Sunday, September 08, 2024

Kya Farishton Ko Maut Aayegi?

 Kya Farishton Ko Maut Aayegi?


Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmed Salafi Hafizahullah

Islamic Dawah Center-Taif


Romanised By: Umar Asari


Yeh baat ahl e ilm ke darmiyaan ikhtilaaf ka baa’is hai ke farishton ko maut aayegi ke nahi? Dalail se wazeh hota hai ke farishton ko bhi maut aayegi, is liye yeh mauqif qawi (mazboot) hai.


Farishton ko maut aayegi, is baat ke chand dalail Quran se.

❶ Pehli daleel:

كُلُّ شَيْءٍ هَالِكٌ إِلَّا وَجْهَهُ

Tarjumah: Har cheez fana hone waali hai siwaye us (Allah) ki zaat ke.

(Surah Al-Qasas, Surah No: 28 Ayat No: 88)


Is Aayat se pata chalta hai ke Allah ke siwa har cheez fana hone waali hai yahan tak ke farishte bhi, is liye Allah Ta’ala ne sirf apni zaat ka istisnaa (exception) kiya yani bus Rabb ul Aalameen ki zaat baqi rehne waali hai aur saari makhlooq fana hone waali hai. Jinn o ins, haiwan, malaaikah sab ko maut aayegi.


❷ Doosri daleel:

كُلُّ مَنْ عَلَيْهَا فَانٍ۞ وَيَبْقَىٰ وَجْهُ رَبِّكَ ذُو الْجَلَالِ وَالْإِكْرَامِ

Tarjumah: Zameen par jo hain sab fana hone waale hain, sirf tere Rabb ki zaat jo Azmat aur izzat waali hai baqi reh jaayegi.

(Surah Ar-Rahman, Surah No: 55 Ayat No: 26-27)


Is Aayat ke zariye bhi Allah Ta’ala ne hamein yeh khabar di ke us ke siwa duniya ki har cheez fana ho jaayegi, sirf usi ki zaat jo «الْحَيُّ الْقَيُّومُ» (hamesha zindah rehne waala aur hamesha saari kaayenaat ko qaaim rakhne waala) hai, baqi rehne wali hai.


❸ Teesri daleel:

كُلُّ نَفْسٍ ذَائِقَةُ الْمَوْتِ

Tarjumah: Har nafs (jaan) maut ka maza chakhne waali hai.

(Surah Aal e Imran, Surah No: 3 Ayat No: 185)


Is Aayat mein bhi Allah ne kisi ko mustasna (alag) nahi kiya aur yeh batlaya ke har jaandaar ko maut aayegi.


Hadees se daleel:

Hazrat Abdullah bin Abbas Radhiallahu Anhuma bayan karte hain ke Hazrat Abu Bakr Radhiallahu Anhu farmaate hain:

فَمَنْ كَانَ مِنْكُمْ يَعْبُدُ مُحَمَّدًا صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فَإِنَّ مُحَمَّدًا صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَدْ مَاتَ، وَمَنْ كَانَ يَعْبُدُ اللَّهَ فَإِنَّ اللَّهَ حَيٌّ لَا يَمُوتُ

Tarjumah: Agar koi shakhs tum mein se Muhammed Sallallahu Alaihi Wasallam ki ibadat karta tha to use ma’loom hona chaahiye ke Muhammed Sallallahu Alaihi Wasallam ki wafaat ho chuki aur agar koi Allah Ta’ala ki ibadat karta hai to Allah Ta’ala baaqi rahne waala hai. Kabhi woh marne waala nahi.

(Sahih Bukhari: 1242)


Sahih Bukhari ki is Hadees se pata chalta hai ke ibadat usi zaat ki ki jaayegi jo hamesha se hai, hamesha zindah rahegi, use kabhi maut nahi aayegi aur baqi jitni cheezein hain un mein se kisi ki ibadat nahi ki jaayegi kiunki un sab cheezon ko fana hona hai. Yahi mafhoom Bukhari ki ek doosri riwayat se bhi nikalta hai:

أَعُوذُ بِعِزَّتِكَ الَّذِي لَا إِلَهَ إِلَّا أَنْتَ الَّذِي لَا يَمُوتُ، وَالْجِنُّ وَالْإِنْسُ يَمُوتُونَ

Tarjumah: Teri ’izzat ki panaah maangta hun ke koi ma’bood tere siwa nahi, teri aisi zaat hai jise maut nahi aur Jinn-o-Ins fana ho jaayenge.

(Sahih Bukhari: 7383)


Yani Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Allah Ta’ala se panah talab kiya karte the kiunki ek wohi zaat hai jo hamesha baqi rehne waali hai aur baqi saari cheezein fana hone waali hain.


➤ Khulasa e kalaam yeh hai ke Quran o Hadees ke dalail se maloom hota hai ke Allah ke alawah sab ko maut aayegi, farishte bhi maut se nahi bachenge kiunki Allah ne saari makhlooq ke liye maut muqarrar kar di hai. Is baat par Allama Manawi Rahimahullah ne Faiz ul Qadeer mein ijmaa zikr kiya hai.


Ek ishkaal ka jawaab:

Ek ishkaal paida hota hai ke Malak ul Maut ko kaise maut aayegi jabke wohi maut par mamoor hain? Isi tarah Israfeel Alaihissalam ko kaise maut aayegi jabke un ke Soor phoonkne se logon ko maut aayegi? Aur isi tarah mazeed kayi sawalaat paida hote hain ke jo farishte Allah ka arsh uthaye huwe hain un ka kya hoga? Jo Jannat o Jahannum ke Darogha hain un ka kya hoga? Waghera Waghera.


Jawaab

❶ Pehli baat: Hamara is baat par imaan hai ke Allah Ta’ala tamam cheezon par Qadir hai, woh kisi ka mohtaaj nahi, saare us ke mohtaaj hain jaisa ki dalaail se yeh baat maloom hai.


❷ Doosri baat: Allah ne baaz umoor par farishton ko muta’ayyan kiya hai, maut ke liye bhi farishte ko muqarrar kar rakha hai jabki koi kaam Allah ke liye mushkil nahi hai aur jis ko bhi maut aati hai woh Allah ke hukm se hi aati hai, Malak ul Maut sirf Allah ke hukm ki ta'meel karte hain goya maut dena Allah ka kaam hai jaisa ke Rabb ka farmaan hai:

اللَّهُ يَتَوَفَّى الْأَنفُسَ حِينَ مَوْتِهَا وَالَّتِي لَمْ تَمُتْ فِي مَنَامِهَا

Tarjumah: Allah hi roohon ko un ki maut ke waqt aur jin ki maut nahi aayi unhein un ki neend ke waqt qabz kar leta hai.

(Surah Az-Zumar, Surah No: 39 Ayat No: 42)


Jab maut ka faisla karne waala Allah hai to woh farishton ko bhi maut dene par Qadir hai. farmaan e ilaahi hai:

أَعْلَمُ أَنَّ اللَّهَ عَلَىٰ كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ

Tarjumah: Main jaanta hun ke Allah har cheez par Qadir hai.

(Surah Al-Baqarah, Surah No: 2 Ayat No: 259)


Farishton ko maut dene ki kaifiyat jo bhi hai woh Allah ke ilm mein hai, is silsile mein koi sarahat (wazaahat) nahi milti siwaye umoomi dalail ke albatta baaz riwayaat mein chand farishton ki maut ki tafseel bayan ki jaati hai jise Ibn ul Jawzi ne zikr kiya hai lekin woh saabit nahi hai bus Quran o Hadees ke umoomi dalail se saabit hota hai ke farishton ko bhi maut aayegi.


❸ Teesri baat: Jis tarah Allah Ta’ala farishton ki maut se pehle kisi ka mohtaaj nahi tha usi tarah farishton ki maut ke baad bhi woh kisi ka mohtaaj nahi hai hamara imaan hai ke Allah Ta’ala be-niyaaz hai.


❹ Chauthi baat: Israfeel Alaihissalam Soor phoonkne ke baad hi wafaat paayenge kiunki Allah ne unhein is kaam par mamoor kiya hai jo Sahih Ahadees se saabit hai, isi tarah arsh uthaane ka mu’aamla wafaat ke baad dobara zindah kiye jaane par hai neez Jannat o Jahannum ke darogha ka bhi yahi mu’aamla hai is liye is mein ishkaal nahi.


❺ Paanchveen baat: Farishton ke halaat ka mu’aamla umoor e ghaibiyyah mein se hai ise ziyadah kuredne ki zaroorat nahi hai, bas jis qadr ilm hamein diya gaya hai usi par iktifa karen.

No comments:

Post a Comment

Important Massage To All Readers

Galati Insaan Se Hi Hoti Hai

Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wabarakatuhu  Bismillahirrehmanirraheem  Galati Insaan Se Hi Hoti Hai. Or Hum Se Bhi Galati Ka Imkaan ...