Khaane se pehle, khaane ke dauraan aur khaane ke baad paani peena kaisa hai?
❀Sawaal:❀
Assalamu alaikum warehmarullahi wabarkatahu
Sawal WhatsApp me bahut ye SMS ghum raha hai ki khana khane SE pahle pani pina sifa hai or khana khane ke dauran pina sifa hai or khana khane ke bad pani pina bimary hai
Kaha tak ye bat sahi hai
✿Jawaab:✿
Walaikum Assalam Warahmatullahi Wabarakatuhu
Quran o Hadees mein aisi koi daleel nahi hai ki Khaane se pehle, khaane ke dauraan ya khaane ke baad paani peena shifa hai ya khaane ke baad paani peena bemaari hai.
Lehaaza is mu'aamle mein jo mahir doctors hain unki baat ki taraf rujoo' karen.
Allah Knows Best.
No comments:
Post a Comment