Thursday, October 10, 2024

Nafl Namaz padhne waale ke peeche Farz Namaz padhna

 Sawaal:

Assalamu Alaikum Warahmatullahi Wabarakatuhu 


koi banda agar akela namaz padh raha ho. Farz, Sunnat ya fir Nafl aur pichey se koi mujhe hath se touch kar ke mera Saath namaz suru karde Fardz namaz samajh kaar to wo.banda kya kare?


Iska Jawab Mujhe Islamqa.com me English aur Arabic me Mila hy lekin Mere liye Samhajna Muskil hy. isliye Aap se Request hy ke Fatwa ko Roman Urdu me Transition kar ke Mujhe de👇👇👇


Jawaab:

Pehli baat:

Is mein koi harj nahi ki farz padhne waala nafl padhne waale ki iqtidaa mein namaz ada kare, yeh baat saabit hai ki Mu’aaz Radhiallahu Anhu Nabi e Akram ﷺ ki iqtidaa mein Isha ki namaz ada karte they aur us ke baad apni qaum ke paas jaate aur unhien Isha ki namaz padhaate they. Yeh Isha ki namaz un ke liye nafl hoti thi aur un ki qaum ke liye farz. Chunanche Jabir Radhiallahu Anhu farmate hain:

كَانَ مُعَاذٌ يُصَلِّي مَعَ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، ثُمَّ يَأْتِي قَوْمَهُ فَيُصَلِّي بِهِمْ

“Mu’aaz Radhiallahu Anhu Nabi e Kareem ﷺ ke saath namaz padhte phir wapas aa kar apni qaum ko namaz padhaate they.”

(Sahih Bukhari: 711)


❀ Imam Nawawi Rahimahullah farmate hain:

“Is Hadees mein nafl padhne waale ke peeche farz ada karne waale ki namaz ke sahih hone ke jawaaz ka suboot milta hai. Kiunki Mu’aaz Radhiallahu Anhu Nabi ﷺ ke saath farz ada karte they to un se farz namaz saaqit ho jaati phir woh dobarah apni qaum ko namaz padhaate they jo un ke liye nafl hoti aur un ki qaum ke liye farz. Is tarah ki sarahat Sahih Muslim ke alawah doosri kitaabon mein bhi aayi hai aur yeh Imam Shafa’ee aur doosron ke nazdeek jaaiz hai.”

(Sharah Muslim: 4/181)


Doosri baat:

Is mein (bhi) koi harj nahi ki musalli (namaz padhne waala) apni namaz akele shuru kare phir us ke saath (namaz mein) koi aur aa kar shaamil ho jaaye aur woh imam ban jaaye. Ibn e Abbas Radhiallahu Anhuma farmate hain:

بِتُّ عِنْدَ خَالَتِي فَقَامَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يُصَلِّي مِنَ اللَّيْلِ، فَقُمْتُ أُصَلِّي مَعَهُ، فَقُمْتُ عَنْ يَسَارِهِ فَأَخَذَ بِرَأْسِي فَأَقَامَنِي عَنْ يَمِينِهِ

“Main ne ek baar apni khaala Maimoona Radhiallahu Anha ke ghar raat guzaari. Nabi e Kareem ﷺ raat mein namaz padhne ke liye khade huwe to main bhi Aap (ﷺ) ke saath namaz mein shareek ho gaya. Main Aap ﷺ ke baayen taraf khada ho gaya tha. Phir Aap ﷺ ne mera sar pakad ke daayen taraf kar diya.”

(Sahih Bukhari: 699)


❀ Imam Bukhari Rahimahullah ne is Hadees par yeh baab baandha hai:

إِذَا لَمْ يَنْوِ الإِمَامُ أَنْ يَؤُمَّ ثُمَّ جَاءَ قَوْمٌ فَأَمَّهُمْ

“Namaz shuru karte waqt imamat ki niyat na ho, phir kuch log aa jayen aur woh un ki imamat karne lage (to kya hukm hai)?”


Aur Anas Radhiallahu Anhu se riwayat hai, woh farmate hain:

كَانَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يُصَلِّي فِي رَمَضَانَ، فَجِئْتُ، فَقُمْتُ إِلَى جَنْبِهِ، وَجَاءَ رَجُلٌ آخَرُ، فَقَامَ أَيْضًا حَتَّى كُنَّا رَهْطًا، فَلَمَّا حَسَّ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ أَنَّا خَلْفَهُ؛ جَعَلَ يَتَجَوَّزُ فِي الصَّلَاةِ

“Rasoolullah ﷺ Ramadhan mein namaz padh rahe they to main aa kar Aap (ﷺ) ke pehlu ki janib khada ho gaya, ek aur aadmi aaya woh bhi khada ho gaya, yahan tak ke hamari ek jama’at ban gayi. Jab Nabi e Kareem ﷺ ne mehsoos kiya ki main Aap ke peeche hun to Aap (ﷺ) ne namaz mein takhfeef shuru kar di.......”

(Sahih Muslim: 1104)


Kuch ulama ne is (apni namaz akele shuru karne waale ka imam ban jaane) ke mutalliq kaha hai ki yeh nafl mein jaaiz hai farz mein nahi, lekin sahih baat yeh hai ki yeh farz aur nafl dono mein jaaiz hai.

❀ Shaikh ul Islam Ibn e Taymiyah Rahimahullah farmate hain:

والصحيح جواز ذلك في الفرض والنفل

“Sahih baat yeh hai ki yeh farz aur nafl dono mein jaaiz hai.”

(Majmoo’ ul Fatawa: 22/258)


❀ Aur Shaikh Ibn e Uthaymeen Rahimahullah farmate hain:

“Lekin sahih yeh hai ki yeh farz aur nafl dono mein sahih hai, jahan tak nafl (mein sahih hone) ka talluq hai to is silsile mein daleel maujood hai. Aur farz (mein is liye sahih hai) kiunki jo cheez nafl mein saabit hai woh farz mein bhi saabit hai illa (magar) yeh ki (us ke khilaaf) koi daleel ho.”

(Ash-Sharh ul Mumti’: 2/304)


Teesri baat:

Jab muqtadi kisi aise shakhs ke peeche namaz mein shaamil ho jo nafl namaz shuru kar chuka ho jaisa ki sawaal mein poochi gayi surat (situation) mein hai to imam ko ikhtiyaar hai ki woh chaahe to jehri padhe ya sirri. Albatta agar woh imam ki niyat se namaz ko shuru kare to jehri padhe jaisa ki Hadees e Mu’aaz is par daleel hai.

Wallahu A’lam.

No comments:

Post a Comment

Important Massage To All Readers

Galati Insaan Se Hi Hoti Hai

Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wabarakatuhu  Bismillahirrehmanirraheem  Galati Insaan Se Hi Hoti Hai. Or Hum Se Bhi Galati Ka Imkaan ...