Takbeerat e Eid ul Azha ke Mashroo’ hone ka sabab
✵Sawaal:✵
Assalamu Alaikum
Mene kuch videos me suna ke,
Jab Ibrahim alahissalam ismaeel alahissalam ko Allah ki raah me qurban krne jaa rahe the toh wo manzar dekh kar farishte Allahu Akbar 2/4 kehne lge fr unko dekh kr Ibrahim alahissalam ne kaha la ilaha illallah wallahu akbar. Fr in dono ko dekh ke ismaeel alahissalam ne kaha Allahu akbar wa lillahil hamd.
Aur unhone koi daleel nhi di.
Toh ye qissa sahih hai ya galtwazahat farma dein.
✯Jawaab:✯
Walaikum Assalam Wa Rehmatullahi Wabarakatuhu
Aap ne jis riwayat ke mutalliq sawaal kiya hai woh in alfaaz se kayi tafaseer mein maujood hai:
ورُوي أنَّه لمَّا ذبحه قال جبريلُ عليه السَّلامُ اللَّهُ أكبرُ اللَّهُ أكبرُ فقال الذَّبيحُ لا إله إلا الله والله أكبر فقالَ إبراهيمُ اللَّهُ أكبرُ ولِلَّهِ الحمدُ فبقي سُنَّةً
Tarjumah: Riwayat ki jaati hai ke jab (Ibrahim Alaihissalam) ne (Ismail Alaihissalam ko) zabah (karne ka iraada) kiya to Jibrael Alaihissalam ne kaha “Allahu Akbar Allahu Akbar” uske baad Zabeeh Alaihissalam ne kaha “Laa Ilaaha Illallahu Wallahu Akbar” phir Ibrahim Alaihissalam ne kaha “Allahu Akbar Walillahil Hamd” lehaza yeh (Takbeer) Sunnat ke taur par baqi reh gayi.
(Tafseer e Qurtubi Taba’ Daar ul Kutub Al-Misriyyah: 15/102)
Yeh riwayat Tafseer e Qurtubi ke alawah kayi doosri tafaseer mein bhi maujood hai jaise Rooh ul Ma’aani, Tafseer An-Nasafi, Tafseer Abi Mas’ood aur Fatah ul Bayan Fi Maqasid Al-Quran waghera lekin har jagah yeh riwayat segha e tamreez ke saath maujood hai. Kaafi talaash ke baad bhi mujhe is riwayat ki sanad nahi mil saki. Aur aap ko maloom hona chahiye ke segha e tamreez se bayan ki jaane wali riwayat sahih nahi hoti hai. Lehaza is par aitemaad nahi kiya jaa sakta.
Hafiz Ibn e Hajar Rahimahullah is riwayat ke mutalliq farmate hain:
لم اجده
Yani main is riwayat ko nahi pa saka.
(Al-Kaaf-ush-Shaaf Fi Takhreej-e-Ahadees-il-Kashshaf: Page No: 141, Hadees No: 293)
Khulasa yeh ke Takbeerat ke Mashroo’ hone ka sabab is riwayat (waqiye) ko batana sahih nahi hai.
والله أعلم بالصواب
No comments:
Post a Comment