Sunday, September 08, 2024

 Kya Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka naam choomne se nijat mil jaati hai?


❀Sawaal:❀

Kya nabi ka nam chomney se nijat milti ha?


✿Jawaab:✿

Is talluq se ek riwayat pesh ki jaati hai:

عَبْدُ الْمُنْعِمِ بْنُ إِدْرِيسَ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ جَدِّهِ وَهْبٍ قَالَ: كَانَ فِي بَنِي إِسْرَائِيلَ رَجُلٌ عَصَى اللهَ مِائَتَيْ سَنَةٍ ثُمَّ مَاتَ، فَأَخَذُوا بِرِجْلِهِ فَأَلْقُوهُ عَلَى مِزْبَلَةٍ، فَأَوْحَى اللهُ إِلَى مُوسَى عَلَيْهِ السَّلَامُ أَنِ اخْرُجْ فَصَلِّ عَلَيْهِ. قَالَ: يَا رَبِّ، بَنُو إِسْرَائِيلَ شَهِدُوا أَنَّهُ عَصَاكَ مِائَتَيْ سَنَةٍ، فَأَوْحَى اللهُ إِلَيْهِ: هَكَذَا كَانَ، إِلَّا أَنَّهُ كَانَ كُلَّمَا نَشَرَ التَّوْرَاةَ وَنَظَرَ إِلَى اسْمِ مُحَمَّدٍ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَبَّلَهُ وَوَضَعَهُ عَلَى عَيْنَيْهِ، وَصَلَّى عَلَيْهِ، فَشَكَرْتُ ذَلِكَ لَهُ، وَغَفَرْتُ ذُنُوبَهُ، وَزَوَّجْتُهُ سَبْعِينَ حَوْرَاءَ

Tarjumah: Wahab bin Munabbah kehte hain: Bani Israel mein ek shakhs tha jis ne 200 saal tak Allah Taala ki na-farmaani ki thi, phir woh faut ho gaya to logon ne use pakda aur ek rodi par phenk diya. Allah Taala ne Musa Alaihissalam ki taraf wahi ki ke iska janaaza padhye. Unhon ne arz ki aye mere Rabb! Bani Israel ne is baat ki gawaahi di hai ke us ne 200 saal tak teri na-farmaani ki hai. To Allah Taala ne Musa Alaihissalam ki taraf wahi farmaayi isi tarah hai, lekin woh jab bhi Tauraat kholta aur Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ke naam ko dekhta to use bosa deta aur apni aankhein us pe rakh deta, aur un pe durood padhna, to main ne uske us amal ki qadr ki aur iske gunaah maaf kar diye aur 70 hooron se uska nikah kar diya hai.

(Hiliyyat ul Awliyaa: 4/42)


☞ Yeh riwayat sakht zaeef hai iski Sanad mein:

Abdul Mun'im bin Idris Bin Sinaan Al-Yamaani Al-Baghdaadi Matrook ul Hadees hai.

Aur iska waalid Idris Bin Sinaan Al-Yamaani bhi Matrook hai.


Mazeed yeh ki yeh Israeli riwaayat hai jis se aqeedah saabit nahi hota.

Shaikh Rafiq Tahir Hafizahullah


Lehaaza yeh aqeedah durust nahi ki Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ka naam choomne se najaat mil jaati hai.

واللہ اعلم بالصواب

No comments:

Post a Comment

Important Massage To All Readers

Galati Insaan Se Hi Hoti Hai

Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wabarakatuhu  Bismillahirrehmanirraheem  Galati Insaan Se Hi Hoti Hai. Or Hum Se Bhi Galati Ka Imkaan ...