Wednesday, October 09, 2024

Shawwal ke 6 Roze monday aur thursday ko rakhne ka hukm

 Shawwal ke 6 Roze monday aur thursday ko rakhne ka hukm


Sawaal:

Kya yeh sahih hai ki main monday aur thursday ke Roze ka sawab haasil karne ke liye Shawwal ke 6 Roze monday aur thursday ke din Roza rakh lun?


Jawaab:

Ji haan is mein koi harj nahi, In Sha Allah aap ke liye Shawwal ke 6 Rozon aur monday aur thursday ke Rozon ka sawab likha jaayega.

Shaikh Muhammed bin Uthaimeen Rahimahullah kehte hain:

“Jab yeh ittefaaq ho jaaye ki Shawwal ke 6 Roze monday aur thursday ke din rakhe jaayen to In Sha Allah Shawwal ke 6 rozon ki niyyat se dono ajr haasil ho jaayenge, ya’ni Shawwal ke 6 aur monday aur thursday ke Roze ki niyyat se.”

Kiunki Rasoolullah ﷺ ka farmaan hai:

“A’maal ka daar-o-madaar niyyaton par hai, aur har aadmi ke liye wahi hai jis ki us ne niyyat ki ho.” (Sahih Bukhari: 1)

(Dekhen: Fataawa Islamiyyah: 2/154)


Source

No comments:

Post a Comment

Important Massage To All Readers

Galati Insaan Se Hi Hoti Hai

Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wabarakatuhu  Bismillahirrehmanirraheem  Galati Insaan Se Hi Hoti Hai. Or Hum Se Bhi Galati Ka Imkaan ...