Kya Sahaba Ka Amal deen me Daleel shumar kiya jata hai?
✵Sawaal✵
Assalam alaikumm shaikh kuch logon ka khna hota hai ki...Deen me only qur'an nd Nabi saw hi daleel hn sahaba ka amal nhi to unhe kaise smjhayein...plzz wazaht kr dein shukran..
✪Jawaab✪
Walaikum Assalam Wa Rahmatullahi Wabarakatuhu
Sahabi ki woh baat jo ijtehaad aur raye ke zariye nahi ki jaa sakti ulama ke nazdeek Hujjat hai kiunki is mein yeh ihtimaal hai ke yaqeenan yeh baat Sahabi ne Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se hi suni hogi.
Sahabi ke jis qaul par ijma ho chuka ho ulama use shara'i Hujjat qarar dete hain.
Sahabi ka aisa qoul jo raye aur ijtehaad par mabni ho kya woh Hujjat hai?
Is mein ulama ne ikhtilaaf kiya hai:
1. Baaz ulama ise shara'i Hujjat qarar dete hain. Un ka kehna hai ke jab koi masla Kitab o Sunnat aur ijma se na mil sake to Sahabi ke qaul par amal karna chahiye kiunki agarchay woh baat raye par mabni hai lekin un ki raye hamari raye se beharhaal behtar hai woh is liye ke woh nuzool e wahi ke zamane mein maujood the, tashreeh e ahkaam ki hikmat aur asbaab e nuzool se waaqif the, aur ek lamba arsa Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki sohbat mein bhi guzaara. In tamam wujoohaat ki bina par un ki raaye ko doosron ki raaye par badi fazeelat haasil hai.
2. Aur baz ulama ise shara'i Hujjat nahi maante. Un ka kehna hai ke hum sirf Kitaab o Sunnat ke dalail par amal ke paband hain aur sahabi ka qaul un mein shaamil nahi.
Hamare ilm ke mutabiq raajeh baat yeh hai ke agarchay sahabi ke aisay qoul par jo ijtehaad o raye par mabni ho amal wajib nahi lekin apni raye par un ki raye ko tarjeeh dena afzal hai jaisa ke is ki wujoohaat pehle qaul ke zimn mein bayan ki ja chuki hain.
Ab hum fiqh ke imamon ki is baare mein raye mulahza karenge:
Imam Abu Hanifa Rahimahullah:
Agar Allah ki kitaab aur Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ki sunnat mein mujhe koi cheez nahi milti to main Sahaba ke aqwaal ikhtiyar kar leta hun.
[Abu Hanifa Li-sh-Shaikh Abi Zohra: 309]
Imam Malik Rahimahullah:
Inhon ne apni kitaab Muatta mein bahut se Sahaba ke fatawajaat naqal kiye hain aur aksar masail mein unhien par aitmaad kiya hai.
[Malik Li-sh-Shaikh Abi Zohra: 259]
Imam Shafa'ee Rahimahullah:
Agar mujhe Kitaab o Sunnat ya Ijma ya us ke hum-ma'ne kisi doosri cheez mein jo hukm lagane waali ho ya us ke saath qiyaas ho, koi cheez nahi milti to mera maslak yahi hai ke sahaba mein se kisi ke qaul ko ikhtiyar kar liya jaaye.
[Ar-Risalah Li-sh-Shafa'ee: 598]
Imam Ahmad bin Hambal Rahimahullah:
Main ne har masle mein ya to Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki Hadees se jawab diya ya Sahaba ya Taba'een ke kisi qaul se.
[Usool ul Fiqh Li-Abi Zohra: 215, Usool ul Fiqh Li-Ibn e Taimiyah: 356]
No comments:
Post a Comment