Sahih Muslim ke hawaale se share ki jaane waali ek jhooti riwayat
Tehreer: Umar Asari
Sahih Muslim ke hawaale se yeh riwayat social media par bahut ziyadah share ki jaati hai ke “Jis ghar ke darwaaze rishtedaaron ke liye band rahen, jis ghar mein azaan ke waqt khamoshi na ho, jis ghar ya jagah par makdi ke jaale lage hon, jis ghar mein subah ki namaz na padhi jaati ho, wahan rizq ki tangi aur be-barkti ko koi nahi rok sakta.”
Halaanki yeh riwayat Sahih Muslim mein bilkul nahi hai aur na hi Hadees ki kisi aur kitaab mein Sahih Sanad se yeh riwayat maujood hai. Balki yeh Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam par jhoot hai. Aur yaad rakhen! Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam par jhoot baandhne ki bahut sakht wa’eed warid hue hai.
✰Yahan kuch baton ki wazahat kar dena zaroori samjhta hun:✰
➊ Pehli Baat: Rishtedaaron se qata e talluq par sakht wa’eedein aayi hain. Mohtaram Shaikh Maqbool Ahmed Salafi Hafizahullah ne is talluq se ek mufassal mazmoon likha hai (Jazahullahu Khairan) Jiska mutala’ faidemand hoga.
Mazmoon ka link:
[URL unfurl="true"]https://www.romanquranohadees.com/index.php?threads/rishtedaaron-se-talluq-khatm-karna-–-ek-samaaji-qahar.98/[/URL]
➋ Doosri baat: Azaan ke waqt baat na karna afzal hai lekin zaroorat padne par baat karne mein koi harj nahi hai. Chunancha Sahih Muslim mein hai:
عَنْ أَنَسِ بْنِ مَالِكٍ ، قَالَ : كَانَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يُغِيرُ إِذَا طَلَعَ الْفَجْرُ، وَكَانَ يَسْتَمِعُ الْأَذَانَ، فَإِنْ سَمِعَ أَذَانًا أَمْسَكَ، وَإِلَّا أَغَارَ، فَسَمِعَ رَجُلًا يَقُولُ : اللَّهُ أَكْبَرُ، اللَّهُ أَكْبَرُ. فَقَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ : " عَلَى الْفِطْرَةِ ". ثُمَّ قَالَ : أَشْهَدُ أَنْ لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ، أَشْهَدُ أَنْ لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ. فَقَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم: خَرَجْتَ مِنَ النَّارِ "، فَنَظَرُوا، فَإِذَا هُوَ رَاعِي مِعْزًى
Tarjumah: Hazrat Anas bin Malik Radhiallahu Anhu se riwayat hai, unhon ne kaha: Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam (dushman par) tuloo’ e Fajr ke waqt hamla karte the aur Azaan ki aawaz par kaan lagaaye rakhte the, phir agar azaan sun lete to ruk jaate warna hamla kar dete, (aisa huwa ke) Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne ek aadmi ko kehte huwe suna: «اللَّهُ أَكْبَرُ، اللَّهُ أَكْبَرُ» to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya: “Fitrat (islam) par hai.” Phir us ne kaha: «أَشْهَدُ أَنْ لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ، أَشْهَدُ أَنْ لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ» to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya: “Tu aag se nikal gaya.” Is par Sahaba e Kiraam Radhiallahu Anhum ne dekha to woh bakriyon ka charwaaha tha.
(Sahih Muslim: 382)
Khud Sahaba e Kiraam Radhiallahu Anhum se bhi Azaan ke waqt baat karna saabit hai:
عَنْ ثَعْلَبَةَ بْنِ أَبِي مَالِكٍ الْقُرَظِيِّ ، أَنَّهُ أَخْبَرَهُ ، أَنَّهُمْ كَانُوا فِي زَمَانِ عُمَرَ بْنِ الْخَطَّابِ يُصَلُّونَ يَوْمَ الْجُمُعَةِ حَتَّى يَخْرُجَ عُمَرُ، فَإِذَا خَرَجَ عُمَرُ، وَجَلَسَ عَلَى الْمِنْبَرِ، وَأَذَّنَ الْمُؤَذِّنُونَ، قَالَ ثَعْلَبَةُ : جَلَسْنَا نَتَحَدَّثُ، فَإِذَا سَكَتَ الْمُؤَذِّنُونَ وَقَامَ عُمَرُ يَخْطُبُ أَنْصَتْنَا، فَلَمْ يَتَكَلَّمْ مِنَّا أَحَدٌ
Tarjumah: Tha'labah bin Abi Malik Quradhi se riwayat hai ke log Umar bin Khattab Radhiallahu Anhu ke zamaane mein juma’ ke din Namaz padha karte the yahan tak ke Umar bin Khattab Radhiallahu Anhu nikalte. Jab Umar nikalte aur mimbar par baith jaate mu’azzin Azaan kehte (Tha’labah kehte hain) hum baithe baatein kiya karte. Jab mu’azzin chup ho jaate aur Umar khade ho kar khutba dene lagte to hum khamosh ho jaate lehaza hum mein se koi baat nahi karta.
(Mo’atta Imam Malik: 274)
Shaikh Saleem Hilaali kehte hain ke iski sanad Sahih hai. Aur Shaikh Ahmed Ali Sulaiman ne is ko Sahih kaha hai.
Is talluq se bhi Mohtaram Shaikh Maqbool Ahmed Salafi Hafizahullah ne ek mazmoon likha hai. Uska mutala bhi mufeed hoga.
➌ Teesri Baat: Ghar mein makdi ka jaala laga ho to dekhne mein bura mehsoos hota hai lehaza usko saaf kar liya jaaye to achcha hai. Safaayi achchi cheez hai. Musalman ke kapde bhi saaf hone chaahiye us ka ghar bhi saaf hona chaahiye lekin agar jaala laga huwa ho to us se be-barkti waghera aane ki baat Sahih nahi hai.
➍ Chouthi baat: Namaz ki bahut ziyadah ahmiyat hai. Khusoosi taur par Namaz e Fajr ki bhi ahmiyat aayi hai. Saath Saath Namaz chorne par sakht wa’eedein bhi Ahadees mein bayan hue hain. Mazeed khusoosi taur par Namaz e Fajr ke chorne par bhi wa’eedein aayi hain. Lehaza ek musalman ko Namaz ka paband rehna chaahiye aur use yeh bhi zehen-nasheen kar lena chaahiye ke subah ke waqt mein is ummat ke liye barkat hai. Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne is ummat ke liye subah ke waqt mein barkat ki dua farmaayi hai. Lehaza agar koi sota reh jaata hai to woh waqa’ee barkat se mahroom ho jaata hai.
Khulasa e kalaam yeh ke Sahih Muslim ke hawaale se jo riwayat bahut ziyadah share ki jaa rahi hai uski koi asal nahi hai. Lehaza uski nisbat Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki taraf karna jaaiz nahi hai.
No comments:
Post a Comment