Kya Adam Alaihissalam ne Nabi ﷺ ka waseela liya tha?
✵Sawaal:✵
Assalamu alaikum wa rahmatullahi wa barakatuhu.
Mera sawaal ek riwayat ke talluq se ha, jo logon mein bahut hi mash-hoor hai.
Us riwayat ka khulasa kuch is tarah hai:
Jab Hazrat Adam alaihissalam Jannat se nikale gaye, to unhone Hazrat Muhammed sallallahu alaihi wa sallam ke Waseele se Allah ta'ala se mafi chahi, tab Allah ne un ki Tauba Qubool ki.
Ulma-e-haq is riwayat ko Mauzoo kehte hain.
Mera Sawaal yeh hai ki:
1. Yeh riwayat kahan-kahan par maujood hai, Mukammal hawalon ke saath bataiye.
2. Is riwayat ke Mauzoo hone ke kaun-kaunse asbaab hain, mukammal tafseel ke saath bataayen.
Jazakallahu khairan wa ahsanul jazaa.
✯Jawaab:✯
Walaikum Assalam Wa Rehmatullahi Wabarakatuhu
Aap ki muraad shayad yeh hai ki kuch log ek riwayat pesh karte hain ki “Jab Adam Alaihissalam se ghalati hui tab unhon ne Nabi ﷺ ke waseele se dua ki thi.”
Lekin aap ne ghalati se sawal mein jannat se nikaale jaane ke waqt ka zikr kar diya. Khair aap ne jis riwayat ki taraf ishara kiya hai woh in alfaaz ke saath marwi hai:
حدثنا أبو سعيد عمرو بن محمد بن منصور العدل، ثنا أبو الحسن محمد بن إسحاق بن إبراهيم الحنظلي، ثنا أبو الحارث عبد الله بن مسلم الفهري، ثنا إسماعيل بن مسلمة، أنبأ عبد الرحمن بن زيد بن أسلم، عن أبيه، عن جده، عن عمر بن الخطاب رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " لما اقترف آدم الخطيئة قال: يا رب أسألك بحق محمد لما غفرت لي، فقال الله: يا آدم، وكيف عرفت محمدا ولم أخلقه؟ قال: يا رب، لأنك لما خلقتني بيدك ونفخت في من روحك رفعت رأسي فرأيت على قوائم العرش مكتوبا لا إله إلا الله محمد رسول الله فعلمت أنك لم تضف إلى اسمك إلا أحب الخلق إليك، فقال الله: صدقت يا آدم، إنه لأحب الخلق إلي ادعني بحقه فقد غفرت لك ولولا محمد ما خلقتك
[Mustadrak Hakim: 2/672]
Yeh riwayat mauzoo’ aur manghadat hai. Tafseel mulahza ho:
Imam Zahabi Rahimahullah ne “Mustadrak” ki “Talkhees” mein is riwayat ke baare mein kaha:
بل موضوع
“Balki yeh riwayat mauzoo’ aur manghadat hai.”
[Al-Mustadrak Lil-Hakim Ma'a Ta’leeq Az-Zahabi: 2/672]
Is ki sanad mein “Abdullah bin Muslim Al-Fihri” maujood hai. Aur yeh Kazzaab aur bahut bada jhoota shakhs hai.
Imam Zahabi Rahimahullah ne “Meezaan” mein Abdullah bin Muslim Al-Fihri ka tazkirah karte huwe us ki riwayat ko jhoot qaraar dete huwe kaha:
عبد الله بن مسلم ، أبو الحارث الفهري. روى عن إسماعيل بن مسلمة ابن قعنب، عن عبد الرحمن بن يزيد بن سلم خبرا باطلا فيه: يا آدم لولا محمد ما خلقتك.رواه البيهقى في دلائل النبوة
“Abdullah bin Muslim, Abul Haris Al-Fihri, is ne Ismail bin Maslamah Ibn-e-Qu’nub, An Abdur Rahman bin Yazeed bin Aslam se ek jhooti riwayat bayan ki hai jis mein hai ke “Aye Adam agar Muhammed na hote to main tumhein paida na karta” ise “Baihaqi” ne “Dalaail-un-Nubuwwah” mein riwayat kiya hai.”
[Meezan-ul-Aitedaal Liz-Zahabi: 2/504]
Hafiz Ibn-e-Hajar Rahimahullah ne bhi yeh baat “Lisaan-ul-Meezan” mein naql ki hai aur koi ta’aqub nahi kiya hai.
[Dekhiye: Lisaan-ul-Meezan Li-Ibn-e-Hajar: 3/359]
Is riwayat ki sanad mein ek aur rawi “Abdur Rehman bin Zaid bin Aslam” hai. Is ke Za’eef hone par ijmaa’ hai, chunanche:
Ibn-ul-Jawzi Rahimahullah ne kaha:
عبد الرحمن بن زيد بن أسلم، وقد أجمعوا على ضعفه
“Abdur Rehman bin Zaid bin Aslam ke Za’eef hone par ijmaa’ hai.”
[Ikhbaar-o-Ahl-ir-Rusookh, Page No: 49]
Hafiz Ibn-e-Hajar Rahimahullah kehte hain:
قلت: عبد الرحمن متفق على تضعيفه
“Main (Ibn-e-Hajar) kehta hun ke Abdur Rahman bin Zaid ke Za’eef hone par ittefaaq-o-ijmaa’ hai.”
[Ithaaf-ul-Maharah Li-Ibn-e-Hajar: 12/98]
Yeh rawi bil-ijmaa’ Za’eef hone ke saath saath jhooti aur manghadat Ahadees bhi riwayat karta tha, chunanche Imam Hakim Rahimahullah ne kaha:
عبد الرحمن بن زيد بن أسلم روى عن أبيه أحاديث موضوعة لا يخفى على من تأملها من أهل الصنعة أن الحمل فيها عليه
“Abdur Rehman bin Zaid bin Aslam, is ne apne waalid se mauzoo’ aur manghadat Ahadees bayan ki hain aur ahl-e-fann mein se jo bhi un Ahadees par gaur karega us ke saamne yeh wazeh ho jaayega ke un Ahadees ke ghadne ki zimmedaari isi par hai
[Al-Madkhal Ila As-Sahih, Page No: 154]
Imam Hakim Rahimahullah ke qaul se ma’loom huwa ke yeh “Abdur Rahman bin Zaid bin Aslam” bhi Hadees ghadne waala rawi hai. Lehaza is Hadees ke mauzoo’ aur manghadat hone mein koi shak nahi hai. Aur Imam Zahabi Rahimahullah ne wazeh taur par ise mauzoo’ aur manghadat kaha hai jaisa ke upar hawaala diya gaya.
Jawab By: Shaikh Kifayatullah Sanabili Hafizahullah
No comments:
Post a Comment