Thursday, October 10, 2024

Hijama Kise kehte hain?

 Hijama Kise kehte hain?


✵Sawaal:✵

assalamoalykum warahmatullahe wabarakatohu

Hazrat hijama k bare me tafseel se bataiye kuch.


✯Jawaab:✯

Walaikum Assalam Wa Rahmatullahi Wabarakatuhu

❀Hijamah kya hai?❀

Hijamah ko urdu mein “seengi” aur “pachna” kaha jaata hai. Jabki english mein ise “cupping” kehte hain.

Yeh qadeem (puraana) tarz ka ilaaj hai jis mein jism ke kisi hisse par cup (pachchna) laga kar khala yani partial vacuum paida kiya jaata hai jis ki wajah se us hisse par maqaami haijaan e khoon (localized congestion) waaqe’ hota hai. Kuch lamha baad cup ko nikala jaata hai aur us maqam par baghair kisi takleef ke fasid khoon ka ikhraj kiya jaata hai.

Hijamah ki wajah se khinchao aur garmi paida hoti hai woh un nizamon ko durust karti hai jis ki wajah se aasani se mareez ko aaraan milta hai aur woh theek hota hai.


❀Hijamah teen tarah ke hote hain:❀

 Tarr Hijamah (Wet Cupping)

 Khushk Hijamah (Dry Cupping)

 Hijamah Massage (Cupping massage)


Ahadees se Hijamah ki ahmiyat o fazeelat saabit hai.

Is mein shifa hai. Jaisa ki Ahadees se saabit hai. Kuch Ahadees dekhen:

Jabir bin Abdullah Muqanna’ bin Sinaan Taba’ee ki iyaadat ke liye tashreef laaye phir un se kaha ke jab tak tum pachna na lagwa loge main yahan se nahi jaaonga, main ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam se suna hai ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya:

إِنَّ فِيهِ شِفَاءً

Tarjumah: Is mein shifa hai.

(Sahih Bukhari: 5697)


Abdullah bin Abbas Radhiallahu Anhuma ne bayan kiya ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya:

الشِّفَاءُ فِي ثَلَاثَةٍ : فِي شَرْطَةِمِحْجَمٍ ، أَوْ شَرْبَةِ عَسَلٍ، أَوْ كَيَّةٍ بِنَارٍ، وَأَنْهَى أُمَّتِي عَنِ الْكَيِّ

Tarjumah: Shifa teen cheezon mein hai pachna lagwaane mein, shahad peene mein aur aag se daaghne mein magar main apni ummat ko aag se daaghne se mana karta hun.

(Sahih Bukhari: 5681)


Hijamah ek behtareen ilaaj hai. Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:

إِنْ كَانَ فِي شَيْءٍ مِمَّا تَدَاوَيْتُمْ بِهِ خَيْرٌ فَالْحِجَامَةُ

Tarjumah: Jin dawaaon se tum ilaaj karte ho agar un mein se kisi mein khair (bhalaayi) hai to woh seengi (pachna) lagwaana hai.

(Abu Dawood: 3857)

والله أعلم بالصواب

No comments:

Post a Comment

Important Massage To All Readers

Galati Insaan Se Hi Hoti Hai

Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wabarakatuhu  Bismillahirrehmanirraheem  Galati Insaan Se Hi Hoti Hai. Or Hum Se Bhi Galati Ka Imkaan ...