Kya Umar (Razi Allahu Anhu) Ne Fatima (Razi Allahu Anha) Ka Ghar Jalaya?
Tehreer: Shaykh Gulaam Mustafa Zaheer Amanpuri Hafizahullah
Romanised: Syed Ibraheem Salafi
__________________
Sayyiduna Umar bin Khattaab (Razi Allahu Anhu) se Sayyidah Fatima (Razi Allahu Anhu) ka ghar jalaana saabit nahi, is bareme bayaan ki jaane waali riwayat "zaeef" hai.
Aslam Maula Umar (Rahimahullah) bayaan karte hain:
حين بويع لأبي بكر بعد رسول الله صلى الله عليه وسلم كان علي والزبير يدخلان على فاطمة بنت رسول الله صلى الله عليه وسلم فيشاورونها ويرتجعون في أمرهم، فلما بلغ ذلك عمر بن الخطاب خرج حتى دخل على فاطمة فقال؛ يا بنت رسول الله صلى الله عليه وسلم، والله ما من أحد أحب إلينا من أبيك، وما من أحد أحب إلينا بعد أبيك منك، وايم الله ما ذاك بمانعي إن اجتمع هؤلاء النفر عندك، أن أمرتهم أن يحرق عليهم البيت، قال؛ فلما خرج عمر جاء وها فقالت؛ تعلمون أن عمر قد جاء ني وقد حلف بالله لئن عدتم ليحرقن عليكم البيت وايم الله ليمضين لما حلف عليه، فانصرفوا راشدين فروا رأيكم ولا ترجعوا إلي، فانصرفوا عنها فلم يرجعوا إليها حتى بايعوا لأبي بكر
"Rasoolullah ﷺ ki wafaat ke b'ad Sayyiduna Abu Bakr (Razi Allahu Anhu) ki bait ki gayi, Sayyiduna Ali aur Sayyiduna Zubair (Razi Allahu Anhuma) Sayyidah Fatima (Razi Allahu Anha) ke paas mashwarah ke liye aatey aur wapas chaley jaate, yeh baat Sayyiduna Umar bin Khattaab (Razi Allahu Anhu) tak pohnchi, tou unhon ne Sayyidah Fatima (Razi Allahu Anha) ke paas aakar kaha: Aye Dukhtar E Rasool! Allah ki qasam! makhlooq mein se aap ke walid se badh kar humein koi mehboob nahi aur un ke b'ad humein aap se badh kar koi mehboob nahi, Allah ki qasam! agar ab yeh log aap ke paas jama huwe, tou mujhe yeh baat iss se nahi rokegi ke main in par is ghar ko aag laga don, Sayyiduna Umar (Razi Allahu Anhu) chaley gaye, tou wo log Sayyidah Fatima (Razi Allahu Anha) ke paas aaye, unhon ne kaha: jaante ho ke Sayyiduna Umar (Razi Allahu Anhu) mere paas aaye thhey, unhon ne Allah ki qasam utthayi hai ke agar aap dubara aaye, tou wo ghar ko aag laga denge? Allah ki qasam! jo unhon ne qasam utthayi hai, usey kar guzrenge, lehaza bhaley tareeqe se wapas chaley jayen, apni rai par ghaur karen, dubarah mere paas na aana, wo laut gaye aur Sayyiduna Abu Bakr (Razi Allahu Anhu) ki bait kar li."
(Musannaf Ibne Abi Shaibah: 14/566,567)
Is ki Sanad munqata' hai, Aslam Maula Umar is waaqi'ah ke shahid nahi hain, Sayyiduna Umar (Razi Allahu Anhu) ne Sayyiduna Abu Bakr (Razi Allahu Anhu) ki khilafat mein unhein apna ghulaam banaya, yeh Khilafat e Abi Bakr se pehle ki khabar kaise dey sakte hain, ab unhein is waaqi'ah ki khabar kis ne di? yeh waazeh nahi ho saka, lehaza yeh mursal o munqata' riwayat hai. Kabhi kabhaar Tabayee ka Sahabi se sama' o liqa (sunna aur mulaqat) tou hota hai, lekin jo waaqi'ah naqal kar raha hota hai, us mein hazir nahi hota, usey mursal o munqata' kehte hain, jo ke hujjat nahi, lekin Sahaba ka mu'aamlah is ke bar'aks (opposite) hai, kiyunke Marasil e Sahabi bil-ittifaaq hujjat hain.
Sayyiduna Abdullah bin Umar (Razi Allahu Anhuma) bayaan karte hain:
بعث أبو بكر الصديق رضي الله عنه عمر بن الخطاب سنة إحدى عشرة إلى الحجة، فأقام للناس الحج، وابتاع عمر بن الخطاب رضي الله عنه في تلك السنة مولاه أسلم من أناس من الأشعريين
"Sayyiduna Abu Bakr Siddiq (Razi Allahu Anhu) ne Sayyiduna Umar bin Khattaab (Razi Allahu Anhu) ko 11 hijri mein haj ke liye (ameer bana kar) behja, Aap (Razi Allahu Anhu) ne logon ko haj karwaaya, usi saal Sayyiduna Umar (Razi Allahu Anhu) ne ash'ariyon se "Aslam" naami ghulaam kharidaa."
(Ma'rifa tus-Sahaba Li Abi Nu'aym: 868, Is Ki Sanad Hasan aur Muttasil hai)
Hafiz Ibne Hajar (Rahimahullah) farmaate hain:
قد سمع من عمر على الصحيح، قلت؛ لكنه لم يسمع منه هذه الخطبة لما خطبها، فإنه ولد بعد أن ولي عمر بسنتين
"Sahih qaul ke mutaabiq Sayyiduna Sa'eed bin Musayyib (Rahimahullah) ne Sayyiduna Umar bin Khattaab (Razi Allahu Anhu) se samaa' kiya (suna) hai, lekin Sayyiduna Umar (Razi Allahu Anhu) ne jab yeh khutbah diya, tou unse yeh khutbah nahi suna, kiyunke Sa'eed bin Musayyib (Rahimahullah) Sayyiduna Umar bin Khattaab (Razi Allahu Anhu) ke khalifah banne ke do saal b'ad paida huwe."
(Ithaf ul Maharah: 12/177)
Yeh ek misaal hai, Sa'eed bin Musayyib (Rahimahullah) ka Sayyiduna Umar (Razi Allahu Anhu) se samaa' hai, lekin jo khutbah Sayyiduna Umar (Razi Allahu Anhu) ne khalifah banne par irshaad farmaaya, uska samaa' nahi kiya, kiyunke Sa'eed bin Musayyib (Rahimahullah) ki paidaish Sayyiduna Umar (Razi Allahu Anhu) ke khalifah banne ke do saal b'ad huwi.
Bilkul isi tarah Aslam Maula Umar ka Sayyiduna Umar (Razi Allahu Anhu) se samaa' saabit hai, lekin jis din Sayyiduna Abu Bakr (Razi Allahu Anhu) khalifah bane, us mauqe' par Aslam Maula Umar maujood nahi thhey, jaisa ke dalail se saabit hai, lehaza yeh riwayat munqata' hai.
No comments:
Post a Comment