Sab Se Ziyadah Taqatwar Kon Hai?
Tahreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullaah.
Islaamic Da'wa Centre,Taaif
Insaan Bahut Hi Kamzor Makhlooq Hai, Apni Paidaish Se Le Kar Maut Tak Har Pal Aur Har Lamha Apne Khaaliq Ki Meharbani Ka Mohtaaj Hai. Hath Aur Pair Me Calne Phirne, Uthne Baithne Aur Kaam Kaaj Karne Ki Taqat, Naak, Kaan Aur Aankh Me Soonghne, Sunne Aur Dekhne Ki Taaqat, Dil Aur Dimaag Me Soch Aur Fikr Ki Taaqat Aur Jism Me Jaan Ki Taaqat, Yeh Sab In Aaza (Body Ke Parts) Ke Banane Wale Allaah Ki Jaanib Se Hai. Ek Aadmi Usi Waqt Zindah Reh Sakta Hai Jab Tak Allaah Ki Meharbani Hai, Uski Mehrabani Se Mehroom Hote Hi Woh Duniya Se Khatm Ho Jaayega. Is Baat Ko Misaal Se Is Tarah Samjhen Ke Allaah Ek Aadmi Par 23 Hours Meharban Raha Aur 24th Hour Apni Meharbani Hata Leta Hai, Uske Baad Aadmi 24 Second Bhi Sans Nahi Le Sakta. Is Qadar Majboor Aur Kamzor Insaan Bhala Taqatwar Kaise Ho Sakta Hai? Allaah Ne Insaano Ki Kamzori Ka Zikr Karte Huwe Farmaya:
يُرِيدُ الله أَنْ يُخَفِّفَ عَنْكُمْ وَخُلِقَ الْإِنْسَانُ ضَعِيفًا
Tarjumah: “Allaah Chahta Hai Ke Tum Par Aasaani Kar De Kunki Insaan Kamzor Paida Kiya Gaya Hai.”
(Surah An Nisaa: 28)
Dusri Jagah Irshaad Farmaya:
الْآنَ خَفَّفَ الله عَنْكُمْ وَعَلِمَ أَنَّ فِيكُمْ ضَعْفًا
Tarjumah: “Ab Allaah Tumhara Bojh Halka Karta Hai Woh Khoob Janta Hai Ke Tum Me Kamzori Hai.”
(Surah Al-Anfaal: 66)
Surah Ar-Room Me Insaan Ke Marhala Waar Kamzori Batate Huwe Allaah Farmata Hai:
اللهُ الَّذِي خَلَقَكُم مِّن ضَعْفٍ ثُمَّ جَعَلَ مِن بَعْدِ ضَعْفٍ قُوَّةً ثُمَّ جَعَلَ مِن بَعْدِ قُوَّةٍ ضَعْفًا وَشَيْبَةً ۚ يَخْلُقُ مَا يَشَاءُ ۖ وَهُوَ الْعَلِيمُ الْقَدِيرُ
Tarjumah: “Allaah Taala Woh Hai Jis Ne Tumhein Kamzori Ki Halat Me Paida Kiya Fir Us Kamzori Ke Baad Taqat Di, Fir Us Taqat Ke Baad Kamzori Aur Budhapa Diya, Woh Jo Chahta Hai Paida Karta Hai Woh Sab Se Pura Waqif Aur Sab Par Pura Qaadir Hai.”
(Surah Ar-Room: 54)
Is Aayat Me Allaah Ne Bataya Ke Insaan Kamzori Me Paida Kiya Gaya Fir Use Taqat De Kar Jawan Banaya Gaya Uske Baad Fir Se Us Par Budhapa Ka Bojh Daal Kar Kamzoor Bana Diya Gaya. Hamare Mushahade (Dekhne) Ki Cheezein Hain Ya Yeh Keh Len Ke Yeh Hamare Halaat Hain, Aaye Din Ham Bimaar Hote Hain, Kaam Karte Karte Thak Jaate Hain, Hamein Aaraam Aur Neend Ki Zaroorat Padti Hai, Ham Sab Ko Bhook Aur Piyaas Mehsoos Hoti Hai, Sardi Aur Garmi Se Hamein Takleef Pahunchti Hai, Masaaib (Museebaton) Aur Mushkilaat Par Ro Padte Hain, Ek Waqt Aata Hai Badan Se Rooh Sath Chhod Deti Hai Aur Maut Ho Jati Hai Yah Sari Insaani Kamzoriyan Hain Aur Jo Kamzor Ho Taqat Wala Kaise Ho Sakta Hai?
Yah Bhi Haqeeqat Hai Ke Koi Aadmi Kisi Se Jismani Aitbaar Se Taqatwar Hota Hai, Kisi Ko Maal, Kisi Ko Aulaad, Kisi Ko Mansab Aur Kisi Ko Hukoomat Aur Kursi Ki Taqat Milti Hai. Ayse Me Kuch Log Apni Taqat Ka Istimaal Dusro Ko Faidah Pahunchaane Me Karte Hain Jabke Aksar Log Quwwat Aur Taqat Ka Istimaal Kamzoron Par Ziyadti Me Karte Hain. Zulm Aur Ziyadti Karne Walon Par Taqat Ka Nasha Is Qadar Chadh Jata Hai Ke Use Yah Ehsaas Nahi Hota Ke Us Se Bhi Bada Taqatwar Hai, Ek Aysi Quwwat Hai Jo Bahut Badi Kaayenaat Par Haawi Hai, Use Yeh Ehsaas Nahi Rah Jaata Ke Uske Paas Maujood Quwwat Chahe Maal Ho, Aulaad Ho, Asleha Aur Baarood Ho, Ohda Aur Mansab Ho Ya Hukoomat Aur Dabdaba Ho Sab Qaadir e Mutlaq Allaah Ki Taraf Se Hai Aur Khatm Hone Wala Hai, Woh Jab Chahta Hai Insaan Ko Taqat Deta Hai Aur Jab Chahta Hai Uski Taaqat Chheen Leta Hai. Maut Insaani Guroor Aur Taqat Ka Aakhri Anjaam Hai, Is Se Pehle Na Jaane Kitni Ibrat o Nasihat Aur Urooj o Zawaal Ki Dastaanen Hain.
Zoaf Aur Kamzori Ke Muqable Me Quwwat Aur Taaqat Hai Aur Allaah Hi Sare Jahan Me Sab Se Ziyadah Taqatwar Hai. Iska Mushahada Apni Takhliq Ke Shuru Din Se Aulaad e Aadam Karti Aa Rahi Hai Allaah Ka Farmaan Hai:
وَكَأَيِّن مِّن قَرْيَةٍ هِيَ أَشَدُّ قُوَّةً مِّن قَرْيَتِكَ الَّتِي أَخْرَجَتْكَ أَهْلَكْنَاهُمْ فَلَا نَاصِرَ لَهُمْ
Tarjumah: “Ham Ne Kitni Bastiyon Ko Jo Taqat Me Teri Is Basti Se Ziyadah Thien Jis Se Tujhe Nikala Gaya Ham Ne Unhein Halaak Kar Diya Hai Jin Ka Madadgaar Koi Na Utha.”
(Surah Muhammed: 13)
Is Aayat Me Allaah Ne Mutlaq Taur Par Un Taqatwar Qaumon Ki Tabaahi Ka Zikr Kiya Jinhone Zulm Aur Kufr Kiya Jab Ke Qura'an Me Kayi Maqaamat Par Chand Zaalim Aqwaam Aur Taqatwar Afraad Ka Bhi Zikr Kiya Hai Jin Ki Quwwat Chaknachoor Ho Gayi Aur Woh Khood Duniya Ke Liye Nishan e Ibrat Ban Gaye. Allaah Ka Farmaan Hai:
أَوَلَمْ يَسِيرُوا فِي الْأَرْضِ فَيَنظُرُوا كَيْفَ كَانَ عَاقِبَةُ الَّذِينَ مِن قَبْلِهِمْ ۚ كَانُوا أَشَدَّ مِنْهُمْ قُوَّةً وَأَثَارُوا الْأَرْضَ وَعَمَرُوهَا أَكْثَرَ مِمَّا عَمَرُوهَا وَجَاءَتْهُمْ رُسُلُهُم بِالْبَيِّنَاتِ ۖ فَمَا كَانَ اللَّهُ لِيَظْلِمَهُمْ وَلَٰكِن كَانُوا أَنفُسَهُمْ يَظْلِمُونَ
Tarjumah: “Kya Unhone Zameen Me Chal Phir Kar Yeh Nahi Dekha Ke In Se Pehle Logo Ka Anjaam Kaisa Huwa? Woh In Se Bahut Ziyadah Taqatwar The Aur Unhone Bhi Zameen Boi Joti Thi Aur Inse Ziyadah Aabad Ki Thi Aur Un Ke Paas Unke Rasool Roshan Dalaail Le Kar Aaye The Yeh To Na-Mumkin Tha Ke Allaah Un Par Zulam Karta Lekin Dar Asal Woh Khood Apni Jaano Par Zulm Karte The.”
(Surah Ar-Room: 9)
Maal Daulat Se Magroor Aur Taqatwar Haakim QAROON Ka Zikr Karte Huwe Allaah Farmata Hai:
إِنَّ قَارُونَ كَانَ مِن قَوْمِ مُوسَىٰ فَبَغَىٰ عَلَيْهِمْ ۖ وَآتَيْنَاهُ مِنَ الْكُنُوزِ مَا إِنَّ مَفَاتِحَهُ لَتَنُوءُ بِالْعُصْبَةِ أُولِي الْقُوَّةِ إِذْ قَالَ لَهُ قَوْمُهُ لَا تَفْرَحْ ۖ إِنَّ اللهَ لَا يُحِبُّ الْفَرِحِينَ
Tarjumah: “Qaroon Tha To Qaum e MOOSA Se Lekin Un Par Zulm Karne Laga Tha Ham Ne Use Is Qadar Khazaane De Rakhe The Ke Kayi Kayi Taqatwar Log Mushkil Se Uski Kunjiyan Utha Sakte The Ek Baar Uski Qaum Ne Kaha Ki Itra Mat! Allaah Itraane Walo Se Muhabbat Nahi Rakhta.”
(Surah Al-Qasas: 76)
Duniya Ke Ayse Taqatwar Aadmi Jis Ke Khazaane Ki Chaabhiyan Kayi Kayi Taqatwar Log Mushkil Se Utha Paate The Aakhir Uska Anjaam Kya Huwa? Uske Anjaam Ke Mutalliq Allaah Ne Dusri Jagah Batlaya Ke QAROON Se Bhi Ziyadah Maal Aur Taqat Wale Logo Ko Ham Halaak Kar Chuke Hain, Irshaad e Rabbani Hai:
أَوَلَمْ يَعْلَمْ أَنَّ اللَّهَ قَدْ أَهْلَكَ مِن قَبْلِهِ مِنَ الْقُرُونِ مَنْ هُوَ أَشَدُّ مِنْهُ قُوَّةً وَأَكْثَرُ جَمْعًا ۚ وَلَا يُسْأَلُ عَن ذُنُوبِهِمُ الْمُجْرِمُونَ
Tarjumah: “Kya Use Ab Tak Yah Nahi Maaloom Ke Allaah ne Us Se Pehle Bahut Si Basti Walo Ko Gaarat Kar Diya Jo Us Se Bahut Ziyadah Jama Poonji Wale The Aur Gunehgaaro Se Unke Gunaaho Ki Baaz Puras Ayse Waqt Nahi Ki Jaati.”
(Surah Al-Qasas: 78)
Malika e Saba BILQEES (Jab Halat e Kufr Me Thi To Us) Ke Paas Sulaimaan Alyhis Salaam Ka Khat Pahunchta Hai Ke Islaam Qabool Kar Lo To Uske Saathiyo Ne Taaqat Aur Jung Ka Roab Zaahir Kiya Aur Kaha:
قَالُوا نَحْنُ أُولُو قُوَّةٍ وَأُولُو بَأْسٍ شَدِيدٍ وَالْأَمْرُ إِلَيْكِ فَانظُرِي مَاذَا تَأْمُرِينَ
Tarjumah: “Un Sab Ne Jawab Diya Ke Ham Taqat Aur Quwwat Wale, Sakhat Ladhne Bhidne Wale Hain Aage Aap Ko Ikhtiyaar Hai Aap Khood Hi Soch Lijye Ke Hamein Aap Kya Kuch Hukm Farmaati Hain.”
(Suran An-Naml: 33)
Magar Allaah Ke Rasool Sulaimaan Alyhis Salaam Ke Samne BILQEES Ka Azeem Takhat, Uske Lashkar Aur Quwwat Kaam Na Aaye Aur Woh Keh Uthi:
أَسْلَمْتُ مَعَ سُلَيْمَانَ لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ
Tarjumah: “Ab Me Sulaimaan Ke Saath Allaah Rabb ul Aalameen Ki Mutee' Aur Farmanbardaar Banti Hun.”
(Surah An-Naml: 44)
Bahar Kayf! Quwwat Aur Taaqat Wale Aqwaam Aur Afraad Ke Urooj o Zawaal Aur Unki Tabaahiyon Ki Lambi Daastaanein Hain, Yaha Batana Yah Maqsood Hai Ke Insaan Ko Badan Ya Zameen Ki Quwwat Milti Hai To Woh Bhi Allaah Ki Taraf Se Hai Aur Us Waqt Tak Rehti Hai Jab Tak Allaah Chahta Hai. Allaah Hi Quwwat Aur Taqat Wala Hai, Woh Hamesha Se Hai Aur Hamesha Rahega, Use Thakaan Nahi Hoti, Use Oongh Nahi Aati, Use Khane Peene Ki Zaroorat Nahi, Usme Koi Kami Aur Aib Nahi, Woh Sab Se Buland Aur Sab Se Ziyadah Taqat Aur Quwwat Wala Hai. Allaah Ka Farmaan Hai:
أَنَّ الْقُوَّةَ لِلَّهِ جَمِيعًا وَأَنَّ اللَّهَ شَدِيدُ الْعَذَابِ
Tarjumah: “Tamaam Taqat Allaah Hi Ke Liye Hai Aur Allaah Sakhat Azaab Dene Wala Hai.”
(Surah Al-Baqarah: 165)
Dusri Jagah Irshaad Hai:
إِنَّ رَبَّكَ هُوَ الْقَوِيُّ الْعَزِيزُ
Tarjumah: “Yaqeenan Tera RAB Hi Taqatwar Aur Gaalib Hai.”
(Surah Al-Baqarah: 66)
Ek Jagah Yun Irshaad Farmaya:
إِنَّ اللَّهَ هُوَ الرَّزَّاقُ ذُو الْقُوَّةِ الْمَتِينُ
Tarjumah: “Allaah To Khud Hi Sab Ko Rozi Dene Waala, Taaqat Wala Aur Zabardast Zor-Aawar Hai.”
(Surah Az-Zariyaat: 58)
Zaahir Si Baat Hai Jo Ham Ko Paida Kare, Jo Hamare Khane Peene Ka Intizaam Kare, Jo Hamari Zindagi Aur Maut Par Qaadir Ho Asal Taqat Wala To Wahi Hai. Upar Ki Aayat Me القوى (Quwwat Wala) Aur المتين (Zabardast Quwwat Wala) Ka Zikr Hai,Yah Dono Allaah Ke Asma e Husna Hain.
Aaj Musalmaan Kyun Kamzor Hai? Imaan Laane Ke Bawajood Har Jagah Musalmaan Hi Kyun Mazloom Aur Maqhoor (Oppressed) Hai?
Is Sawaal Ka Jawab Janne Ke Liye Janna Hoga Ke Musalmaano Ki Asal Quwwat Kya Hai? Musalmaan Ki Quwwat Allaah Par Shirk Se Paak Mukammal Imaan Aur Nek Aamaal Hai. Mo'min Ki Quwwat Allaah Ka Sath Hai Aur Allaah Ka Sath Imaan Aur Amal Ke Bagair Mumkin Nahi Hai. Sochne Ka Maqaam Hai Ke Zameen Ka Sab Se Bada Gunaah Allaah Ke Sath Shirk Karna Hai Aur Musalmano Ki Aksariyat Is Gunaah Me Mubtala Hai Fir Kiun Na Musalmaan Pareshaan Ho? Agar Musalmaan Gairullaah Se Istighasa Aur Qabro Ko Sajdah Karna Chhod Kar Aqeedah Aur Imaan Sahih Kar Le Aur Sachchi Taubah Ke Sath Nek Aamaal Ki Taraf Laut Jaaye To Allaah Quwwat Hi Quwwat Ata Farmaayega,Yah Uska Wada Hai, Chunanche Irshaad e Baari Hai:
وَيَا قَوْمِ اسْتَغْفِرُوا رَبَّكُمْ ثُمَّ تُوبُوا إِلَيْهِ يُرْسِلِ السَّمَاءَ عَلَيْكُم مِّدْرَارًا وَيَزِدْكُمْ قُوَّةً إِلَىٰ قُوَّتِكُمْ وَلَا تَتَوَلَّوْا مُجْرِمِينَ
Tarjumah: “Aye Meri Qaum Ke Logo! Tum Apne Palne Wale Se Apne Gunaahon Ki Maafi Talab Karo Aur Uske Huzoor Me Taubah Karo Taaki Woh Barsne Wale Baadal Tum Par Bhej De Aur Tumhari Taqat Par Aur Taqat Badha De Aur Tum Jurm Karte Huwe Rugardaani Na Karo.”
(Surah Hood 52)
Allaah Ne Madad Karna Apne Upar Farz Kar Liya Hai, Mutalba Bas Sahih Imaan Ka Hai, Allaah Ka Farmaan Hai:
وَكَانَ حَقًّا عَلَيْنَا نَصْرُ الْمُؤْمِنِينَ
Tarjumah: “Ham Par Mo'mino Ki Madad Karna Lazim Hai.”
(Surah Ar-Room: 47)
Aye Kaash Musalmaan Shirk Ki Khatarnaaki Ko Samjhen Aur Us Se Taubah Kar Ke Khaalis Imaan Aur Sahih Aqeedah Par Amal Karne Lag Jaayen.
No comments:
Post a Comment