Jis ne mujhe talab kiya, us ne mujhe paa liya (Hadees e Qudsi ki tehqeeq)
✵Sawaal✵
Asalam o walikum braay mehrbani is hadees ki sanad bya dihye
Jis ne mujhe Talab kia , us ne Pa liya , Jis ne Pa liya us ne mujh se mohabbat ki aur jis ne mujh se mohabbat ki us ne mujhe pehchaan liya jis ne mujhe pehchaan liya woh mera aashiq hogaya aur jo mera aashiq ho gaya use me ne qatal kiya aur jise me ne qatal kiya uska khoon baha mujh par hai aur me hi uska khoon baha hoo.
✪Jawaab✪
Walaikum Assalam Wa Rahmatullahi Wabarakatuhu
Yeh riwayat Hadees ki kisi kitaab mein sahih ya za'eef Sanad se nahi mil saki,
Allama Ghazali ne Ihya Uloom-id-Deen mein bina Sanad naqal ki hai, likhte hain (iske alfaaz thode mukhtalif hain):
وقال أبو الدرداء لكعب أخبرني عن أخص آية يعني في التوراة فقال يقول الله تعالى طال شوق الأبرار إلى لقائي وإني إلى لقائهم لأشد شوقاً قال ومكتوت إلى جانبها من طلبني وجدني ومن طلب غيري لم يجدني
فقال أبو الدرداء أشهد إني لسمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم يقول هذا
(إحياء علوم الدين: 4- 324)
Allama Abul Fazl Zain-ud-Deen Abdur Raheem Al-Iraqi (Died on: 806H) “Ihya Uloom-ud-Deen” ki Takhreej “Al-Mughni 'An Haml-il-Asfar Fi Takhreej Ma fi-l-Ihya Min-al-Akhbar” mein likhte hain:
لم أجد له أصلا إلا أن صاحب الفردوس أخرجه من حديث أبي الدرداء ولم يذكر له ولده في مسند الفردوس إسنادا
Tarjumah: Mujhe is ki koi asal kahien nahi mili, haan sahib e Musnad Firdous ne ise Abu Darda ke hawaale se naqal kiya hai, lekin is ki koi sanad nahi batayi.
كما قال الفتني في تذكرة الموضوعات لم يوجد
Tarjumah: Aur Allama Tahir Hindi Gujrati ne “Tazkira-tul-Mauzoo'aat” mein likha hai ke: Is ka wujood nahi mila.
وأورده السبكي في طبقات الشافعية ضمن الأحاديث التي لا أصل لها
Tarjumah: Allama Subki Shafa'ee ne is riwayat ko Tabqaat Ash-Shaf'iyyah mein un ahadees ke zimn mein bayan kiya hai jin ki koi asal nahi.
Allah hi sab se behtar janne waala hai.
No comments:
Post a Comment