahi Sona Chahiye Magar Aisey Sonay Se Ghareebi Aati Hai Is Ka Koi Suboot Nahi Hai.

(20) Qabrastaan Mein Hasna:
Qabrastaan Aisi Jagah Hai Jahan Jaa Kar Akhirat Yaad Karni Chahiye Is Liye Wahan Hasna Napasandeedah Amal Hai. Wahan Baat Karte Hue Ya Yun Hi Hansi Aa Gai To Is Mein Koi Harj Nahi, Aur Is Se Rizq Par Koi Asar Nahi Padega.

(21) Peenay Ka Pani Raat Mein Khula Rakhna:
Khanay Peenay Ka Bartan Raat Mein Khula Rakhnay Se Gurbat Nahi Aati, Albatta Sotay Waqt Un Bartano Ko Dhak Den Jin Mein Khaney Peeney Ki Cheezein Hon. Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Farmaan Hai:
أَطْفِئُوا الْمَصَابِيحَ إِذَا رَقَدْتُمْ، وَغَلِّقُوا الأَبْوَابَ، وَأَوْكُوا الأَسْقِيَةَ، وَخَمِّرُوا الطَّعَامَ وَالشَّرَابَ ـ وَأَحْسِبُهُ قَالَ ـ وَلَوْ بِعُودٍ تَعْرُضُهُ عَلَيْهِ
Tarjuma: Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ney Farmaya: Jab Sonay Lago To Chairag Bujha Do, Darwazey Band Kar Do, Mashkeze (Water Skins)  Ka Munh Bandh Do Aur Khanay Peenay Ke Bartano Ko Dhaanp Do. Hazrat Jabir Radhiallahu Anhu Ney Kaha Key Mera Khayal Hai Key Ye Bhi Kaha Khuwah Lakdi Hi Key Zariye Sey Dhak Sako Jo Uski Chaudai Mein Bismiallah Keh Kar Rakh Di Jaye.
(Sahih Bukhari: 5624)

Aik Doosri Rivayat Is Tarah Hai:
غَطُّوا الإِنَاءَ وَأَوْكُوا السِّقَاءَ فَإِنَّ فِي السَّنَةِ لَيْلَةً يَنْزِلُ فِيهَا وَبَاءٌ لاَ يَمُرُّ بِإِنَاءٍ لَيْسَ عَلَيْهِ غِطَاءٌ أَوْ سِقَاءٍ لَيْسَ عَلَيْهِ وِكَاءٌ إِلاَّ نَزَلَ فِيهِ مِنْ ذَلِكَ الْوَبَاءِ
Tarjuma: Bartan Dhak Do, Mashkezey (Water Skins) Ka Muh Band Karo, Is Liye Ke Saal Mein Aik Raat Aisi Aati Hai Jis Mein Blaa (Pestilence) Nazil Hoti Hai, Aur Jis Cheez Ka Munh Band Na Ho Aur Jo Bartan Dhaka Howa Na Ho Us Mein Yeh Waba (Pestilence) Utar Padti Hai.
(Sahih Muslim: 2014)

Bartan Khula Chorney Se Gareebi Aney Wali Baat Shia Kutub (Books) Se Manqool (Aayi Hai) Hai, Us Ki kitaab Mein Likha Hai Ke Bees (20) Aadatien Aisi Hain Jin Se Rizq Mein Kami Aati Hai, Un Mein Se Aik Pani Ke Bartan Ka Dhakna Khula Rakhna Hai.
{Bihar ul Anwar (Mohammad Baqar Majalsi) Jild: 73, Page: 314 Hadees: 1}

(22) Raat Mein Sawali Ko Kuch Na Dena:
Yeh Baat Bhi Shia Kutub (Books) Se Aayi Hai, Aur Yeh Baat Hazrat Ali Radhiallahu Anhu Ki Taraf Mansoob Ki Jati Hai Jis Ki Koi Haqeeqat Nahi.

(23) Burey Khayalat Karna:
Insaan Gunaahon Ka Putla Hai, Us Se Hamesha Galati Hoti Rehti Hai. Us Ke Dimagh Mein Burey Khayalat Aatey Rehtey Hain. Aik Muslim Ka Kaam Hai Key Woh Un Buray Khayalat Se Tauba Karta Rahey Aur Un Par Amal Karney Se Bachay. Allah Taala Apne Bandon Pay Bohat Meharban Hai Woh Bandon Ke Dil Mein Paida Honay Walay Buray Khayalat Pay Pakad Nahi Karta Jab Tak Ke Us Par Amal Na Karey.
عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ ـ رضى الله عنه ـ عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم قَالَ ‏ "‏ إِنَّ اللَّهَ تَجَاوَزَ عَنْ أُمَّتِي مَا حَدَّثَتْ بِهِ أَنْفُسَهَا، مَا لَمْ تَعْمَلْ أَوْ تَتَكَلَّمْ
Tarjuma: Hazrat Abu Huraira Radhiallahu Anhu Se Riwayat Hai Key Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ney Farmaya : Beshak Allah Taala Ney Meri Ummat Se Us Waqt Tak Darguzar (Maaf) Kar Diya Hai (Us Cheez Ko) Jo Us Key Dil Mein (Bura) Khayaal Paida Hota Hai Jab Tak Key Us Par Amal Na Kare Ya Bol Na Dey.
(Sahih Bukhari: 5269 or Sahih Muslim:127)

Is Liye Yeh Baat Kehna Galat Hai Ke Buray Khayalat Se Gareebi Aati Hai, Albatta Aik Baat Yeh Kahi Ja Sakti Hai Ke Burayi Aur Fehash Kaam Karney Se Gurbat Aa Sakti Hai. Allah Taala Ka Farmaan Hai:
الشَّيْطَانُ يَعِدُكُمُ الْفَقْرَ وَيَأْمُرُكُم بِالْفَحْشَاءِ
Tarjuma: Shaytaan Tumhein Faqeeri Sey Dhamkaata Hai or Behayai Ka Hukm Deta Hai.
(Surah Baqarah: Surah No: 2  Ayat No: 268)

(24) Baghair Wuzu Ke Quran Majeed Parhna:
Afzal Yahi Hai Ke Wuzu Karkay Quran Ki Tilawat Karey Lekin Baghair Wuzu Ke Bhi Mushaf Se Tilawat Karna Jayez Hai, Is Liye Yeh Baat Kehna Bilkul Galat Hai Ke Baghair Wuzu Ke Quran Majeed Parhnay Se Ghareebi Aati Hai.

(25) Istinja Karte Waqt Batein Karna:
Aaj Kal Gharon Mein Bait ul Khala Baney Hotey Hain Aur Aadmi Pardey Mein Hota Hai, Is Liye Zaroorat Ke Tehat Istinja Aur Qaza e Haajat Ke Waqt Kalaam Karney Mein Koi Harj Nahi Hai.
Is Silsilay Mein Aik Hadees Aati Hai:
لا يخرجُ الرجلانِ يضربانِ الغائطَ كاشفَينِ عن عوراتِهما يتحدَّثانِ ، فإنَّ اللهَ يمقُتُ على ذلك
Tarjuma: Do Mardon Key Liye Ye Jayez Nahi Hai Key Wo Bait ul Khala Key Liye Niklen, To Apni Apni Sharamgaah Khuli Rakh Kar Aapas Mein Baatein Karney Lagen, Kiyunke Allah Taala Is Baat Par Naraaz Hota Hai.
{Sahih At-Targheeb (Albani): 155}

Is Hadees Mein Qaza e Haajat Ke Waqt Baat Karney Ki Mumaniyat Do Baton Ke Sath Hai.
Pehli Baat: Dono Baat Karney Waley Aadmi Apni Sharmgaah Kholey Hue Hon.

Doosri Baat: Woh Dono Aik Dosray Ko Dekh Rahey Hon.
Yunhi (Bina Zaroorat) Istinja or Qaza e Haajat Key Waqt Baat Karna Makrooh Hai Magar Zaroorat Ke Tehat (Waqt) Baat Kar Saktey Hain.
Sheikh Ibn e Uthaimeen Rahimahullah Se Sawal Kiya Gaya Ke Qaza e Haajat Se Pehlay Hamaam Ke Andar Baat Karney Ka Kya Hukm Hai?
To Shaikh Ne Jawab Diya: Is Mein Koi Harj Nahi Hai, Khaas Taur Sey Us Waqt Jab Koi Zaroorat Ho, Kiyunkay Is Ki Mumaniyat Ki Koi Sarahat (Wazahat) Nahi Hai Siwaye Is Soorat Ke Jab Do Aadmi Aik Dosrey Ke Paas Baith Ke Pakhana Karen Aur Dono Batain Karen. Aur Mujarrad (Sirf) Qaza e Haajat Wali Jagah Ke Andar Se Kalaam Karney Ki Mumaniyat Nahi Hai.

(26) Haath Dhoye Baghair Khana Khana:
Khanay Se Pehlay Haath Dhona Zaoori Nahi Hai, Riwayaat Se Pata Chalta Hai Ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Haath Dhoye Baghair Bhi Khana Khaya Hai. Khana Khanay Se Pehlay Haath Dhoney Wali Koi Rivayat Sahih Nahi Hai Siwaye Aik Rivayet Ke Jo Nasai Mein Hai.
عَنْ عَائِشَةَ، رضى الله عنها أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم كَانَ إِذَا أَرَادَ أَنْ يَنَامَ وَهُوَ جُنُبٌ تَوَضَّأَ وَإِذَا أَرَادَ أَنْ يَأْكُلَ غَسَلَ يَدَيْهِ
Tarjuma: Hazrat Aisha Radhiallahu Anha Se Rivayat Hai Unhon Ne Bayan Kiya Ke Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Jab Bhi Soney Ka Iradah Kartey Aur Aap Haalat e Janabat Mein Hotey To Wuzu Kartey Aur Jab Khanay Ka Iradah Kartey To Apne Dono Haath Dhotay.
(Sunan Nasai: 257 or 258)
Is Hadees Ko Sheikh Albani Rahimahullah Ne Sahih Qarar Diya Hai.

Is Rivayat Mein Mutlaq Haath Dhoney Ka Zikr Nahi Hai Balkey Janabat Se Mutalliq Hai, Is Liye Yeh Kaha Jayega Key Agar Haath Mein Gandagi Lagi Ho To Khanay Se Pehlay Haath Dho Lena Chahiye Warna Zaroorat Nahi Hai. Aur Is Se Mutalliq Gurbat Wali Baat Jhooti Hai.

(27) Apni Aulaad Ko Kosna:
Aulaad Ki Tarbiyat Walidain Ke Zimma Hai, Maa Baap Bachchon Ki Tarbiyat Ke Liye Daant Satkey Hain, Kos Saktey Hain, Balkay Maar Bhi Satkey Hain Kiyunkay Bachon Ke Silsilay Mein Ahem Cheez Un Ki Tarbiyat Hai.
Tarbiyat Ki Gharz (Maqsad) Se Bachchon Ko Maarny Ka Hukm Hamein Islam Ne Diya Hai:
مُرُوا أَوْلاَدَكُمْ بِالصَّلاَةِ وَهُمْ أَبْنَاءُ سَبْعِ سِنِينَ وَاضْرِبُوهُمْ عَلَيْهَا وَهُمْ أَبْنَاءُ عَشْرِ سِنِينَ وَفَرِّقُوا بَيْنَهُمْ فِي الْمَضَاجِعِ
Tarjuma: Jab Tumhari Aulaad Saat (7) Saal Ki Umar Ko Pahonch Jayen To Unhein Namaz Ka Hukm Do Aur Jab Woh Das (10) Saal Key Ho Jayen To (Namaz Mein Kotahi Karney Par) Unhen Saza Do, Aur Bachchon Ke Sonay Mein Tafreeq Kar Do.
(Sunan Abu Daud: 495)
*Allama Alabani Rahimahullah Ne Sahih ul Jami’: 5868 Mein Sahih Kaha Hai) 

Imam Shafa’ee Rahimahullah Kehtey Hain: Bapon  Aur Maaon Ki Zimmedaari (Responsibility) Hai Ke Woh Apni Auladon Ko Adab Sikhayen. Taharat Aur Namaz Ki Taleem Den Aur Bashaour (Sentient) Honay Ke Baad (Kotahi Ki Surat Mein) Un Ki Pitaayi Karen.
(Sharah al Sunnah: 2 / 407)

(28) Darwazay Par Baithna:
Darwaaza se Logon Ka Aana Jaana Hota hai, Is Liye Adab Ka Taqaza Hai Ke Darwazay Pay Na Baithey, Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Hukm Farmaya Hai Key Raastey Ko Haq Do.
Lekin Agar Apna Ghar Ho, Logon Ka Aana Jaana Na Ho To Phir Apney Ghar Ke Darwazay Pay Bethnay Mein Koi Harj Nahi Hai. Farishtey Juma Ke Din Masjid Ke Darwazay Pay Khadey Rehtey Hain.
إِذَا كَانَ يَوْمُ الْجُمُعَةِ كَانَ عَلَى كُلِّ باب مِنْ أَبْوَابِ الْمَسْجِدِ الْمَلاَئِكَةُ، يَكْتُبُونَ الأَوَّلَ فَالأَوَّلَ، فَإِذَا جَلَسَ الإِمَامُ طَوَوُا الصُّحُفَ وَجَاءُوا يَسْتَمِعُونَ الذِّكْرَ ‏"
Tarjuma: Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ney Farmaya: Jab Juma Ka Din Hota Hai To Farishtay Masjid Ke Har Darwazay Par Kharey Ho Jatay Hain, Pehlay Anay Waley Ka Naam Pehlay, Us Ke Baad Aney Walay Ka Naam Us Ke Baad Likhte Hain (Isi Tarah Aney Walon Ke Naam Un Key Aaney Ki Tarteeb Se Likhtey Rehtay Hain). Jab Imam Khutba Deney Ke Liye (Mimber) Par Baith Jata Hai To Farishtay Apney Register (Jin Mein Aaney Walon Ke Naam Likhay Gaye Hain) Ko Lapait Detey Hain Aur Khutba Sunney Mein Mashghool Ho Jatay Hain.
(Sahih Muslim: 850 And Sahih Bukhari: 3211)

Darwazay Par Farsh Bichaaney Se Mutalliq Hazrat Anas Radhiallahu Anhu Se Marwi Rivayat Zaeef Hai:
عَنْ أَنَسٍ قَالَ: "نَهَى رَسُولُ اللَّهِ - صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ - أَنْ يُفْرَشَ عَلَى بَابِ الْبُيُوتِ، وَقَالَ: نَكِّبُوهُ عَنِ الْبَابِ شيئًا".(إتحاف الخيرة المهرة بزوائد المسانيد العشرة)
Is Ki Sanad Mein Musa Bin Mohammad Bin Ibrahim At-Taimi Zaeef Ravi Hai, Is Liye Yeh Hadees Na Qabil e Aitbaar Hai.

(29) Lehsun (Allium) Piyaaz (Onion) Ke Chilkey (Peels) Jalana:
Yeh Baat Bhi Shia Se Manqool Hai, Un Ki Kitab Jami' Al Akhbaar (الجامع الاخبار) Mein Mazkoor Hai Jisey Baaz (Kuch) Soofiyon Ney Apni Kitaab Mein Zikr Kar Diya Aur Logon Mein Mashhoor Ho Gayi. Is Baat Ko Turkistan Ke Hanfi Alim Burhanuddeen Zarnoji Ney Apni Kitaab"تَعْلِیْمُ الْمُتَعَلِّمِ طَرِیْقُ التَّعَلِّم" Mein Zikr Kiya Magar Islam Mein Is Baat Ki Koi Haqeeqat Nahi Hai.

(30) Faqeer Se Rooti Ya Phir Aur Koi Cheez Khareedna:
Yeh Baat Bhi Shia Ki Kitaab Jami' Al Akhbaar (الجامع الاخبار) Mein Maujood Hai. Faqeer To Khud Hi Mohtaaj Hota Hai Woh Kiyun Kisi Se kuch Becheyga Aur Agar Us Ke Paas Koi Qeemti Samaan Hai To Usay Baich Sakta Hai. Faqeer Se Kuch Khareedna Ghareebi Ka Sabab Ho To Koi Faqeer Maldaar Nahi Ho sakta Aur Faqeer Se Khareedney Wala Koi Maldaar Nahi Reh Sakta. Aqal o Naqal Dono Aitbaar Se Yeh Jhooti Baat Hai.

Jari Rahayga …………………. Agli Qist Ka Intizaar Farmaen.


Pehla Part: Click Here 
Teesra Part: Click Here 

Saturday, January 23, 2016

Kamyaab Shohar Bannay Key Liye 10 Tajaweez(Advices)

Kamyaab Shohar Bannay Key Liye 10 Tajaweez(Advices)



Tehqeeq Key Saath: Shaikh Maqbool Ahmed Salafi Hafizahullah 

Romanised By: Umar Asari



(1) Shreek e Hayaat (Wife) Key Liye Zebaish (Expositions) Ikhtiyar Kiijiye:
Apni Shreek e Hayaat (Biwi) Key Liye Khubsoorat Libaas Pehanye, Khushbu Lagayee. Aap Aakhri Baar Apni Biwi Key Liye Kab Banay Sanwre They?
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Farmaan Hai:
إنَّ اللهَ جميلٌ يحبُّ الجَمالَ
Tarjuma: Allah Taala Khud Bhi Khubsurat Hai Aur Khubsoorti Ko Pasand Farmata Hai.
(Silsila As-Sahiha: 4/167)
Jaisay Mard Chahtay Hain Key Un Ki Biwiyan Un Key Liye Zebaish Ikhtiyar Karen, Usi Tarah Khawateen Bhi Yeh Khuwahish Rakhti Hain Key Un Key Shohar Bhi Un Key Liye Zebaish (Khubsoorti) Ikhtiyar Karen. Yaad Rakhiye Key Allah Key Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ghar Lot-tay Waqt Miswaak Istemaal Karte.
سألتُ عائشةَ . قلتُ : بأيِّ شيءٍ كان يبدأُ النبيُّ صلَّى اللهُ عليهِ وسلَّمَ إذا دخل بيتَهُ ؟ قالتْ : بالسواكِ
Tarjuma: Hazrat Aisha Radhiallahu Anha Se Sawal Kiya Gaya Key Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Jab Ghar Mein Dakhil Hotay To Kis Cheez Se Shuru Kartey? To Unhon Ne Jawab Diya: Miswak Se.
(Sahih Muslim: 253)

(2) Shreek e Hayaat Ko Us Key Apne Mehboob Naam Se Pukara Jaye:
Bohat Se Log Apni Biwi Ko Buray Buray Alqab Se Pukartey Hain Jis Ki Wajah Se Biwi Key Dil Mein Hamesha Nafrat Bani Rehti Hai.
Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Apne Biwiyon Ko Us Ke Apney Naam Sey Pukara Kartey They. Jisa Key Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Farmaan Hai:
عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ عَبْدِ الرَّحْمَنِ، أَنَّهُ سَمِعَ أَنَسَ بْنَ مَالِكٍ ـ رضى الله عنه ـ يَقُولُ سَمِعْتُ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم يَقُولُ ‏ "‏ فَضْلُ عَائِشَةَ عَلَى النِّسَاءِ كَفَضْلِ الثَّرِيدِ عَلَى الطَّعَامِِ
Tarjuma: Anas Bin Malik Radhiallahu Anhu Kehtey Hain Key Meiney Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Farmatey Hue Suna Aap Keh Rahey They Ke Hazrat Aisha Radhiallahu Anha Ki Fazeelat Tamam Aurton Mein Waisay Hi Hai Jaisay Saaray Khaano Mein Sareed (ثرید).
(Sahih Bukhari: 3770 And Sahih Muslim:2446)
Agar Shohar Biwi Ko Us Key Pasandeeda Naam Se Pukarey To Yeh Bhi Achcha Hai, Is Se Mohabbat Mein Izafa Hoga.

(3) Khoobiyon Ki Qadr Kijiye:
Apni Shrik e Hayaat Se Makhkhi Jaisa Bartao Mat Kijiye. Apni Roz Marrah (Daily Ki) Zindagi Mein Hum Makhkhi Key Baray Mein Sochtey Bhi Nahi, Yahan Tak Key Woh Hamein Tang Kare. Isi Tarah Baaz Auqaat (Some Times) Aurat Tamam Din Achcha Kaam Kar Key Bhi Shohar Ki Tawajjo Haasil Nahi Kar Paati, Yahan Tak Key Us Ki Koi Galati Shohar Ka Dhiyaan Khech Leti Hai. Aisa Bartao Mat Kijiye, Yeh Galat Hai. Us Ki Khoobiyon Ki Qadr Kijiye Aur Unhin Khoobiyon Par Dhiyaan Dijiye. 
خَيْرُكُمْ خَيْرُكُمْ لأَهْلِهِ، وَأَنَا خَيْرُكُمْ لأَهْلِي  
Tarjuma: Tum Mein Se Behtar Woh Hai Jo Apne Ghar Walon Ke Sath Behtar Bartao Karney Wala Hai. Aur Mein Tum Sab Mein Apne Ghar Walon Se Behtareen Paish Anay wala Hon.
(Ibne Majah: 1977 And Tirmidhi: 3895)

(4) Galatiyon Ko Maaf Kijiye:
Agar Aap Apni Shreek e Hayaat Se Koi Galati Hotay Dekhen To DarGuzar (Maaf) Kijiye. Yahi Tareeqa Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Apnaya Key Jab Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Azwaaj e Mutahharat Se Kuch Ghair Mozoon (Ghair Munasib) Hotay Dekha To Aap Ne Khamoshi Ikhtiyar Ki. Is Usloob (Andaaz) Mein Bohat Hi Kam Musalman Mard Mahaarat Rakhtay Hain.
Tarjuma:Hazrat Umm e Salma Radhiallahu Anha Sey Riwayat Hai Key Woh Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Aur Sahaba Radhiallahu Anhum Key Liye Aik Chaudey Bartan Mein Khana Layein. (Itnay Mein) Hazrat Aisha Radhiallahu Anha Aa Gaien. Unhon Ne Aik Chadar Ourh Rakhi Thi Aur Un Key Paas Aik Paththar Tha. Unhon Ney Paththar Maar Kar Bartan Tod Diya. Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Ne Bartan Key Dono Tukdon Ko Mila Kar Rakha Aur Do Baar Farmaya: Khao, Tumhari Maa Ko Ghairat Aagai Thi. Us Key Baad Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ney Hazrat Aisha Radhiallahu Anha Ka Bartan Ley Kar Hazrat Umm e Salma Radhiallahu Anha Key Haan (Ghar, Paas) Bhej Diya Aur Hazrat Umm e Salma Radhiallahu Anha Ka (Toota Hua) Bartan Hazrat Aisha Radhiallahu Anha Ko Day Diya.
(Sunan Nasai: Kitab: عشرة النساء, Baab:  الغیرۃ: Hadees No: 3956)
*Allama Albani Rahimahullah Ne Hadees Ko Sahih Kaha Hai. 
(Sahih Sunan Nasai: 3693)

(5) Shreek e Hayaat Ko Dekh Kar Muskuraiyee:
Jab Bhi Apni Biwi Ko Dekhen To Dekh Kar Muskura Dijiye Aur Aksar Galey Lagaiye. Muskurana Sadqa Hai Aur Aap Ki Shareek e Hayat Ummat e Musilmah Se Alag Nahi Hai.
تبسُّمُكَ في وجْهِ أخيكَ لَكَ صدقةٌ
Tarjuma: Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya : Tumhara Apne Bhai Par Muskurana Bhi Sadqa Hai.
(Tirmidhi: 1956)
Tasawwur Kijiye Key Aap Ki Shreek e Hayaat Aap Ko Hamesha Muskuratey Hue Dekhe To Aap Ki Zindagi Kaisi Guzraygi. Un Ahadees Ko Yaad Kijiye Ke Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Namaz Key Liye Jaane Se Pehlay Apni Zauja (Biwi) Ko Bosa Detey Jabkay Aap Rozey Ki Haalat Mein Hotey.
عن عائشة رضي الله عنها قَالَتْ : كَانَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يُقَبِّلُ وَيُبَاشِرُ وَهُوَ صَائِمٌ وَكَانَ أَمْلَكَكُمْ لأرْبِهِ
Tarjuma: Aisha Radhiallahu Taala Anha Bayan Karti Hain Key Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Un Se Roze Ki Haalat Mein Bos o Kinar Kiya Karte They, Aur Unhen Apne Aap Par Tum Se Ziyadah Control Tha.
(Sahih Bukhari: 1927 And Sahih Muslim: 1106)

(6) Shukriya Ada Kijiye:
Woh Tamam Kaam Jo Aap Ki Shreek e Hayaat Aap Key Liye Karti Hain, Un Sab Key Liye Un ka Shukriya Ada Kijiye. Baar Baar Shukriya Ada Kijiye, Misaal Ke Taur Par (For Example) Ghar Par Raat Ka Khana Woh Aap Key Liye khana Banati Hai, Ghar Saaf Karti Hai Aur Darjanon (Dozens) Dosrey Kaam Karti Hai To Aap Shukriya Ada Karen.
مَنْ لاَ يَشْكُرِ النَّاسَ لاَ يَشْكُرِ اللَّهَ
Tarjuma: Jo Logon Ka Shukriya Ada Nahi Karta Woh Allah Ka Shukr Bhi Ada Nahi Karta.
(Tirmidhi: 1954 or 1955)

Aksar Dekha Jata Hai Key Shukriya Key Bajaye Har Kaam Ki AibJoi (Kami Nikali) Jati Hai. Baaz Auqaat Wahid (Ek)‘Tareef’ Jis Ki Woh Mustahiq Qarar Paati Hai Woh Yeh Key 'Aaj Saalan Mein Namak Kam Tha . Khudaaraa (Allah Key Waastey)! Aisa Mat Kijiye. Us Ka AhsaanMand Rahiye.

(7) Shreek e Hayaat (Biwi) Ko Khush Rakhiye:
Apni Shreek e Hayaat Se Kahiye Ke Woh Aisi 10 Baton Se Mutalliq Aagah Karey (Bataye) Jo Aap Ne Us Key Liye Ki Aur Woh Cheezen Us Ki Khushi Ka Baais (Sabab) Banin. Phir Aap Un Cheezon Ko Apni Shreek e Hayaat (Biwi) Key Liye Dohraiye. Ho Sakta Hai Key Yeh Janna Mushkil Ho Ke Kya Cheez Usay Khushi Day Sakti Hai. Aap Is Baray Mein Khud Se Qayaas (Andaza, Supposedly) Mat Kijiye, Barah e Raast (Direct) Apni Shreek e Hayaat (Biwi) Se Maloom Kijiye Aur Aisay Lamhon Ko Apni Zindagi Mein Baar Baar Dohratey Rahiye.

(8) Aaraam Ka Khayaal Rakhiye:
Apni Shreek e Hayaat (Biwi) Ki Khuwahishaat Ko Kam Mat Jaaniye. Usay Aaraam Pahunchaiye Baaz Auqaat (Some Times) Shohar Apni Biwion Ki Khuwahishaat Ko Hiqarat (Abhorrence) Ki Nigah Se Dekhtey Hain. Aisa Mat Kijiye.
هُوَ الَّذِي خَلَقَكُم مِّن نَّفْسٍ وَاحِدَةٍ وَجَعَلَ مِنْهَا زَوْجَهَا لِيَسْكُنَ إِلَيْهَا
Tarjuma: Woh Allah Taala Aisa Hai Jis Ne Tum Ko Aik Tan Sey Paida Se Kiya Aur Usi Se Us Ka Joda Banaya Taakey Woh Us Apne Jodey Se Sukoon Haasil Karey. 
(Surah al Aaraf: Surah No: 7  Ayat No: 188)
Biwi Apne Shohar Ko Raahat o Sukoon Dainay Wali Hai Lehaza Mard Ko Bhi Apni Biwi Ki Raahat Ka Bharpoor Khayaal Rakhna Chahiye.

(9) Mazah (Humors, Fun) Kijiye :
Apni Shreek e Hayaat (Biwi) se Mazah Kijiye Aur Us Ka Dil Behlaiye. Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Mazah Kiya Kartey They Aur Logon Ka Dil Behlaya Kartey They.
عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، قَالَ قَالُوا يَا رَسُولَ اللَّهِ إِنَّكَ تُدَاعِبُنَا ‏.‏ قَالَ ‏ "‏ إِنِّي لاَ أَقُولُ إِلاَّ حَقًّا
Tarjuma: Hazrat Abu Hurairah Radhiallahu Anhu Se Riwayat Hai Key Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Se Sahaba Ne Kaha Key Aye Allah Key Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Aap Hum Se Khush Tab’ee (Pleasantry) Ki Baatein Kartey Hain. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ney Farmaya (Haan Lekin) Mein Haq Baat Hi Kehta Hon.
(Tirmidhi: 1990)
Aap Bhi Mazah (Fun) Key Zareya Apni Biwi Ka Dil Jeet Satkey Hain Magar Yaad Rahey Khush Tab’ee (Pleasantry) Ya Mazah (Fun) Mein Bhi Biwi Ki Jhooti Tareef Ya Jhoota Mazaq Nahi Karna Chahiye.

(10) Behtar Banney Ki Koshish Kijiye:
Hamesha Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Key Yeh Alfaaz Yaad Rakhiye:
خَيْرُكُمْ خَيْرُكُمْ لأَهْلِهِ، وَأَنَا خَيْرُكُمْ لأَهْلِي  
Tarjuma: Tum Mein Se Behtar Woh Hai Jo Apne Ghar Walon Ke Sath Behtar Bartao Karney Wala Hai. Aur Mein Tum Sab Mein Apne Ghar Walon Se Behtareen Paish Anay wala Hon.
(Ibne Majah: 1977 And Tirmidhi: 3895).
Is Liye Aap Bhi Hamesha Behtar Banney Ki Koshish Kijiye Aur Apni Azdawaji Zindagi (Married Life) Ko Kamyaab Bananay Ke Liye Allah Key Huzoor Dua Karna Mat Bhulye Kiunkay Allah Ki Madad Key Baghair Kuch Bhi Mumkin Nahi Hai, Woh Hamarey Mamlaat Sey Bakhabar Hai.

Note: “Kaamyaab Shohar Banney Key Liye 10 Tajaweez” Mein Aik Misali Shohar Banney Key Liye Achchay Sifaat Ka Zikr Hai, Yeh Bohat Dino Se Social Media Pay Gardish Mein Hai, Aik Bahi Khuwa (Biradram Abu Abdullah Hafizahullah) Ney Isay Tahaqeeq Key Saath Likhney (Share) Karney Ka Mahswara Diya To Mein Ne Isay Hawalon (References) Se Muzayyan Kiya (Means References Is Mein Zikr Kiye) Aur Khamiyan Door Kar Di.

Thursday, January 21, 2016

Logon Mein Phaili 40 Ghalat Fehmiyan (Part-1)

بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيم

Logon Mein Phaili 40 Ghalat Fehmiyan (Part-1)



Tahreer: Shaikh Maqbool Ahmed Salafi Hafizahullah 

Romanized By: Umar Asari

Social Media Par Kai Mahino Se Aik Post Ghoom Rahi Hai Jis Mein Bataya Gaya Hai Key 40 Baton Se Ghar Mein Gurbat (Ghareebi) Aati Hai. Aaiye Aik Aik Karkey Un Baton Ko Dekhtey Hain Ki Wo Kitni Sahih Hain:

(1) Ghusl Khanay Mein Pishaab Karna:
Hamaam (Ghusl Khaney) Mein Peshaab Karney Se Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Mana Farmaya hai Magar Us Waqt Ke Hamaam Matti Ke Hotay They or Aaj Kal Key Hamaam Pakkey Hotey Hain, Is Liye Us Mein Peshaab Karna Jayez Hai. Aur Yeh Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Key Farmaan Mein Nahi Hai Key Hamaam Mein Peshaab Karne Sey Gurbat (Ghareebi) Aati Hai, Hazrat Ali Radhiallahu Anhu Ki Taraf Yeh Qoul (Baat) Mansoob Kiya Jata Hai Magar Yeh Jhoot Hai.


(2) Tooti Hui Kanghi (Comb) Se Kangha Karna:
Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Hukm Hai : Jis Key Baal (Hairs) Hon Woh Un Ki Izzat Karey.
(Abu Daud: 4163) Sahih

Is Hadees Sey Pata Chala Key Balon Ki Zeenat Key Liye Kanghi Karni Chahiye. Chahay Kanghi Tooti Ho Ya Salim Ho (Tooti Hue Na Ho), Agar Kaam Layeq Hai To Kanghi Karen Koi Harj Nahi Hai Aur Na Hi Is Key Karne Sey Gareebi Aati Hai.

(3) Toota Hua Samaan Istemaal Karna:
Toota Hua Samaan Kaam Key Laiq Ho To Us Ka Istemaal Jayez Hai.
Hazrat Umm e Salma Radhiallahu Anha Sey Riwayat Hai Key Woh Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Aur Sahaba Radhiallahu Anhum Key Liye Aik Chaudey Bartan Mein Khana Layein. (Itnay Mein) Hazrat Aisha Radhiallahu Anha Aa Gaien. Unhon Ne Aik Chadar Ourh Rakhi Thi Aur Un Key Paas Aik Paththar Tha. Unhon Ney Paththar Maar Kar Bartan Tod Diya. Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Ne Bartan Key Dono Tukdon Ko Mila Kar Rakha Aur Do Baar Farmaya: Khao, Tumhari Maa Ko Ghairat Aagai Thi. Us Key Baad Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ney Hazrat Aisha Radhiallahu Anha Ka Bartan Ley Kar Hazrat Umm e Salma Radhiallahu Anha Key Haan (Ghar, Paas) Bhej Diya Aur Hazrat Umm e Salma Radhiallahu Anha Ka (Toota Hua) Bartan Hazrat Aisha Radhiallahu Anha Ko Day Diya.
(Sunan Nasai: Kitab: عشرة النساء, Baab:  الغیرۃ: Hadees No: 3956)
*Allama Albani Rahimahullah Ne Hadees Ko Sahih Kaha Hai. 
(Sahih Sunan Nasai: 3693)

(4) Ghar Mein Koda Karkat (كوڑا کرکٹ) Rakhna: 
Ghar Ka Koda Karkat Ghar Key Kisi Konay Mein Jama Karney Mein Koi Harj Nahi Hai, Jab Ziyada Ho Jaye To Phenk Den. Is Mein Aik Ehtiyat Yeh Hona Chahiye Key Khanay Peenay Ki Bachi Hui Zayed (Zada) Cheezen Zaya (Barbad) Na Karen Balkay Kisi Ko De Den. Ghar Mein Koda Rakhnay Se Gareebi Aati Hai Yeh Bhi Hazrat Ali Radhiallahu Anhu Ki Taraf Mansoob Jhooti Baat Hai.

(5) Rishtey Daron Sey BadSulooki Karna:
Aisa Koi Khaas Farmaan e Nabwi Sallallahu Alaihi Wasallam Nahi Hai Key Rishtey Daaron Sey BadSulooki Gurbat Ka Sabab (Reason) Hai, Lekin Bohat Saaray Aisay Dalail Hain Jin Se Pata Chalta Hai Key Masiat (Nafarmani) Aur Gunah Key Kaam Se Rizq Mein Tangi Hoti Hai.

(6) Bayen Pair Sey Pajamah Pehnna:
Mumkin Hai Key Is Se Murad Ho Pajama Pahannay Mein Bayen Janib Se Shuru Karna. Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Sharf Wala Kaam Dayen Se Pasand Farmatay They, Is Bina Par (Is Wajah Sey) Dayen Janib Sey Pajama Pehnna Behtar or Mustahab Hai Jaisa Key Hadees Mein Ye Baat Maujood Hai. (Dekhen: Sahih Bukhari: 168). 
Magar Kisi Ne Bayen Se Pehan Liya To Koi Masiat (Nafarmaani) Nahi Hai Aur Na Hi Yeh Faqr o Faqa (Poverty and Starvation) Ka Sabab Banay Ga.

(7) Maghrib or Isha Key Darmiyan Sona:
Maghrib Aur Isha Key Darmiyan Sona Makrooh Hai, Is Ka Sabab Isha Ki Namaz Faut Ho Jana Hai Is Liye Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Isha Sey Pehlay Sona Aur Isha Key Baad Baat Karna Napasand Farmatay They. Jaisa Ki Hadees Mein Aaya Hai (Dekhen Bukhari: 568). 
Agar Koi Adatan (Routin Key Etbaar Sey) Nahi Zarooratan (Zaroorat Ki Wajah Sey) Kabhi So Jaye To Woh Isha Ki Namaz Aadhi Raat Se Pehlay Kabhi Bhi Parh Le.

(8) Mehman Anay Par Naraaz Hona:
Islam Ne Mehmaan Ki Khatir Daari Par Ubhara Hai, Lihaza Kisi Mehman Ki Aamad Par Narazgi Ka Izhaar Na Karen. Mehman Nawazi Bahar Se Anay Walay Musafir Ke Wastay Wajib Hai Aur Jo Muqeem Ho Us Ki Ziyafat Ehsaan o Sulook Ke Darjay Mein Hai. Jis Ney Ziyafat Mein Ehsaan Ko Chora Us Par Gunah Nahi Magar Wajibi Ziyafat Ko Chorney Par Masiyat (Nafarmani) Aeyegi. (Ahadees Key Liye Dekhen: Sahih Bukhari: 6135 or 6138)

(9) Aamdani Se Ziyada Kharch Karna:
Isay Bewaqoofi, Hamaqat, Nasamjhi Aur Faash Galati (Jo Galati Zahir Ho) Keh Satke Hain.

(10) Daant (Teeth) Se Rooti Kaat Kar Khana:
Daant Se Rooti Kaat Kar Khanay Se Gareebi Nahi Aati, Agar Aisa Hota To Duniya Mein Koi Maldaar Hi Nahi Hota Kiyunkay Danton (Tooth) Se Kaat Kar Hi Log Badey Hotay Hain. Rooti To Haath Se Bhi Tori Ja Sakti Hai Magar Aisi Bhi Bohat Cheezen Hain Jinhein Aksar Daant Se Hi Kaat Kar Khaya Jata Hai. Aaj Angrezi Style Aaya Hai Aur Dihaton (Villages) Mein To Nahi Shehron Mein Khanay Key Sath Chaaqo (Knife) Rakh Detey Hain Jabkay Aaj Se Pehlay Yeh Style Nahi Chalta Tha.

(11) Chalees Din Se Ziyada Zer e Naaf Ke Baal Rakhna:
Chalees Din Ke Andar Zer e Naaf Key Baal Saaf Kar Lena Chahiye Kiyunkay Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Yahi Had Muqarrar Ki Hai. Jaisa Ki Sahih Muslim Mein Hadees Hai. (Dekhen: Sahih Muslim: 258). Jo Is Se Ziyada Takheer (Late) Karte Hain Woh Sunnat Ki Mukhalifat Karte Hain.

(12) Daant (Teeth) Se Nakhun (Nails) Kaatna:
Islam Mein Kahin Danton (Tooth) Se Nakhun Kaatnay Ki Momaniyat Nahi Aayi Hai, Lekin Chunkay Islam Sehat Ki Hifazat Par Dhiyaan Dilaata Hai Is Liye Agar Daant Se Naakhun Kaatnay Mein Koi Tibbi (Medical) Nuqsaan Ka Pehlu Nikalta Ho To Is Se Parhaiz Kiya Jaye (Bacha Jaye) Aur Agar Is Mein Nuqsaan Nahi To Bhi Daant Se Nakhun Kaatna Sahih Nahi Lagta Kiyunkay Naakhun Mein Gandagi Hoti Hai Aur Gandi Cheez Ko Mun Se Pakarna Aur Danton Se Kaatna Sahih Nhi Lagta Kiunki Naakhun Mein Gandagi Hoti Hai Aur Gandi Cheez Ko Mun Se Pakarna Aur Danton Se Kaatna Sahih Nahi Hai, Khusoosan (Khaas Taur Sey) Logon Ke Samnay.

(13) Khadey Khadey Pajama Pehanna:
Pajama Khadey or Padey Dono Pehan Satkey Hain, Aap Ko Jismein Aasaani Ho Usey Ikhtiyar Karen. Aur Kisi Par koi Gunah Koi Faqr (Greebi, Poverty) Nahi Shariat Ki Janib Se.

(14) Aurton Ka khadey Khadey Baal Bandhna:
Yeh Koi Masla Nahi Hai. Is Mein Aik Hi Baat Ahem Hai Ke Aurat Ajnabi Mard Ke Samnay Baal Na Bandhay. Baqi Woh Khadey Ho Kar, Baith Kar Aur So Kar Kisi Bhi Tarah Baal Bandh Sakti Hai.

(15) Phatay Hue Kapray Jism Par Seena:
Phatay Hue Kapray Jism Par Hotay Hue Rafoo Karna Aasaan Ho To Is Mein Koi Harj Nahi Aur Utaarnay Ki Zaroorat Padey To Us Soorat Mein Usay Utaarna Hi Hoga.

Jari Raheyga…………………...

Iska Pahla Or Doosra Part Hasil Karen:
Part-2
Part-3

Naikiyan Aur Buraiyan Likhnay Walay Farishtay

بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيم


Naikiyan Aur Buraiyan Likhnay Walay Farishtay


Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah


Har Shakhs Key Sath Kayi Farishtay Lagey Hue Hain, Un Farishton Mein Se Do Farishtay Jinhein Kiraman Katibeen (کراما کاتبین) Kaha Jata Hai Woh Logon Ki Achchi Buri Baat Likhnay Par Allah Ki Taraf Se Mamoor Hain. Yani Logon Mein Se Koi Bhi Aisa Shakhs Nahi Hai Jis Key Sath Us Key Chootey, Badey, Achchey or Buray Aamaal Ko Likhnay Key Do Farishtay Na Hon.

Allah Taala Ka Farmaan Hai:
وَإِنَّ عَلَيْكُمْ لَحَٰفِظِينَ¤ كِرَامًا كَٰتِبِينَ¤ يَعْلَمُونَ مَا تَفْعَلُونَ
Tarjumah: Yaqenan Tum Par Nigehbaan Izzat Waley¤ Likhney Waley Muqarrar Hein¤ Jo Kuch Tum Kartey Ho Wo Jantey Hein
(Surah No: 82 Ayat No: 10 To 12)

Yeh Farishtay Insaan Ki Achhai Burayi Jantay Hain Aur Usay Hamesha Likhte Rehtay Hain, Is Liye Insaan Ko Har Amal Sey Pehlay Soch Lena Chahiye Key Woh Acha Hai Ya Bura?
Aik Doosri Jagah Isi Baat Ka Allah Taala Ne Is Tarha Zikr Farmaya hai :
وَلَقَدْ خَلَقْنَا ٱلْإِنسَٰنَ وَنَعْلَمُ مَا تُوَسْوِسُ بِهِۦ نَفْسُهُۥ ۖ وَنَحْنُ أَقْرَبُ إِلَيْهِ مِنْ حَبْلِ ٱلْوَرِيدِ¤ إِذْ يَتَلَقَّى ٱلْمُتَلَقِّيَانِ عَنِ ٱلْيَمِينِ وَعَنِ ٱلشِّمَالِ قَعِيدٌ¤ مَّا يَلْفِظُ مِن قَوْلٍ إِلَّا لَدَيْهِ رَقِيبٌ عَتِيدٌ

Tarjumah: Hum Ney Insaan Ko Paida Kiya Hai Aur Us Kay Dil Mein Jo Khayalaat Uthtay Hain Un Say Hum Waqif Hain Aur Hum Us Ki Rag-e-Jaan Say Bhi Ziyadah Us Say Qareeb Hain. Jis Din Do Lenay Walay Ja Letay Hain Aik Dayen Taraf Aur Aik Bayen Taraf Betha Hua Hai. (Insan) Mun Say Koi Lafz Nikal Nahi Pata Magar Ke Us Kay Pass Nigehbaan Tayyar Hain.
(Surah No: 50 Ayat No: 16 To 18)

Is Aayat Mein Sarahat (Wazahat) Ke Sath Zikr Howa Hai Key Do Farishtay Dayen Aur Bayen Maujood Hain Jo Hamari Har Baat Likhtey Rehtay Hain. Dayen Taraf Wala Nekiyan ‌Aur Bayen Taraf Wala Buraiyan Likhta Hai.

Upar Zikr Kiye Gaye Dalail Say Pata Chalta Hai Key Insaan Ki Neki Aur Burai Likhnay Key Liye Do Farishtay Mamoor Hain (Lagaye Gaye Hain). Aik Dayen Kandhay Par Jo Neki Likhta Hai Aur Aik Bayen Kandhay Par Jo Burai Likhta Hai. Ahadees Se Yeh Bhi Pata Chalta Hai Key Din Key Do Farishtay Alag Aur Raat Key Do Farishtay Alag Hain‌.

Farishtay Ki Badli Ka Ilm Mandarja Zail (Following) Aayat Say Hota Hai:
لَهُ مُعَقِّبَاتٌ مِّن بَيْنِ يَدَيْهِ وَمِنْ خَلْفِهِ يَحْفَظُونَهُ مِنْ أَمْرِ اللَّهِ إِنَّ اللَّهَ لَا يُغَيِّرُ مَا بِقَوْمٍ حَتَّىٰ يُغَيِّرُوا مَا بِأَنفُسِهِمْ وَإِذَا أَرَادَ اللَّهُ بِقَوْمٍ سُوءًا فَلَا مَرَدَّ لَهُ وَمَا لَهُم مِّن دُونِهِ مِن وَالٍ¤
Tarjumah: Us Kay Pehraydaar Insaan Kay Aagay Peechay Muqarrar Hain Jo Allah Kay Hukm Say Us Ki Nigehbani Kartay Hain. Kisi Qaum Ki Halat Allah Taalaa Nahi Badalta Jab Tak Ke Woh Khud Usay Na Badlen Jo Un Kay Dilon Mein Hai. Allah Taalaa Jab Kisi Qaum Ki Saza Ka Irada Kar Leta Hai To Woh Badla Nahi Karta Aur Siwaye Us Kay Koi Bhi Un Ka Kaarsaaz Nahi.
(Surah No: 13 Ayat No:11)

Is Aayat Mein “معقبات” Ka Lafz Istemaal Howa Hai Jo “معقبۃ” Ki Jama (Plural) Hai. Is Ka Ma’na (Meaning) Hai “Aik Dosray Key Peechay Anay Walay. Is Se Murad Farishtay Hain Jo Baari Baari Aik Dosray Key Baad Aatey Hain. Din Key Farishtay Jatay Hain To Shaam Key Aa Jatey Hain, Shaam Key Jatay Hain To Din Key Aa Jatey Hain.
(Tafseer Ahsan al Bayan)

Allah Taala Apne Bandon Par Kis Qadar Meharban Hai Key Dil Mein Paida Honay Walay Ghalat Khayalat Maaf Kar Deyta Hai Magar Kisi Ne Neki Ka Iradah Kiya Lekin Neki Na Kar Saka Phir Bhi Neki Likh Di Jati Hai. Subhan Allah al Azim (سبحان اللہ العظیم).
عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ ـ رضى الله عنه ـ عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم قَالَ ‏ "‏ إِنَّ اللَّهَ تَجَاوَزَ عَنْ أُمَّتِي مَا حَدَّثَتْ بِهِ أَنْفُسَهَا، مَا لَمْ تَعْمَلْ أَوْ تَتَكَلَّمْ
Tarjumah: Hazrat Abu Huraira Radhiallahu Anhu Se Riwayat Hai Key Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ney Farmaya : Beshak Allah Taala Ney Meri Ummat Se Us Waqt Tak Darguzar (Maaf) Kar Diya Hai (Us Cheez Ko) Jo Us Key Dil Mein (Bura) Khayaal Paida Hota Hai Jab Tak Key Us Par Amal Na Kare Ya Bol Na Dey. 
(Sahih Bukhari: 5269 or Sahih Muslim:127)

Or Doosri Hadees Mein Hai:
عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم قَالَ ‏ "‏ يَقُولُ اللَّهُ إِذَا أَرَادَ عَبْدِي أَنْ يَعْمَلَ سَيِّئَةً فَلاَ تَكْتُبُوهَا عَلَيْهِ حَتَّى يَعْمَلَهَا، فَإِنْ عَمِلَهَا فَاكْتُبُوهَا بِمِثْلِهَا وَإِنْ تَرَكَهَا مِنْ أَجْلِي فَاكْتُبُوهَا لَهُ حَسَنَةً وَإِذَا أَرَادَ أَنْ يَعْمَلَ حَسَنَةً فَلَمْ يَعْمَلْهَا فَاكْتُبُوهَا لَهُ حَسَنَةً، فَإِنْ عَمِلَهَا فَاكْتُبُوهَا لَهُ بِعَشْرِ أَمْثَالِهَا إِلَى سَبْعِمِائَةٍ
Tarjumah: Abu Hurairah Radhiallahu Anhu Ne Bayan Kiya Key Rasool e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya: Allah Taala (Farishton Sey) Farmata Hai Key Jab Mera Banda Kisi Burayi Ka Iradah Karey To Usay Na Likho Yahan Tak Key Wo Usay Kar Na Le. Agar Wo Us Burai Ko Kar Le To Usay Us (Gunah) Key Barabar (Misl) Likho Aur Agar Us Burayi Ko Mere Khauf Se Chor Day To Us Key Haq Mein Aik Neki Likho, Aur Agar Banda Koi Neki Karney Ka Iradah Karey Lekin Usey Na Kar Sakey To Us Key Hissey Mein (lradah Hi Par) Aik Neki Likh Do, Fir Agar Wo Neki Kar Le To Uskey Liye 10 Sey 700 Guna Tak Likho. 
(Sahih Bukhari: 7501)

Aik Or Hadees Mein Hai:
عن أبي أمامة : أن رسول الله صلى الله عليه وسلم قال : إن صاحب الشمال ليرفع القلم ست ساعات عن العبد المسلم المخطئ ، فإن ندم واستغفر الله منها ألقاها ، وإلا كتبت واحدة
Tarjumah: Abu Umama Radhiallahu Anhu Bayan Kartey Hain Key Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ney Farmaya : Bayen Taraf Wala Galati Karney Walay Musalman Sey Che (6) Ghantay Tak Qalam Uthaye Rakhta Hai To Agar Woh Apne Kiye Par Nadim Ho Aur Allah Taala Sey Isteghfaar Karey Usay Khatm Kar Deta Hai Agar Na Karey To Aik Gunah Likhta Hai.
(Al Mo’Jam Al Kabeer (At-Tabrani: 8/158)
Is Hadees Ko Allama Albani Rahimahullah Ney (Sahih al Jama’: 2/212) Mein Sahih Kaha Hai.

Yaqeenan Allah Taala Bada Meharban Nihayat Reham Karney Wala Hai.

Romanized By: Umar Asari

Wednesday, January 20, 2016

Quran o Hadees Ka Baahmi Rabt

Quran o Hadees Ka Baahmi Rabt


Shaikh Maqbool Ahmed Salafi Hafizahullah 


Quran aur Hadees Dono Aik Hi Sikkey Ke Do Rukh Hain, Quran Ko Hadees Se Alag Nahi Kiya Ja Sakta Is Liye To Quran Ko Baghair Hadees Ke Samjha Hi Nahi Ja Sakta Hai. Isi Bina Par Allah Ta’ala Ne Apni Itaat Ke Sath Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Bhi Itaat Ka Hukm Diya Hai. Allah Ta’ala Ka Farmaan Hai :
قُلْ أَطِيعُواْ اللّهَ وَالرَّسُولَ فإِن تَوَلَّوْاْ فَإِنَّ اللّهَ لاَ يُحِبُّ الْكَافِرِينَ
Tarjuma: Aye Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Aap Keh Den Ki Allah or Rasool Ki Itaat Karo Phir Agar Woh Rogardani Karen To Allah Ta’ala Kafiroon Ko Pasand Nahi Karta.
(Surah Aal e Imran:  Surah No: 3  Ayat No: 32)

Is Aayat Se Saabit Hota Hai Ke Jis Tarah Allah Ki Itaat Quran Ki Soorat Mein Zaroori Hai, Usi Tarah Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Itaat Hadees (Qoul, Feal, Taqreer Aur Sifat) Ki Soorat Mein Zaroori Hai Balkay Yeh Dono Itaatein Darasal Aik Hi Hain. Jaisa Ki Allah Ta’ala Ka Farman Hai:
مَنْ يُّطِعِ الرَّسُوْلَ فَقَدْ اَطَاعَ اللهَ 
Tarjuma: Jo Shakhs Rasool Ki Itaat Karta Hai, Woh Giya Allah Ta’ala Ki Itaat Karta Hai.
(Surah Nisa: Surah No: 4  Ayat No: 80)

Quran o Hadees Ka Baahmi Rabt Is Baat Se Aur Bhi Wazeh Ho Jata Hai Ke Allah Taala Ne Quran Ki Tashreeh o Bayan Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Zimma Lagai Hai.
وَأَنزَلْنَا إِلَيْكَ الذِّكْرَ لِتُبَيِّنَ لِلنَّاسِ مَا نُزِّلَ إِلَيْهِمْ وَلَعَلَّهُمْ يَتَفَكَّرُونَ
Tarjuma : Aur Hum Ne Aap Ki Taraf Zikar (Quran) Nazil Farmaya Hai Taakay Aap Logon Ke Liye (Quran Ka Paigham) Khoob Wazeh Kar Den Jo In Ki Taraf Utaarey Gaye Hain Aur Taakay Woh Ghaur o Fikr Karen.
(Surah Nahl: Surah No: 16  Ayat No: 44)

Aur Phir allah Taala Ne Quran Majeed Mein Kayi Maqamat Pay Quran Ko Hadees Keh Kar Aur Bhi Wazeh Kardiya Ke Quran Hadees Hai.
Chunancha Aik Jagah Allah Ta'ala Farmata hai :
فَبِأَىِّ حَدِيثٍۭ بَعْدَ ٱللَّهِ وَءَايَٰتِهِۦ يُؤْمِنُونَ
Tarjuma: Pas Allah Ta’ala or Uski Aayaton Key Baad Kis Hadees (Quran) Par Emaan Layengey.
(Surah Jasiyah: Surah No: 45  Ayat No: 6)

Mazeed Farmaya:
فَبِأَىِّ حَدِيثٍۭ بَعْدَهُۥ يُؤْمِنُونَ 
Tarjuma: Ab Is Quran Key Baad Kis Baat Par Emaan Laayengey.
(Surah Mursalaat: Surah No: 77 Ayat No: 50)

Iskey Alawah or Bhi Kai Aayatein Hain Jin Mein Hadees Sey Murad Quran Hai, Isi Tarah Ek Mashhoor Hadees Mein Hai:
وَخَيْرُ الْحَدِيثِ كِتَابُ اللَّهِ
Tarjuma: Behtareen Baat (Hadees) Allah Ki Kitaab Hai.
(Sahih Muslim: 867)

Or Ek Hadees Mein Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Key Aqwaal, Af’aal or Taqareer Ko Hadees Kaha Gaya Hai.
(Mishkaat: Page:3)

Upar Zikr Kiye Gaye Dalail Se Yeh Baat Bilkul Wazih Ho Jati Hai Ke Quran Majeed Aur Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Aqwaal o Af’aal Aur Taqreer Hadees Hain. Aur Isi Tarah Ye Baat Bhi Maloom Ho Jaati Hai Key Quran Ka Hadees Se Kitna Gehra Rabt Hai Kiunki Yeh Bohat Aam Si Baat Hai Jis Ka Inkaar Koi Ziddi Hi Kar Sakta Hai.
In Baton Se Aik Aur Baat Ka Ilm Hota Hai Ke Ahal e Hadith Ka Matlab Quran Aur Hadees Waley .

Allah Taala Hamein Sahih Samajh Ataa Farmaye.


Ameeen

Romanized By: Umar Asari

Pepsi or Merinda Ka Hukm

بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيم

Pepsi or Merinda Ka Hukm


Mera ek sawal hai Shiakh Maqbul se or is ka jawab bahut jaruri hai rasul صلى الله عليه وسلم ne bataya k hamare ummat k lonlg Sarab piyenge ayor uska nam badal denge to kia avi k jamane me (Pepsi.Merenda. Dew . Ya Fanta) A sab haram khalayenge qu k is me to fiada k yelaya nuksan jiada hai ayor Allah tala ne farmaya (ولا تهلكوا انفسكم ) yea saudi k lia Alag fatya hai ayor mulkun k lia Alag ?????
Sail: Ubaidullah Bin Abdullateef, Al-Qaseem, Saudi Arab.



Alhamdulillah

Jawaab: Yeh Sawal Logon Mein Kaafi Gardish Mein Hai .
Yeh Baat Sahih Hai Ke Log Sharaab Ka Naam Badal Badal Kar Piyengey, Aur Yeh Qayamat Ki Nishaniyon Mein Se Hai, Aisay Logon Ka Hashr (Anjaam) Ye Hoga Ki Allah Unhen Zameen Mein Dhasayega Aur Khinzeer o Bandar Banayega. Jaisa Ki Hadees Mein Hai
عَنْ أَبِي مَالِكٍ الأَشْعَرِيِّ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ ـ صلى الله عليه وسلم ـ ‏ "‏ لَيَشْرَبَنَّ نَاسٌ مِنْ أُمَّتِي الْخَمْرَ يُسَمُّونَهَا بِغَيْرِ اسْمِهَا يُعْزَفُ عَلَى رُءُوسِهِمْ بِالْمَعَازِفِ وَالْمُغَنِّيَاتِ يَخْسِفُ اللَّهُ بِهِمُ الأَرْضَ وَيَجْعَلُ مِنْهُمُ الْقِرَدَةَ وَالْخَنَازِيرَ
Tarjuma : Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya, Albatta Meri Ummat Mein Se Log Zaroor Sharaab Piyen Ge Aur Is Ke Naam Ke Ilawa Koi Aur Naam Rakhengey. Un Ke Saron Par Bajay Bajaye Jayengey Aur Gaaney Waliyan (Gaana Gayengi). Allah Taala Unhein Zameen Mein Dhansa Dayga Un Mein Se Bandar Aur Khinzeer Bana Dayga.
(Ibne Majah: 4020)

Jahan Tak Sawal Hai Pepsi, Mehrinda, Dew or Fenta Waghera Ka, To Is Se Mutalliq Awam Mein Do Batein Mashhoor Hain .
( 1 ) Is Mein Alchohal Mila Hai .
( 2 ) Yeh Nasha Aawar Hai.
Khanay Peenay Ki Cheez Ke Mutalliq islami Qaida Yeh Hai Ke Asalan Saari Cheezen Halal Hain Siwaye Un Ke Jin Se Hamein Islam Ne Mana Kya Hai .

Is Lehaaz Se Mashroob Apni Asal Mein Halal Hoga Siwaye Is Ke Jis Ki Momanat Saabit Hoti Ho.
Tehqeeq se Yeh Pata Chalta Hai Ke Pepsi Waghera Mein Alchohal Nahi Paaya Jata, Mazeed Ye Key Pepsi Nasha Aawar Bhi Nahi htai .

Koi Yeh Nahi Keh Sakta Ke Mein Ne Pepsi Pi Aur Mujhe Nasha Aa gaya.
Agar Koi Aisa Mashroob Jis Mein Waqai Alchohal Ya Nasha Ho To Islam Mein Is Ki Momaniyat Hai.

Mazeed Aik Baat Kehna Chahta Hon Ke Nayi Tahqeeq Se In Mashrobat (Pepsi Wagera) Ke Kuch Nuqsanaat Zahir Ho Rahey Hain, Is Liye Is Se Bacha Jaye To Behtar Hai. Is Ki Jagah Mewey (Fruits) Ka Juice Istemaal Karen Jo Sehat Ke Liye Bohot Faidemand Hai.


والله أعلم بالصواب

Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah

Romanized By: Umar Asari

Sunday, January 17, 2016

Jo Zakat Ada Nahi Karta

بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيم

Jo Zakat Ada Nahi Karta


Sawaal: Comments darkaar hain. Agar zakaat ki farziyyat aor ahmiyyat pahle bata di jaaye aor uske baad bhi koi zakaat ada na kare ya mana kare to kya karna chahiye?
Sail: Irfanullah, Riyaz Saudia Arabia

الجواب بعون اللہ الوھاب:
Alhamdulillah Zakat Islam Key Paanch Arkaan Mein Sey Teesra Ahem Rukn Hai, Jiski Adaigi Har Sahib e Nisaab Par Saal Mein Ek Martaba Hai.
Jo Shakhs Zakat Ada Nahi Karta Allah Key Nazdeek Uski Pakad Hogi, Aisey Logon Key Baarey Mein Sakht Waeed Aai Hai.
Allah Ta'ala Ka Farmaan hai:
وَالَّذِينَ يَكْنِزُونَ الذَّهَبَ وَالْفِضَّةَ وَلاَ يُنفِقُونَهَا فِي سَبِيلِ اللّهِ فَبَشِّرْهُم بِعَذَابٍ أَلِيمٍ , يَوْمَ يُحْمَى عَلَيْهَا فِي نَارِ جَهَنَّمَ فَتُكْوَى بِهَا جِبَاهُهُمْ وَجُنوبُهُمْ وَظُهُورُهُمْ هَـذَا مَا كَنَزْتُمْ لأَنفُسِكُمْ فَذُوقُواْ مَا كُنتُمْ تَكْنِزُونَ
Tarjumah: Wo Log Jo Sona Chandi Ko Khazano Mein Jama Kartey Hain or Allah Ta'ala Ki Raah Mein Kharch Nahi Kartey Unhein Shadeed Azaab Ki Khushkhabri De Do Us Din (Unkey Maal Ko) Garm Kiya Jayega Jahannum Ki Aag Mein, Or Unki Peshaniyon, Pahlu or Peethon Ko Dagha Jayega or (Kaha Jayega) Ke Ye Hai Tumhara Maal, Jo Tum Ney Apney Liye Jama Kiya Tha So Aaj Us Azaab Ka Maza Chakho, Jo Tum Apney Liye Jama Kartey The.
(Surah Taubah: 34 and 35)

Sahib e Nisaab Par Zakaat Ki Adaigi Farz Hai, Jo Zakat Ada Nahi Karta Wo Gunaah e Kabeerah Ka Murtakib Hai, Aisey Shakhs Ko Naseehat Karna Chahiye Ke Wo Apney Gunaah Sey Tauba Karey or Jo Zakat Key Mustahiq Hain Unhein Apney Maal Sey Zakat De. Agar Koi Naseehat Key Bawjood Apney Haal Par Qayem Hai To Allah Sey Uski Hidayat Key Liye Dua Karen.

والله أعلم بالصواب

Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah.

Romanized By: Umar Asari

Ajeeb Log Hain!

                    بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيم

                Ajeeb Log Hain!


Social Media Deen Ko Phailaney Ka Ek Bahot Hi Behtareen Zariya Hai. Lekin Kya Share Kiya Jaye Log Samjhtey Hi Nahi. Share Karney Sey Pahley Log Soochtey Bhi Nahi Ki Kya Ye Haqeeqat Mein Sahih Baat Hai Ki Nahi. Bus Log Dekhtey Hain Ki Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Taraf Baat Ki Nisbat Ki Gai Hai To Sahih Hogi Or Usko Share Kar Detey Hain.

Ye Afsoos Ka Maqam Hai Log Samjhtey Hain Ki Ye Achchi Baat Hai Or Share Kar Detey Hain Wo Ye Nahi Dekhtey Ki Hum Jo Baat Share Kar Rahey Hain Kya Wo Haqeeqat Mein Hamarey Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Farmaan Hai?

Kya Hum Anjaaney Mein Koi Galat Baat To Share Nahi Kar Rahey Hain?
 Wo Bilkul Bhi Nahi Soochtey.

Kuch Din Pahley Ek Photo Nazar Sey Guzra Jismein Surah Yaseen Key Baarey Mein Bataya Gaya Tha Ki Jis Ne Din Ki Ibtidaa (Shuru) Mein Surah Yaaseen Ki Tilawat Ki Uski Zarooriyyat Poori Kar Di Jaati Hain. Fir Uskey Baad Ye Bhi Likha Tha Ki “Is Baat Ko Share Karney Sey Aapko Shaytaan Rokeyga”.

Astaghfirullah Ajeeb Log Hain Bina Soochey Samjhey Kaisi Kaisi Baatein Bol Detey Hain. Unko Khud Nahi Pata Hota Wo Bol Kya Rahey Hain.

Ab Aaiye Hum Dekhtey Hain Ki Hamarey Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Kya Farmatey Hain:
قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏ "‏ كَفَى بِالْمَرْءِ كَذِبًا أَنْ يُحَدِّثَ بِكُلِّ مَا سَمِعَ ‏" ‏.‏
Tarjumah: Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ney Farmaya: Ke Aadmi Key Jhoota Honey Key Liye Ye Baat Kaafi Hai Ke Wo Har Suni Sunai Baat Ko Aagey Bayan Kar Dey.
(Sahih Muslim: 5)

Zara Gaur Kijye Ki Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ney Kya Farmaya or Us Photo Mein Kya Baat Kahi Gai Thi?

Ab Aap Hi Bataye Ki Hum Kisi Bhi Baat Ko Aisey Hi Share Kiun Kar Den Jab Ki Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Hamein Issey Roktey Hain?

Ab Koi Ye Kahey Ki Hamein Kaisey Pata Chalega Ki Ye Sahih Hai Ya Galat To Mein Bata Dun Ki Aap Uska Reference Dekhen or Fir Uskey Baad Share Karen.

Ab Aayen Zara Us Riwayat Ko Dekh Len Jisko Photo Ki Shakl Mein Share Kiya Gaya Tha.
بلغَني أنَّ رسولَ اللَّهِ - صلَّى اللَّهُ علَيهِ وسلَّمَ - قالَ : مَن قرأَ يس في صدرِ النَّهارِ ؛ قُضِيَت حوائجُهُ

Tarjumah: Ata Bin Abi Ribaah Rahimahullah Farmatey Hain Ki Mujh Tak Ye Baat Pahunchi Hai Ki Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya: Jis Ney Din Ki Ibtida Mein Surah Yaaseen Tilawat Ki Uski Zarooratein Poori Kar Di Jaati Hain.
(Sunan Darmi: 2/457, Kashf al Khafa: 2/390)

Ye Riwayat Zaeef Hai. Allama Albani Rahimahullah Ney Mishkaat Ki Takhreej Mein Isko Zaeef Kaha Hai: 2177.

Ab Aap Khud Soochye Ki Bina Soochey Samjhey Hum Kisi Baat Ko Share Kiun Karen?

Kabhi Kabhar To Aisa Hota Hai Ki Reference Bukhari or Muslim Ka Hota Hai Lekin Wo Hadees Hi Bukhari or Muslim Mein Nahi Hoti Hai.

Isliye Aap Sab Sey Ye Guzarish Hai Ki Plz Sooch Samjh Kar Share Karen or Authentic Groups or Websites Sey Ahadees Wagerah Copy Karen.


Allah Rabbul Aalameen Ham Sab Ko Sahih Samjh Ata Farmaye
Aameen.

By #Umar Asari 

Thursday, January 14, 2016

Mard o Aurat Ka Ek Doosre Ki Mushabihat Ikhtiyaar Karna

بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيم

Mard o Aurat Ka Ek Doosre Ki Mushabihat Ikhtiyaar Karna


Baaliyan (Earring)….. Kuch Din Pahley Tak Sirf Ladkiyon Key Kaanon Ki Zeenat Hua Karti Thi, Maloom Nahi Ki Fir Kya Hua Ke Ladkiyon Ki Alamat (Nishaani) Banney Wali Baliyan (Earring) Aaj Kal Chichorey Ladkon Key Kaano (Ears) Ka Zewar Ban Kar Rah Gayin. Abhi Kuch Din Pehley Tak Haathon Key Kangan (Bracelet) Bhi Aurton Ki Nazuk Kalaiyon Ki Khoobsorti Hua Kartey They Magar Ab Ladkey Bhi Apney Hathon Mein Kangan (Bracelet) Pehan Kar Itratey Firtey Hain, Maa Baap Dua Mangtey Hain Ke Allah Hamein Beta Ata Farma, Paida Bhi Beta Hi Ho Jata Hai Lekin Jawaani Tak Pahunchtey Hi Achanak Us Bete Key Khayalat Mein Tabdeeli Honey Lagti Hai or Wo Sab Sey Pahley Moochen (Moustache) or Dadhi saaf Kara Kar Ladkiyon Jaisi Shakl Bananey Lagta Hai or Uskey Baad Baaliyan or Kangan Uska Zewar Banney Lagtey Hain.

Afsoos Ki Baat Hai Ki Musalmaano Ki Ek Badi Ta’adaad Dadhi or Hijaab Ko Daqyanoosi (Stereotypical) Samjhti Hai.

Baaliyan, Chodiyan or Kangan Ye Sab Aurton Key Pehanney Ki Cheezen Hain Magar Ye Naujawaan Ladkon Ko Kya Ho Gaya Hai Ke Aurton Key Zewraat (Jewels) Unkey Zismon Par Sajney Lagey Hain?  Halanki Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Farmaan Hai:
حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ بَشَّارٍ، حَدَّثَنَا غُنْدَرٌ، حَدَّثَنَا شُعْبَةُ، عَنْ قَتَادَةَ، عَنْ عِكْرِمَةَ، عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ ـ رضى الله عنهما ـ قَالَ لَعَنَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم الْمُتَشَبِّهِينَ مِنَ الرِّجَالِ بِالنِّسَاءِ، وَالْمُتَشَبِّهَاتِ مِنَ النِّسَاءِ بِالرِّجَالِ‏.‏ تَابَعَهُ عَمْرٌو أَخْبَرَنَا شُعْبَةُ‏.‏
Tarjumah: Ibne Abbas Radhiallahu Anhuma Ney Bayan Kiya Ki Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Un Mardon Par Lanat Bheji Jo Aurton Jaisa Chal Chalan Ikhtiyaar Karen or Un Aurton Par Lanat Bheji Jo Mardon Jaisa Chal Chalan Ikhtiyaar Karen.
(Sahih Bukhari: 5885)

Isi Tarh Doosri Hadees Mein Farmaya:
 حَدَّثَنَا زُهَيْرُ بْنُ حَرْبٍ، حَدَّثَنَا أَبُو عَامِرٍ، عَنْ سُلَيْمَانَ بْنِ بِلاَلٍ، عَنْ سُهَيْلٍ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، قَالَ لَعَنَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم الرَّجُلَ يَلْبَسُ لِبْسَةَ الْمَرْأَةِ وَالْمَرْأَةَ تَلْبَسُ لِبْسَةَ الرَّجُلِ ‏.‏
 Tarjumah: Abu Hurairah Radhiallahu Anhu Kehtey Hain Ki Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ney Us Mard Par Jo Aurton Ka Libas Pahanta Hai or Us Aurat Par Jo Mardon Ka Libas Pahenti Hai Laanat Farmayi Hai.

Grade : Sahih (Al-Albani)
(Sunan Abi Dawud: 4098)
MusalmaanoIn Ahadees Par Gaur Karo Or Apney Aapka Jayzah Lo or Soocho Ki Kahin Tum Anjaney Mein Hi Sahih Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Laanat Key Mustahiq To Nahi Ban Rahe Ho?

Allah Hamein Husn e Amaal Ki Taufeeq Ata Farmaye.
Aameen.

By #Umar Asari 

Kya Kisi Haram Cheez Ka Naam Leney Sey Chaalis (40) Din Ki Ibadat Qubool Nahi Hoti? (Updated)

بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيم

Kya Kisi Haram Cheez Ka Naam Leney Sey Chaalis (40) Din Ki Ibadat Qubool Nahi Hoti?



Logon Ney Apney Man Sey Ye Mashhoor Kar Rakha Hai Ke Kisi Haram Cheez Ka Naam Leney Sey Chaalis (40) Din Tak Ibadat Qubool Nahi Hoti Hai Jabkey Quran o Hadees Mein Aisi Koi Baat Nahi Hai. Han Ye Zaroor Hai Ki Zaban Sey Haq Baat Hi Bolen Ya Fir Khamoosh Rahen Kiunki Zaban Sey Gandi Cheezen Nikalna Ya Haram Baaton Ka Tazkirah (Zikr) Karna Qabil e Girift Hai (Yaani Ispar Pakad Ho Sakti Hai).

عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ ـ رضى الله عنهما ـ عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم فِيمَا يَرْوِي عَنْ رَبِّهِ عَزَّ وَجَلَّ قَالَ قَالَ ‏ "‏ إِنَّ اللَّهَ كَتَبَ الْحَسَنَاتِ وَالسَّيِّئَاتِ، ثُمَّ بَيَّنَ ذَلِكَ فَمَنْ هَمَّ بِحَسَنَةٍ فَلَمْ يَعْمَلْهَا كَتَبَهَا اللَّهُ لَهُ عِنْدَهُ حَسَنَةً كَامِلَةً، فَإِنْ هُوَ هَمَّ بِهَا فَعَمِلَهَا كَتَبَهَا اللَّهُ لَهُ عِنْدَهُ عَشْرَ حَسَنَاتٍ إِلَى سَبْعِمِائَةِ ضِعْفٍ إِلَى أَضْعَافٍ كَثِيرَةٍ، وَمَنْ هَمَّ بِسَيِّئَةٍ فَلَمْ يَعْمَلْهَا كَتَبَهَا اللَّهُ لَهُ عِنْدَهُ حَسَنَةً كَامِلَةً، فَإِنْ هُوَ هَمَّ بِهَا فَعَمِلَهَا كَتَبَهَا اللَّهُ لَهُ سَيِّئَةً وَاحِدَةً ‏"‏‏.‏

Tarjumah: Ibne Abbas Radhiallahu Anhuma ne Bayan Kiya Ke Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Ek Hadees e Qudsi Mein Farmaya:
Allah Ta’ala Ne Nekiyan or Buraiyan Likh Di Hain or Zahir Kar Diya Hai Ke Ye Neki Hai Or Ye Burai Hai, Pas Jisney Neki Ka Sirf Iradah Kiya Or Abhi Amal Nahi Kiya To Allah Ta'ala Uskey Naama e Aamal Mein Poori Neki Likhega or Jisney Neki Ka Iradah Karkey Amal Bhi Kar Liya To Uskey Namaa e Aamaal Mein 10 Sey 700 Tak Balki or Dugni (Double) Tigni (Triple) Jitni Chaheyga Nekiyan Likh Dega or Jisney Burai Ka Irada Kiya Lekin (Allah Sey Dar Kar) Murtakib Nahi Hua (Means Allah Sey Dar Kar Burai Nahi Ki) Uskey Liye Bhi Ek Poori Neki Ka Sawaab Likheyga or Jisney Iradah Karkey Burai Kar Bhi Li To Uskey Liye Ek Hi Gunah Likheyga.
(Sahih Bukhari: 6491)


Ab Mein Kuch A’amaal Ka Tazkirah (Zikr) Kar Deyta Hun Jinkey Karney Sey 40 Din Ki Ibadat Qubool Nahi Ki Jaati Hai:

(1) Kaahin Key Paas Aana:
عن بعض أزواج النبى صلى الله عليه وسلم أنه قال :"من أتى عرافا فسأله عن شيء لم تقبل له صلاة أربعين ليلة
Tarjumah: Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Baaz Biwiyon Sey Riwayat Hai Ki Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya: Jo Kahin (Diviner) Key Paas Aaye or Ussey Kuch Poochey To 40 Raat Tak Uski Ibadat Qubool Nahi Hoti.
(Sahih Muslim: 2230)


(2) Sharab Peena:
مَنْ شَرِبَ الْخَمْرَ لَمْ يَقْبَلِ اللَّهُ لَهُ صَلاَةً أَرْبَعِينَ صَبَاحًا فَإِنْ تَابَ تَابَ اللَّهُ عَلَيْهِ فَإِنْ عَادَ لَمْ يَقْبَلِ اللَّهُ لَهُ صَلاَةً أَرْبَعِينَ صَبَاحًا فَإِنْ تَابَ تَابَ اللَّهُ عَلَيْهِ فَإِنْ عَادَ لَمْ يَقْبَلِ اللَّهُ لَهُ صَلاَةً أَرْبَعِينَ صَبَاحًا فَإِنْ تَابَ تَابَ اللَّهُ عَلَيْهِ فَإِنْ عَادَ الرَّابِعَةَ لَمْ يَقْبَلِ اللَّهُ لَهُ صَلاَةً أَرْبَعِينَ صَبَاحًا فَإِنْ تَابَ لَمْ يَتُبِ اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَقَاهُ مِنْ نَهْرِ الْخَبَالِِ. قِيلَ يَا أَبَا عَبْدِ الرَّحْمَنِ وَمَا نَهْرُ الْخَبَالِ قَالَ نَهْرٌ مِنْ صَدِيدِ أَهْلِ النَّارِ
Tarjumah: Jisney Sharab Pee To Allah Ta’ala Uski 40 Dino Ki Namazen Qubool Nahi Karta or Agar Tauba Kar Le To Allah Ta’ala Uski Tauba Qubool Farma Leta Hai Agar Doobara Lauta (Yaani Sharab Pee) To Allah Uski 40 Dino Ki Namazen Qubool Nahi Farmata or Agar Tauba Kar Li To Allah Ta’ala Uski Tauba Qubool Farma Leta Hai or Agar (Teesri Baar) Fir Lauta To Allah Ta’ala Fir Uski 40 Dino Ki Namazein Qubool Nahi Farmata or Agar Tauba Kar Le To Allah Ta’ala Tauba Qubool Kar Leta Hai Or Agar Chauthi Baar Lauta To Allah Ta’ala Uski 40 Dino Ki Namazen Qubool Nahi Farmata or Agar Tauba Karey To Allah Uski Tauba Qubool Nahi Farmata or Usey Nahr ul Khabal Sey Pilayega. Kaha Gaya Aye Abu Abdurrahman! (Hazrat Ibne Umar Radhiallahu Anhuma Ki Kunniyat Hai) Nahr e Khabal Kya Hai? Unho Ne Farmaya: Jahannamiyon Ki Peep Ki Nahar Hai.

Ek Doosri Riwayat Mein Hai “Jisney Sharab Pee, Allah Ta’ala Ussey 40 Raatein Raazi Nhi Hota. Agar Wo (Usi Halat Mein) Mar Gaya To Kufr Ki Maut Mra or Agar Tauba Kar Li To Allah Uski Tauba Qubool Kar Leta Hai or Agar Doobara Ye Harkat Ki (Yaani Doobara Sharab Pee) To Allah Ta’ala Ka Ye Haq Hai Ke Usey Teenat al Khabal Se Pilaye. Hazrat Asma Bint e Yazeed Radhiallahu Anha Bayan Karti Hain Ki Meiney Poocha: Aye Allah Key Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam! Teenat al Khabal Kya Cheez Hai? Farmaya: Jahannamiyon Ki Peep Hai.”
(Musnad Ahmad: 27475) Iski Sanad Jayyid Hai.


(3) Haram Ka Luqma Khana:
Ek Riwayat Hai Key Haram Ka Ek Luqma Khaney Se Bhi 40 Din Ki Ibadat Qubool Nahi Hoti. Riwayat Kuch Is Tarah Hai:
والذي نفس محمد بيده إن العبد ليقذف اللقمة الحرام في جوفه ما يتقبل منه عمل أربعين يوماً۔
Tarjumah: Qasam Hai Us Zaat Ki Jis Key Haath Mein Mohammad Ki Jaan Hai, Banda Jab Apney Pait Mein Haram Ka Ek Luqma Daalta Hai To 40 Din Tak Uski Ibadat Qubool Nahi Ki Jaati.

*Is Riwayat Ko Allama Albani Rahimahullah Ne Sakht Zaeef Kaha Hai, Baaz Ne Is Hadees Ko Munkar Kaha Hai. Is Liye Is Hadees Se Istidlaal (Yaani Daleel Pakadna) Sahih Nahi Hai.

واللہ اعلم بالصواب


Tayyar Kardah: Sheikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah


Romanized By: Umar Asari

Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Key Liye Lafz e Aaqa Ka Istemaal

بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيم

Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Key Liye Lafz e Aaqa Ka Istemaal


Lafz e Aaqa Farsi Sey Aaya Hua Hai, Urdu Lughat (Dictionary) Key Hisaab Sey Iskey Kai Meaning Hain:

Malik, Khudawand, Sahab, Khawind (Husband), Hakim, Afsar
(Firoz al Lughat)

Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Key Liye “Sayyad” Ka Lafz Hadees Mein Aaya Hai:
عن أبي هريرة رضي الله عنه قال : قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ : أَنَا سَيِّدُ وَلَدِ آدَمَ يَوْمَ الْقِيَامَةِ

Tarjumah: Abu Hurairah Radhiallahu Anhu sey Riwayat Hai Unho Ne Kaha Ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Mein Qayamat Key Din Bani Aadam Ka Sayyad (Sardar) Hun.
(Sahih Muslim: 2278)

Lafz e Sayyad Urdu Mein Sardar or Aaqa Key Maayne (Meaning) Aata Hai. Saath Hi Jab Lafz e Aaqa Ki Tareekh Dekhtey Hain To Pata Chalta Hai Ke Aaqa Asal Mein Turki Lafz Hai. Turki Sey Farsi or Fir Farsi Sey Urdu Mein Dakhil Hua. Uthmaaniyon Key Zamaney Mein Ye Lafz Aam Taur Sey Un Logon Key Darmiyan Istemaal Hua Karta Tha Jo Hakim, Hukumat or Fauj Sey Juda Hau Tha Ya’ani Aam Bol Chal Mein Nahi Tha
Urdu Mein Is Lafz Ki Aamad (Arrival) Bhi Aisey Hi Ma’ano Mein Lagti Hai. Ye Lafz Sab Sey Pahley Urdu Mein Mirza Mohammad Rafee' Sauda Ki Kulliyat Mein 1780 Mein Milta Hai. Or Sauda Darbari Shayar (Poet) Tha. Pahley Nawab Bankash Key Darbar Sey Fir Nawab Suja' ud Dawla Key Darbar Sey or Aakhir Mein Nawab Asif ud Daula Key Darbar Sey Wabasta (Aligned) Raha. Nawab Asif ud Dawla Ney Unhen Malikush Shoraa (Shayron Ka Baadshah) Ka Khitab Diya Tha.

Is Sey Pata Chala Ki Urdu Mein Is Lafz Ki Aamad (Arrival) Bhi Khushamdi (Blandishments) Pas Manzar (Background) or Hukumati Nisbat Sey Hae. Wesey Iskey Istemal Mein Badi Qabahat (Kharabi) Nazar Nahi Aati Lekin Iskey Bajaye Sayyad Ka Istemaal Zada Behtar Haj Kiunki Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Key Farman Mein Maujood Hai.

 والله اعلم بالصواب
Tayyar Kardah: Shiekh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah


Romanized By: Umar Asari

Khinzeer (Pig) Ki Charbi (Fats) Sey Baney Saabun (Soap) Ka Hukm

بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيم

Khinzeer (Pig) Ki Charbi (Fats) Sey Baney Saabun (Soap) Ka Hukm



Khinzeer Ka Gosht (Meat), Uski Charbi (Fat) or Uskey Jism Ka Doosra Hissa Sab Haraam Hain. Darasal (Actually) Ye Jaanwar Hi Khabees Hai, Iski Khabasat Iskey Goosht, Charbi, Chamdey (Skin), Khoon (Blood) or Iskey Body Key Har Har Hissey Mein Faili Hue Hai. Is Liye Allah Ta’ala Ney Khinzeer Ko Haram Qarar Diya Hai. Quran Mein Agarche Sirf Khinzeer Key Goosht Ka Tazkirah Hai Lekin “Sahih Bukhari” Mein Lafz e Khinzeer “Aam” Aaya Hai Jo Iski (Khinzeer Ki) Saari Cheezon Key Haram Honey Ki Daleel Hai:

إِنَّ اللَّهَ وَرَسُولَهُ حَرَّمَ بَيْعَ الْخَمْرِ وَالْمَيْتَةِ وَالْخِنْزِيرِ وَالأَصْنَامِ
Tarjumah: BeShak Allah Ta’ala or Uskey Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ney Sharab, Murdaar (Dead), Suwar (Pig) or Buton (Idols) Ka Bechna Haram Qarar Diya Hai.
(Sahih Bukhari: 2236)

Isi Wajah Sey Agar Sabun (Soap) Mein, Ya Tel (Oil) Mein, Ya Dwa (Medicine) Mein, Ya Khaaney Peeney Ki Cheezon Mein Khinzeer Ki Charbi (Fat) Ya Khinzeer Ki Kisi Cheez Ki Milawat Hai To Aisey Kisi Saamaan Ka Istemaal Jayez Nahi Hai.

Yahan Ek Baat or Zikr Kar Dun Ke Logon Mein Kuch Cheezon Key Talluq Se Yunhi Shor Ho Jaata Hai Ki Falan Cheez Mein Khinzeer Ki Milawat Hai To Aisi Cheezon Key Baarey Mein Ye Kahna Chahta Hun Ki Jab Tak Kisi Cheez Mein Khinzeer Ki Milawat Ka Ilm Na Ho Uska Istemaal Jayez Hoga Kiunki Ashyaa (Cheezon) Ki Asal Jawaaz (Jayez Hona) Hai.


واللہ اعلم

Tahreer: Sheikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah


Romanized By: Umar Asari  

Sunday, January 10, 2016

Bait ul Khala Se Nikaltey Waqt Ki Dua

بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيم
Bait ul Khala Se Nikaltey Waqt Ki Dua


حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ إِسْمَاعِيلَ، حَدَّثَنَا مَالِكُ بْنُ إِسْمَاعِيلَ، عَنْ إِسْرَائِيلَ بْنِ يُونُسَ، عَنْ يُوسُفَ بْنِ أَبِي بُرْدَةَ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ عَائِشَةَ، رضى الله عنها قَالَتْ كَانَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم إِذَا خَرَجَ مِنَ الْخَلاَءِ قَالَ ‏ "‏ غُفْرَانَكَ ‏"‏ ‏.‏ قَالَ أَبُو عِيسَى هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ غَرِيبٌ لاَ نَعْرِفُهُ إِلاَّ مِنْ حَدِيثِ إِسْرَائِيلَ عَنْ يُوسُفَ بْنِ أَبِي بُرْدَةَ ‏.‏ وَأَبُو بُرْدَةَ بْنُ أَبِي مُوسَى اسْمُهُ عَامِرُ بْنُ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ قَيْسٍ الأَشْعَرِيُّ ‏.‏ وَلاَ نَعْرِفُ فِي هَذَا الْبَابِ إِلاَّ حَدِيثَ عَائِشَةَ رضى الله عنها عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم ‏.‏

                          Urdu Roman
Ummul Momineen Aisha Radhiallahu Anha Kahti Hain: Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Qaza e Hajat Key Bad Bait ul Khala Sey Nikaltey To Kahtey: غُفْرَانَكَ (Ghufranaka)
(Means: Aye Allah! Mein Teri Bakhshish Ka Talabgaar Hun)

                           Urdu Roman
ام المومنین عائشہ رضی اللہ عنہا کہتی ہیں: نبی اکرم ﷺ قضائے حاجت کے بعدجب پاخانہ سے نکلتے توکہتے: ''غفرانك'' (یعنی اے اللہ : میں تیری بخشش کا طلب گارہوں)۔

                                 English
'Aishah, [may Allah be pleased with her] said:
"When the Prophet would exit the toilet he would say: 'Ghufranak.'"

Grade : Sahih (Darussalam)
(Reference : Jami` at-Tirmidhi 7
Ibne Majah: 300)

Jis Riwayat Mein Hai Ki Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Bait ul Khala se Nikaltey Waqt “اَلْحَمْدُ لِلّٰہِ الَّذِیْ اَذْھَبَ عَنِّی الْاَذٰی وَعَافَانِیْْ ” Padhtey They Wo Riwayat Zaeef Hai.

     {Ibne Majah: 301
     Irwa ul Ghaleel: 53
     Takhreej al Azkaar: 1/218}

Hafiz Boseeri Rahimahullah Ne Ise Zaeef Kaha Hai.
(Az Zawaid: 1/129)

Imam Nawawi Rahimahullah Ne Ise Zaeef Kaha Hai.
(Al Majmoo': 2/75)

Imam Abu Daud, Imam Dara Qutni or Shaikh Saleem Hilaali Rahimahumullah Ne Bhi Isey Zaeef Kaha Hai.

والله أعلم بالصواب

Bait ul Khala Mein Dakhil Hotey Waqt Ki Dua

بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيم
Bait ul Khala Mein Dakhil Hotey Waqt Ki Dua


حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ عَرْعَرَةَ، حَدَّثَنَا شُعْبَةُ، عَنْ عَبْدِ الْعَزِيزِ بْنِ صُهَيْبٍ، عَنْ أَنَسِ بْنِ مَالِكٍ ـ رضى الله عنه ـ قَالَ كَانَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم إِذَا دَخَلَ الْخَلاَءَ قَالَ ‏ "‏ اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنَ الْخُبُثِ وَالْخَبَائِثِ ‏"‏‏.‏

                           Urdu Roman
Anas Radhiallahu Anhu Ne Bayan Kiya Ki Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Jab Bait ul Khala Jaatey To Ye Dua Padhtey:
اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنَ الْخُبُثِ وَالْخَبَائِث ("Allahumma Inni a`udhu bika minalkhubthi Wal khaba'ith.")
Aye Allah! Mein Khabees Jinon or Jinniyon (Female Jin) Ki Burai Se Teri Panah Maangta Hun.

                                  Urdu
ہم سے محمد بن عرعرہ نے بیان کیا ، انہوں نے کہا ہم سے شعبہ نے بیان کیا ، ان سے عبدالعزیز بن صہیب نے بیان کیا اور ان سے حضرت انس رضی اللہ عنہ نے بیان کیاکہ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم جب بیت الخلاء جاتے تو یہ دعا پڑھتے ” اللهم إني أعوذ بك من الخبث والخبائث “ ” اے اللہ ! میں خبیث جنوں اور جنیوں کی برائی سے تیری پناہ مانگتا ہوں ۔ “

                                 English
Narrated Anas bin Malik:
Whenever the Prophet (ﷺ) went to the lavatory, he used to say: "Allahumma Inni a`udhu bika minalkhubthi Wal khaba'ith."

(Sahih al-Bukhari: 6322 & 142)

Ye Dua Tirmizi Hadees No: 5 & 6  Mein Bhi Hai Lekin Uskey Alfaaz Thodey Mukhtlaif Hain Lekin Zada Farq Nahi Hai.


Imam Nawawi Rahimahullah Kahtey Hain: Hamarey Ashaab Ye Kahtey Hain Ki Ye Dua Har Jagah Padhna Mustahab (Pasandeedah Amal) Hai Chahey Qaza e Hajat Ki Jagah Imarat (Ghar) Ho Ya Sehra (Jungle Wagera) Ho.
(Al- Azkaar (Nawawi): 1/89)

Is Liye Ye Dua Har Jagah Padhengey Chahey Ghar Key Toilet Mein Jaayen Ya Maidaan (Field) Mein Qaza e Hajat Key Liye Jayen.
Agar Koi Shakhs (Ghar Key) Bait ul Khala Mein Jaa Raha Hai To Bait ul Khala (Toilet) Mein Dakhil Honey Sey Pahley Dua Padheyga or Agar Sehra (Jungle) Ya Maidaan (Field) Mein Jaa Raha Hai To Wo Qaza e Hajat Key Liye Baithney Sey Pahley Padheyga.

Jis Riwayat Mein Hai Ki Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Bait ul Khala Mein Dakhi Honey Sey Pahley
 اللَّهمَّ إنِّي أعوذُ بكَ مِن الرِّجْسِ والنَّجسِ الخبيثِ المُخْبِثِ الشَّيطانِ الرَّجيم
Padhtey They Wo Riwayat Zaeef Hai.

(Silsila Az-Zaeefah (Albani): 4187)

Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah Farmatey Hain Ki Ye Riwayat Is Sanad Key Saath Ghareeb Hai or Iska Madar (Base) Ismail Bin Muslim Makki Par Hai Or Wo Zaeef Hai.
(Nataaej al Afkaar: 1/199)
Sheikh Saleem HilaaliNe Bhi Is Riwayat Ko Sakht Zaeef Kaha Hai.

Isi Tarah Jis Riwayat Mein Hai Ki Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Baitul Khala Mein Dakhil Honey Sey Pahley “يا ذا الجلالِ” Padhtey They Wo Bhi Zaeef Hai.

(Zaeef al Jaami' (Albani) : 4389)

Sotey Waqt Or Uthney Ke Baad Ki Dua

                        بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيم

Sotey Waqt Or Uthney Ke Baad Ki Dua


حَدَّثَنِي مُوسَى بْنُ إِسْمَاعِيلَ، حَدَّثَنَا أَبُو عَوَانَةَ، عَنْ عَبْدِ الْمَلِكِ، عَنْ رِبْعِيٍّ، عَنْ حُذَيْفَةَ ـ رضى الله عنه قَالَ كَانَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم إِذَا أَخَذَ مَضْجَعَهُ مِنَ اللَّيْلِ وَضَعَ يَدَهُ تَحْتَ خَدِّهِ ثُمَّ يَقُولُ ‏"‏ اللَّهُمَّ بِاسْمِكَ أَمُوتُ وَأَحْيَا ‏"‏‏.‏ وَإِذَا اسْتَيْقَظَ قَالَ ‏"‏ الْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِي أَحْيَانَا بَعْدَ مَا أَمَاتَنَا وَإِلَيْهِ النُّشُورُ ‏"‏‏.‏

                       Urdu Roman

Huzaifa Radhiallahu Anhu ne Bayan Kiya Ki Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Jab Raat Mein Bistar Par Let-tey To Apna Daayan (Right) Haath Apney Rukhsaar Key Neechey Rakhtey or Yeh Kahtey “Allahumma Bismika Amutu Wa Ahya” (Aye Allah Terey Naam Ke Saath Marta Hun or Zinda Hota Hun).
Or Jab Aap Bedaar Hotey To Kahtey “Al-Hamdu lil-lahil-ladhi ahyana ba'da ma amatana, wa ilaihin-nushur” (Tamaam Ta'reefein Us Allah Key Liye Hain Jisney Hamein Zinda Kiya Uskey Baad Key Hamein Maut (Murad Neend Hai) De Di Thi Or Teri Hi Taraf Jaana Hai.

                            Urdu 

ہم سے موسیٰ بن اسماعیل نے بیان کیا ، کہا ہم سے ابو عوانہ نے بیان کیا ، ان سے عبدالملک بن عمیر نے ، ان سے ربعی نے اور ان سے حضرت حذیفہ رضی اللہ عنہ نے بیان کیاکہ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم جب رات میں بستر پر لیٹتے تو اپنا ہاتھ اپنے رخسار کے نیچے رکھتے اور یہ کہتے ” اے اللہ ! تیرے نام کے ساتھ مرتا ہوں اور زندہ ہوتا ہوں ۔ “ اور جب آپ بیدار ہوتے تو کہتے ۔ ” تمام تعریفیں اس اللہ کے لئے ہیں جس نے ہمیں زندہ کیا اس کے بعد کہ ہمیں موت ( مراد نیند ہے ) دے دی تھی اور تیری ہی طرف جانا ہے ۔ “

                           English

Narrated Hudhaifa:
When the Prophet (ﷺ) went to bed at night, he would put his hand under his cheek and then say, "Allahumma bismika amutu wa ahya," and when he got up, he would say, "Al-Hamdu lil-lahil-ladhi ahyana ba'da ma amatana, wa ilaihin-nushur."

(Sahih al-Bukhari 6314)


Note: Sahih Bukhari Mein Hi Ye Hadees Thodey Se Mukhtalif Alfaaz Ke Saath Maujood Hai. Hadees No: 6325 Dekhen.

Saturday, January 09, 2016

Western culture (Maghribi Tahzeeb) Ka Aurton Par Asar

بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيم

Western culture (Maghribi Tahzeeb) Ka Aurton Par Asar



Jab Islam Ke Dushmano Ne Dekha Ki Islam Poori Dunya Mein Phail Raha Hai or Uski Roshni Se Sab Hidayat Paa Rahe Hain To Unki Raaton Ki Neend Ud Gai Or Unka Sukun Khatm Ho Gaya or Wo Islam Ko Mitaaney Ke Liye Tarah Tarah Ki Koshish Karne Lage. 

Unki Koshishon Mein Se Ek Koshish Ye Thi Ke Wo Islamic Culture Ko Badal Den Taaki Musalmaan Apne Culture Ko Chor Kar Unke Culture Ko Apna Len Or Is Tarah Islam Mit Jaye. Or Wo Ismein Kaamyaab Bhi Hue Or Aaj Bhi Ho Rahe Hain. 

Lihaza Aaj Hum Dekhtey Hain Ki Muslmaan Bina Sooche Samjhey Western Culture Ko Apnate Chaley Jaa Rahey Hain. Khaas Taur Se Hamari Bahnen Western Culture Ko Aankhen Band Karke Follow Karti Hain. 


Afsoos Ka Maqaam Hai! Hamari Musalmaan Bahnen Islami Ahkaam or Rab Ke Farmaan Se Ghafil Hain.

Aaj Musalmaan Bahno Ne Apni Tahzeeb Bhula Di Hai Unho Ne Maghribi Tahzeeb Ko Hi Apni Tahzeeb Bana Liya Hai.

Haye Afsoos! Jab Musalman Bahnen Bahar Nikalti Hain To Chust Kapdey Pahney Hue Hoti Hain Jisse Unka Jism Zahir Hota Hai. Or Unka Ye Libaas Behayai Ka Libas Hai. Aisi Hi Aurton Ke Silsiley Mein Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Tha: 

عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ ، قَالَ : قَالَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ : صِنْفَانِ مِنْ أَهْلِ النَّارِ لَمْ أَرَهُمَا ، قَوْمٌ مَعَهُمْ سِيَاطٌ كَأَذْنَابِ الْبَقَرِ يَضْرِبُونَ بِهَا النَّاسَ ، وَنِسَاءٌ كَاسِيَاتٌ عَارِيَاتٌ مُمِيلاَتٌ مَائِلاَتٌ ، رُؤُوسُهُنَّ كَأَسْنِمَةِ الْبُخْتِ الْمَائِلَةِ ، لاَ يَدْخُلْنَ الْجَنَّةَ ، وَلاَ يَجِدْنَ رِيحَهَا ، وَإِنَّ رِيحَهَا لَيُوجَدُ مِنْ مَسِيرَةِ كَذَا وَكَذَا.
Tarjumah: Hazrat Abu Hurairah Radhiallahu Anhu se Riwayat Hai Ki Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya:
Dozakh Walon Ki Do Qismein Aisi Hain Ki Jinhein Meine Nahi Dekha,


  • Ek Qism To Un Logon Ki Hai Ke Jinke Paas Gayon Ki Dumon (Tails) Ki Tarah Kode (Whips) Hain Jisse Wo Logon Ko Maartey Hain. 

  • Or Doosri Qism Un Aurton Ki Hai Jo Libaas pahenne Ke Bawjood Nangi Hain Wo Seedhey Raastey Se Bahkaaney Wali or Khud Bhi Bhatki Hue Hain Unkey Sar (Head) Oont (Camel) Ke Kohaan (Humps) Ki Tarah Ek Taraf Jhukey Hue Hongey Wo Aurtein Jannat Mein Dakhil Nahi Hongi or Na Hi Jannat Ki Khushbu Paa Sakengi (Halanki) Jannat Ki Khushbu Itni Itni Masaafat (Doori) Se Mahsoos Ki Jaa Sakti Hai.

(Sahih Muslim: 2128)


Gaur Karen Is Hadees Mein Kitni Sakht Baat Kahi Gayi Hai. Kya Aaj Kal Ki Aurtein Is Hadees Mein Btayi Gai Aurton Ki Tarah Nahi Hain?


Ta’ajjub Ki Baat to Ye Hai Ki Aurtein Gharon Se Naqab Pahen Kar Niklti Hain Lekin Kuch Hi Door Chalney Ke Baad Apne Naqab Ko Hata Leti Hain or Behayai Se Mardon Ke Beech Chalti Hain. Halanki Allah Ka Farmaan Hai:

يَٰٓأَيُّهَا ٱلنَّبِىُّ قُل لِّأَزْوَٰجِكَ وَبَنَاتِكَ وَنِسَآءِ ٱلْمُؤْمِنِينَ يُدْنِينَ عَلَيْهِنَّ مِن جَلَٰبِيبِهِنَّ ۚ ذَٰلِكَ أَدْنَىٰٓ أَن يُعْرَفْنَ فَلَا يُؤْذَيْنَ ۗ وَكَانَ ٱللَّهُ غَفُورًا رَّحِيمًا
Tarjumah: Aye Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) Apni Biwiyon Se Or Apni Betiyon Se or Musalmaanon Ki Aurton Se Keh Do Ki Wo Apney Upar Apni Chadarein Latka Liya Karen, Is Se Bohot Jald Un Ki Shinakht (Pahchaan) Ho Jaaya Karegi Fir Na Satai Jayengi, or Allah Ta’ala Bakhshney Wala Meharbaan Hai. 

(Surah Ahzaab: Surah No: 33   Ayat No: 59)

Doosri Jagah Allah Ta’ala Ne Farmaya:

وَقَرْنَ فِى بُيُوتِكُنَّ وَلَا تَبَرَّجْنَ تَبَرُّجَ ٱلْجَٰهِلِيَّةِ ٱلْأُولَىٰ ۖ وَأَقِمْنَ ٱلصَّلَوٰةَ وَءَاتِينَ ٱلزَّكَوٰةَ وَأَطِعْنَ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥٓ ۚ

 Tarjumah: Or Apney Gharon Mein Thehri Raho (Yaani Apney Gharon Ko Lazim Pakdo) or Pahley (Qadeem) Jahiliyyat Ke Zamaaney Ki Tarah Apney Banao Ka Izhaar Na Karo or Namaaz Ada Karti Raho or Zakat Deti Raho or Allah or Uske Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ki Ita’at Karo. 

(Surah Ahzaab: Surah No:33  Ayat No:33)

Aye Millat Ki Maaon or BahnoTumne Western Culture Ke Daldal Mein Phas Kar Islam Ki Muqaddas Ta’aleemat Ko Thukra Diya, Azwaaj e Mutahharat or Sahabiyat Key Uswah e Zindagi Ko Bhula Diya?

Or Jab Maghribi Tahzeeb Se Mutassir Logon Ne Aurton Ki Azaadi Ka Naara Lagaya To Tum Bhi Unke Fareeb Mein Aa Kar Sharm o Haya Ko Chor Kar Apney Husn o Jamaal Ki Numaaish Kartey Hue Unkey Saath Nikal Padi. 


Aye Islam Ki BetiyonAaj Ke Is Daur Mein Tumhari Sharm o Haya or Izzat Islam Key Dushmano Ki Aankhon Ka Kaata Bani Hue Hai Tabhi To Wo Tumhein Fitna or Fasaad Ke Daldal Mein Pahunchaney Ki Koshish Kar Rahey Hain. Or Isi Liye Wo Kabhi Islami Hijaab Ke Mutaliiq Shoor o Hangaama Kartey Hain To Kabhi Tumhari Himayat (Favour) Mein Magarmach Key Aansoo (Jhootey Aansoo) Bahatey Hain. 

Allah Ki Qasam unka Maqsad To Tumhein Ghar Se Nikalna or Tumhari Sharm o Haya Ko Khatm Karna Hai. Tum Kiun Nahi Hosh Mein Aa Rahi Ho?

Akhir Kab Tak Tum Yun Hi Sooti Rahogi?

Kya Tumhein Ehsaas Nahi Hota?

Kya Tumhari Nazar Mein Quran o Hadees Ki Koi Ahmiyat Nahi

Allah Ke Waastey Ab Tum Bedaar Ho Jao. Or Islami Ta'aleemat Ko Follow Karo. Sahabiyyat Ki Seerat Padho or Unkey Naqsh e Qadam Par Chalo. 

Allah Hamein Tamaam Qism Key Fitno Se Mahfooz Rakhey. Aameen

By #Umar Asari

Islam Ki Buniyad Paanch (5) Cheezon Per Hain

✦  Bismillahirrahmanirrahim

➡Islam Ki Buniyad Paanch (5) Cheezon Per Hain⬅

♦Hazrat Ibn Umar Radhi Allahu Anhu se Rivayat Ki Hai Ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Islam Ki Buniyad Paanch (5) Cheezon Per Rakhi Gayi Hai, Is baat Ki Gawahi Dena Ke

1⃣Allah Ke Siwa koi Ibadat Ke layaq Nahi, Mohammed Sallallahu alaihi wasallam Allah Ke Rasool Hai,

 2⃣Namaz Qayam Karna,

3⃣Zakat aada Karna,

4⃣Haj Karna aur

5⃣Ramadhan Ke Roze Rakhna

        👇🏽Urdu👇🏽
♦حضرت ابن عمر رضی اللہ عنہ سے روایت کی ہے کہ رسول اللہﷺ نے فرمایا: اسلام کی بنیاد پانچ چیزوں پر رکھی گئی ہے، اس بات کی گواہی دینا کہ اللہ کے سوا کوئی عبادت کے لائق نہیں ،محمد ﷺ اللہ کے رسول ہیں ،نماز قائم کرنا ، زکوٰۃ ادا کرنا ،حج کرنا اور رمضان کے روزے رکھنا۔

       👇🏽English 👇🏽

♦"Narrated By Ibn 'Umar : Allah's Apostle said: Islam is based on (the following) five (principles):To testify that none has the right to be worshipped but Allah and Muhammad is Allah's Apostle.To offer the (compulsory congregational) prayers dutifully and perfectly.To pay Zakat. (i.e. obligatory charity).To perform Hajj. (i.e. Pilgrimage to Mecca).To observe fast during the month of Ramadan."

       👇🏽Arabic 👇🏽
♦حَدَّثَنَا عُبَيْدُ اللَّهِ بْنُ مُوسَى، قَالَ أَخْبَرَنَا حَنْظَلَةُ بْنُ أَبِي سُفْيَانَ، عَنْ عِكْرِمَةَ بْنِ خَالِدٍ، عَنِ ابْنِ عُمَرَ ـ رضى الله عنهما ـ قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏"‏ بُنِيَ الإِسْلاَمُ عَلَى خَمْسٍ شَهَادَةِ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَأَنَّ مُحَمَّدًا رَسُولُ اللَّهِ، وَإِقَامِ الصَّلاَةِ، وَإِيتَاءِ الزَّكَاةِ، وَالْحَجِّ، وَصَوْمِ رَمَضَانَ ‏"

📚Sahih Bukhari Kitab
ul Imaan Hadith No 1
📚Reference : Sahih al-Bukhari 8
In-book reference
: Book 2, Hadith 1
USC-MSA web (English) reference: Vol. 1, Book 2, Hadith 8

❗Note:- Yeh Sab Ibadat Namaz, Roza, Zakat , Haj aur Ruku Sajda Sirf Allah Keliye Hi Hona chahiye..

Aur

Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ney Jaise NamaZ Roza Zakat aur Haj etc. Kar Ke Bataye Hum Sabko Waise hi Karna Chahiye.