Topi ke baghair Namaz padhna
✵Sawaal:✵
Assalamoalykym warahmatullahe wabarakatohu namaz me sir dhakne k liye kya hukm h ya namaz me topi ki kya value h
✯Jawaab:✯
Walaikum Assalam Wa Rehmatullahi Wabarakatuhu
Topi ke baghair namaz jaaiz aur durust hai kiunki topi pehanna namaz ki sharton mein se nahi hai aur na hi yeh koi wajibi hukm hai albatta yeh zaroor hai ke topi pehan kar namaz padhna afzal aur Mustahab hai kiunki Quran e Majeed mein Allah Taala ka irshad hai:
يَا بَنِي آدَمَ خُذُوا زِينَتَكُمْ عِندَ كُلِّ مَسْجِدٍ
Tarjumah: Aye aulaad e Adam! Tum Masjid ki har haaziri ke waqt zeenat ikhtiyar karo.
(Surah Al-A’raaf, Surah No: 7 Ayat No: 31)
Aur is mein koi shak o shuba nahi ke topi zeenat ki cheez hai neez aayat ke sabab e nuzool (jo ke mushrikeen ke nange Tawaaf se mutalliq hai) se bhi topi laga kar namaz padhne ke Istehbaab ka pata chalta hai.
Khulasa e kalaam yeh hai ke amamah ya topi laga kar namaz padhna afzal hai lekin agar koi amamah ya topi lagaye baghair hi nange sar namaz padhta hai to us ki namaz jaaiz aur durust hai. Is liye ke Hadees e Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam hai:
لَا يُصَلِّي أَحَدُكُمْ فِي الثَّوْبِ الْوَاحِدِ لَيْسَ عَلَى عَاتِقَيْهِ شَيْءٌ
Tarjumah: Kisi shakhs ko bhi ek kapde mein Namaz is tarah na padhni chaahiye ke us ke kandhon par kuch na ho.
(Sahih Bukhari: 359)
Is Hadees se yeh baat wazeh ho gayi ke mard ke liye dauran e Namaz sar ka dhanpna zaroori nahi hai, warna Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam kandhon ke saath sar ka bhi zikr farmaate.
والله أعلم بالصواب
No comments:
Post a Comment