Kya Tashah-hud mein "Assalamu Alaika Ayyuhan Nabiyyu" padha jaayega ya "Assalamu Alan-Nabiyyi"???
✵Sawaal✵
Kya yeh sahih hai ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki maut ke baad agar koi shakhs Tashah-hud main "Assalamu Alaika Ayyuhan Nabiyyu" (اَلسَّلاَمُ عَلَيْكَ أَيُّهَا النَّبِيُّ) kehta hai to is se shirk ka darr hai aur hamein is ke bajaye "Assalamu Alan-Nabiyyi" (السَّلَامُ عَلَى النَّبِيِّ) kahna chahiye?
✯Alhamdulillah✯
Mustaqil Fatwa Committee ke ulama e kiraam se darj zail (following) sawal kiya gaya:
Ibn e Mas'ood Radhiallahu Anhuma bayan karte hain:
Meri hatheli Rasool e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ki dono hatheliyon ke darmiyaan thi to aapne mujhe Tashah-hud is tarah sikhaayi jis tarah Quran ki koi surah sikhaayi jaati hai:
التَّحِيَّاتُ لِلَّهِ وَالصَّلَوَاتُ وَالطَّيِّبَاتُ السَّلامُ عَلَيْكَ أَيُّهَا النَّبِيُّ وَرَحْمَةُ اللَّهِ وَبَرَكَاتُهُ السَّلامُ عَلَيْنَا وَعَلَى عِبَادِ اللَّهِ الصَّالِحِينَ أَشْهَدُ أَنْ لا إِلَهَ إِلا اللَّهُ وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ
Tarjumah: (Meri saari) qauli, badani aur maali Ibaadat sirf Allah ke liye khaas hai. Aye Nabi Aap par Allah Taala ki rehmat, salamati aur barkatien hon aur hum par aur Allah ke (doosre) nek bandon par (bhi) salaamati ho, main gawaahi deta hun ke Allah ke siwa koi (sachcha) Ma'bood nahi hai aur main gawaahi deta hun ke Mohammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) Allah ke bande aur Rasool hain.
Jab Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam faut ho gye to hum yeh kehne lage: "Assalamu Alan-Nabiyyi" (السَّلَامُ عَلَى النَّبِيِّ).
(SahihBukhari: 6265)
Chunanche bahut se log yeh aakhri alfaaz kahte hain, aur doosron ko bhi yahi kehne ka hukm dete hain, kya aisa karna sahih hai?
Mustaqil Committee ke ulama e kiraam ka jawaab tha:
Tashah-hud ka tareeqa jo Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam apni namaz main padha karte they aur apne Sahaba e kiraam ko uska hukm diya tha wo yeh hai jo Sahih Bukhari aur Sahih Muslim mein Abdullah bin Mas'ood Radhiallahu Anhuma ki darz zail Hadees mein maujood hai:
Ibn e Mas'ood Radhiallahu Anhuma bayan karte hain: Meri hatheli Rasool e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ki dono hatheliyon ke darmiyaan thi to aapne mujhe Tashah-hud is tarah sikhaayi jis tarah Quran ki koi surah sikhaayi jaati hai:
التَّحِيَّاتُ لِلَّهِ وَالصَّلَوَاتُ وَالطَّيِّبَاتُ السَّلامُ عَلَيْكَ أَيُّهَا النَّبِيُّ وَرَحْمَةُ اللَّهِ وَبَرَكَاتُهُ السَّلامُ عَلَيْنَا وَعَلَى عِبَادِ اللَّهِ الصَّالِحِينَ أَشْهَدُ أَنْ لا إِلَهَ إِلا اللَّهُ وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ
Tarjumah: (Meri saari) qauli, badani aur maali Ibaadat sirf Allah ke liye khaas hai. Aye Nabi Aap par Allah Taala ki rehmat, salamati aur barkatien hon aur hum par aur Allah ke (doosre) nek bandon par (bhi) salaamati ho, main gawaahi deta hun ke Allah ke siwa koi (sachcha) Ma'bood nahi hai aur main gawaahi deta hun ke Mohammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) Allah ke bande aur Rasool hain.
(Sahih Bukhari: 831, Sahih Muslim: 402)
Yeh sabse sahih tareeqa hai, kiunki Rasool e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne apne Sahaba e kiraam ko yahi sikhaya, aur yeh nahi farmaya ke:
Agar main faut ho jaaon to tum "Assalamu Alan-Nabiyyi" kehna.
Committee ke ulama se yeh bhi sawaal kiya gaya:
Kya Tashah-hud main "Assalamu Alaika Ayyuhan Nabiyyu" (اَلسَّلاَمُ عَلَيْكَ أَيُّهَا النَّبِيُّ) ke alfaaz kahe jaayen, ya ke "Assalamu Alan-Nabiyyi" (السَّلَامُ عَلَى النَّبِيِّ) kiunki Abdullah bin Mas'ood Radhiallahu Anhuma bayan karte hain ki:
Rasool e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ki wafaat se pehle hum "Assalamu Alaika Ayyuhan Nabiyyu" (اَلسَّلاَمُ عَلَيْكَ أَيُّهَا النَّبِيُّ) kaha karte they, aur Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki wafaat ke baad "Assalamu Alan-Nabiyyi" (السَّلَامُ عَلَى النَّبِيِّ) ke alfaaz?
Committee ka jawab tha:
Sahih yahi hai ki namaz ke Tashah-hud main «اَلسَّلاَمُ عَلَيْكَ أَيُّهَا النَّبِيُّ وَرَحْمَةُ اللَّهِ وَبَرَكَاتُهُ » kehna chahiye; kiunki Ahadees se yahi saabit hai.
Lekin jo Abdullah bin Mas'ood Radhiallahu Anhu se marwi hai. Agar yeh un se sahih saabit ho jaye toh phir. Yeh unka apna ijtihad hai, isey sahih sabit-shudah Ahadees se mu'aariz nahi kiya jaayega, aur agar Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki wafaat ke baad iska hukm unki zindagi se mukhtalif hota to Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam isko bayan farma dete.
(Dekhen: Fatawa Al-Lajnah Ad-Daimah Lil-Buhoos Al-Ilmiyyah Wal Ifta: 7/11-13)
Shaikh Ibn e Uthaimeen Rahimahullah ne is masle ki bahut hi azeemush-shaan tauzeeh ki hai, aur in alfaaz main gaib ko pukaarne waale ki nida ke shubha ka dawa karne waale ka radd karte huwe kaha hai:
"Assalamu Alaika" (اَلسَّلاَمُ عَلَيْكَ)
Kya ye khabar hai ya dua?
Yani kya aap ye khabar de rahe hain ki Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam muslim hain, ya ki ye dua kar rahe hain ke Allah Taala un par salamti bheje?
Jawaab: Yeh dua hai, aur aap ye dua kar rahe hain ki Allah Taala un par salamati beheje, chunache ye khabar dua ke ma'ne mein hai.
Sawaal: Phir kya yeh Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ko khitaab hai jis tarah aam log ek doosre ko khitaab karte hain?
Jawaab: Nahi kiunki agar aisa hota to is se namaz hi baatil ho jayegi; kiunki namaz mein kisi bhi aadmi aur shakhs se kalaam karna sahih nahi; aur isliye bhi ke agar waqi'atan aisa hota toh phir Sahaba e Kiraam Radhiallahu Anhum yeh kalimaat buland aawaaz se kahte taaki Rasool e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam sun lete, aur unko salam ka jawab dete, jis tarah un se mulaqaat karte waqt kiya karte they.
Lekin jaisa ki Sheikh ul Islam Ibn e Taimiyah Rahimahullah ne apni kitaab “Iqtizaa As-Siraat Al-Mustaqeem” main kaha hai:
Rasool e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam par salam bhejte waqt aap ka Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ko istehzaar karne ki quwwat is tarah hai goya ki aap unhein mukhatab kar rahe hain.
Isi liye Sahaba e Kiraam Radhiallahu Anhum "Assalamu Alaika" (اَلسَّلاَمُ عَلَيْكَ) kaha karte they aur Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam sun bhi nahi rahe they, aur wo "Assalamu Alaika" (اَلسَّلاَمُ عَلَيْكَ) kehte halanki wo kisi ilaaqe aur Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam kisi doosre ilaaqe mein hote they.
Aur hum "Assalamu Alaika" (اَلسَّلاَمُ عَلَيْكَ) kehte hain, halaanki hum aap ke ilaaqe ke alawah doosre ilaaqe aur un ke daur ke alawah kisi aur daur mein hain.
Aur Sahih Bukhari main jo Abdullah bin Mas'ood Radhiallahu Anhuma se yeh waarid hai ke hum Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki wafaat ke baad «السَّلَامُ عَلَى النَّبِيِّ وَرَحْمَةُ اللَّهِ وَبَرَكَاتُهُ» kaha karte they yeh unka ijtihad hai, jis mein unse zada ilm rakhne waale Umar bin Khattab Radhiallahu Anhu ne unki mukhalifat ki hai jaisa ki Mu'atta Imam Malik main hain ke:
Umar bin khattab Radhiallahu Anhu ne logon ko mimbar e Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam par khitaab kiya aur Tashah-hud main ye alfaaz kahe:
«السَّلَامُ عَلَيْكَ أَيُّهَا النَّبِيُّ وَرَحْمَةُ اللَّهِ وَبَرَكَاتُهُ»
Iski sanad asahh ul isnaad hai, aur phir Umar Radhiallahu Anhu ne Sahaba e Kiraam Radhiallahu Anhum ki maujoodgi main ye alfaaz kahe aur Sahaba Kiraam ne is ka iqrar kiya mukhalafat nahi ki.
Phir Rasool e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne apni ummat ko bhi yahi sikhaya yahan tak ke jab Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne Ibn e Mas'ood Radhiallahu Anhu ko Tashah-hud sikhaayi to unka haath Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ke dono haathon ke darmiyaan tha, taaki woh yeh alfaaz yaad rakhen, aur Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam unhein Tashah-hud is tarah sikhaaya karte the jis tarah Quran e Majeed ki koi surah sikhaayi jaati hai, kiunki Rasool e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ko ilm tha ki anqareeb unhein maut aayegi, is liye Allah Taala ne aapko farmaya tha:
Yaqeenan tu bhi marne waala hai aur yeh bhi marne waale hain.
(Surah Az-Zumar, Surah No: 39 Ayat No: 30)
Aur Rasool e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne yeh nahi farmaya ke tum meri maut ke baad "Assalamu Alaika Ayyuhan Nabiyyu" (اَلسَّلاَمُ عَلَيْكَ أَيُّهَا النَّبِيُّ) kehna, balki unhein Tashah-hud usi tarah sikhaayi jis tarah Quran e Majeed ki surah ki ta'leem unhin alfaaz ke saath di jaati hai, isi liye Ibn e Ma'sood Radhiallahu Anhu ke ijtihaad ki taraf dhiyan nahi diya jaayega, balki "Assalamu Alaika Ayyuhan Nabiyyu" (اَلسَّلاَمُ عَلَيْكَ أَيُّهَا النَّبِيُّ) hi kaha jayega.
(Dekhen: Ash-Sharh ul Mumti’: 3/150-151)
Source: https://islamqa.info/ur/34535