Sajda e sahw karna bhool jaayen to kya karen?
❀Sawaal:❀
Assalamu Alaikum,
Agar namaz me koi galati hojaye aur wo sajda sahw hi karna bhool jaaye tab kya karein?
✿Jawaab:✿
Walaikum Assalam Warehmatullahi Wabarakatuhu
Agar koi shakhs Sajda e Sahw namaz mein karna bhool jaaye to Namaz ke baad kar le. Iski daleel yeh Hadees hai:
عَنْ عِمْرَانَ بْنِ الْحُصَيْنِ، قَالَ سَلَّمَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم فِي ثَلاَثِ رَكَعَاتٍ مِنَ الْعَصْرِ ثُمَّ قَامَ فَدَخَلَ الْحُجْرَةَ فَقَامَ رَجُلٌ بَسِيطُ الْيَدَيْنِ فَقَالَ أَقُصِرَتِ الصَّلاَةُ يَا رَسُولَ اللَّهِ . فَخَرَجَ مُغْضَبًا فَصَلَّى الرَّكْعَةَ الَّتِي كَانَ تَرَكَ ثُمَّ سَلَّمَ ثُمَّ سَجَدَ سَجْدَتَىِ السَّهْوِ ثُمَّ سَلَّمَ
Tarjumah: Hazrat Imraan bin Husain Radhiallahu Anhu se riwayat hai unhon ne kaha ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Asr ki teesri rakat mein salam pher diya, phir uth kar apne hujre mein dakhil ho gaye. Aik (lambe) chaude haathon waala aadmi khada huwa aur arz kiya: Aye Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam! Kya namaz kam kar di gai hai? Phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam gusse ki halat mein nikle aur chori hue rakat padhai, phir salam pher diya, phir sahw ke do sajde kiye, phir salam phera
(Sahih Muslim: 574)
Ab yeh dekh len ki kya in sajdo ke baad salam pherenge ya nahi? Aur in sajdo ke baad Tashahhud mein baithenge ya nahi?
Is silsle mein Shaikh Mohammad bin Saleh bin Uthaimeen Rahimahullah kehte hain:
Agar sajde salam ke baad hon to salam zaroori hai, chunancha do sajde kar ke salam phere jayen
Lekin kya is ke liye Tashahhud bhi zaroori hai?
Is mein ulama e kiram ke yahan ikhtelaaf hai, rajeh yeh hai ki Tashahhud wajib nahi.
{Dekhen: Fatawa Ibn e Uthaimeen (14/74)}
Mustaqil Fatwa Committee se yeh sawal kiya gaya:
Kya sajda e sahw ke baad Tashahhud mein baitha jaayega ya nahi, chahe sajda e sahw salam se pehle ho ya baad mein?
Committee ka jawab tha:
Agar sajda e sahw salam se pehle hon to bilaa shak o shuba us ke baad Tashahhud mein baithna Mashroo' nahi, lekin agar salam ke baad sajda e sahw ho to is mein ahl e ilm ka ikhtelaaf hai, Rajeh yahi hai ki Sahih Ahadees mein is ka zikr na hone ki wajah se yeh Mashroo' nahi.
{Dekhen: Fatawa al-Lajnah ad-Daa'imah lil-Buhooth al-'Ilmiyyah wal-Iftaa (7/148)}
Taken From: Islamqa
واللہ اعلم بالصواب
No comments:
Post a Comment