Sawaal:
Assalamu aalaikum Isha ke kithni rakat hai
Jawaab:
Walaikum Assalam Wa Rehmatullahi Wabarakatuhu
Faraaiz:
Sayyiduna Umar Radhiallahu Anhu ne Sayyiduna Sa’d Radhiallahu Anhu se Ahl-e-Kufah ki shikaayat ke baare mein poocha ke Ahl-e-Kufah kehte hain ki aap Namaz achchi tarah nahi padhaate to Sa’d Radhiallahu Anhu ne jawaab diya:
أَمَّا أَنَا وَاللَّهِ فَإِنِّي كُنْتُ أُصَلِّي بِهِمْ صَلَاةَ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ مَا أَخْرِمُ عَنْهَا أُصَلِّي صَلَاةَ الْعِشَاءِ فَأَرْكُدُ فِي الْأُولَيَيْنِ وَأُخِفُّ فِي الْأُخْرَيَيْنِ، قَالَ: ذَاكَ الظَّنُّ بِكَ يَا أَبَا إِسْحَاقَ
“Allah ki qasam! Main to unhein Nabi-e-Kareem ﷺ hi ki tarah Namaz padhaata tha, us mein kotaahi nahi karta, ’Isha ki Namaz padhaata to us ki do pehli rak’aat mein (Qira’at) lambi karta aur doosri do rak’atein halki padhaata. Umar Radhiallahu Anhu ne farmaaya ke aye Abu Ishaaq! Mujh ko tum se ummeed bhi yahi thi.
(Sahih Bukhari: 755)
Nawafil:
’Isha ki farz Namaz ke baad Nabi ﷺ se 2 aur 4 nawafil padhne ka suboot milta hai. Sayyiduna Abdullah bin Umar Radhiallahu Anhuma kehte hain:
صَلَّيْتُ مَعَ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ……..وَسَجْدَتَيْنِ بَعْدَ الْعِشَاءِ
“Main ne Nabi-e-Kareem ﷺ ke saath……..
’Isha ke baad do rak’at sunnat padhi hai.”
(Sahih Bukhari: 1172)
Sayyiduna Ibn-e-Abbas Radhiallahu Anhuma farmaate hain ki main ne apni khaala Maimunah Radhiallahu Anha ke ghar mein ek raat guzaari:
فَصَلَّى رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ الْعِشَاءَ، ثُمَّ جَاءَ فَصَلَّى أَرْبَعَ رَكَعَاتٍ
“Rasoolullah ﷺ ’Isha ki Namaz ke baad jab un ke ghar tashreef laaye to wahan chaar rak’at Namaz padhi.”
(Sahih Bukhari: 697)
Nabi ﷺ ke aam hukm:
Aap ﷺ ne farmaaya:
بَيْنَ كُلِّ أَذَانَيْنِ صَلَاةٌ، بَيْنَ كُلِّ أَذَانَيْنِ صَلَاةٌ، ثُمَّ قَالَ فِي الثَّالِثَةِ لِمَنْ شَاءَ
“Har do Azaanon (Azaan-o-Takbeer) ke beech mein Namaz hai. Har do Azaanon ke darmiyaan Namaz hai. Phir teesri martaba Aap ﷺ ne farmaaya ke agar koi padhna chaahe.”
(Sahih Bukhari: 627)
Is se saabit hota hai ke har farz Namaz se pehle do rak’at Namaz ki targheeb hai. Lihaaza is mashroo’iyyat ke mutabiq ’Isha ki Namaz se pehle do rak’at nawafil ada kiye jaa sakte hain.
Rahi baat witr ki to us ke mutalliq yahan dekhen.
No comments:
Post a Comment