Thursday, October 10, 2024

Na umeedi gumraah logon ki adat hai

 Na umeedi gumraah logon ki adat hai


Tehreer: Abu Abdullah


Romanised By: Umar Asari


Na ummeedi jaaiz nahi, kiunki yeh Allah taala ke baare mein do tareeqe se su e zan (bura gumaan) hai:

 Na umeed aadmi samjhta hai ke Allah Taala yeh kaam nahi kar sakta, halaanki woh har cheez par har waqt Qadir hai.


 Na umeed aadmi Allah Taala ki rehmat ko naaqis samjhta hai, halaanki Allah Taala Raheem hai, kisi bande par kisi bhi waqt rahem kar sakta hai, us ki rehmat se na umeed aadmi gumraah hota hai, chunancha farmaan e baari taala hai:

وَمَن يَقْنَطُ مِن رَّحْمَةِ رَبِّهِ إِلَّا الضَّالُّونَ

Tarjumah: “Apne Rabb ki rehmat se sirf gumraah log hi na umeed hote hain.”

(Surah Al-Hijr, Surah No: 15 Ayat No: 56)


Lehaza zaroori hai ke Allah Taala ka darr dil mein rakhne ke saath saath us ki rehmat ki umeed bhi rakhi jaaye.


Na umeedi ke do asbaab hain:

 Yeh ke aadmi apni jaan par zulm aur gunaahon par jasaarat karta rahe, un par jame aur qaaim rehne ka pukhta iraada kar le, phir Allah Taala ki rehmat se umeed khatm kar le, yeh samajhte huwe ke us ne rehmat ke asbaab khatm kar diye hain, aakhirkaar yeh na umeedi us ki aadat ban jaati hai aur shaitan insaan se ziyadah se ziyadah yahi maqsad haasil karna chaahta hai.


 Yeh ke insaan apne kiye huwe jaraaim ki wajah se itna darr apne upar sawaar kar le ke la ilmi mein yeh samajh baithe ke ab Allah Taala use mu’aaf hi nahi karega, agarche woh sachchi tauba hi kar le, yun woh Allah Taala ki rehmat se mayoos ho jaata hai.


Insaan ko chaahiye ke woh gunaahon par jama na rahe, balki un ko chor kar Allah Taala ke huzoor sachchi aur pakki tauba kar le, phir yeh aqeedah rakhe ke tauba ke sabab bade se bade gunaah bhi mu’aaf ho jaate hain, yahi na umeedi ka khaatma hai.

No comments:

Post a Comment

Important Massage To All Readers

Galati Insaan Se Hi Hoti Hai

Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wabarakatuhu  Bismillahirrehmanirraheem  Galati Insaan Se Hi Hoti Hai. Or Hum Se Bhi Galati Ka Imkaan ...