Thursday, October 10, 2024

Sab se pehla Heart Attack kis ko aaya?

Sawaal:

Islam mein sab se pahle heart attack hazrat Sa'd bin abi waqqas (Radhiallahu Anhu) ko aaya.

Jawaab:

Janab e Aali!

Aisi koi baat main nahi talash kar saka.

Albatta jo Hadees aap ne naqal ki hai woh Imam Abu Dawood Rahimahullah ne Sa’d Radhiallahu Anhu ke waaste se naqal ki hai:

عَنْ سَعْدٍ قَالَ مَرِضْتُ مَرَضًا أَتَانِي رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَعُودُنِي فَوَضَعَ يَدَهُ بَيْنَ ثَدْيَيَّ حَتَّى وَجَدْتُ بَرْدَهَا عَلَى فُؤَادِي فَقَالَ إِنَّكَ رَجُلٌ مَفْئُودٌ ائْتِ الْحَارِثَ بْنَ كَلَدَةَ أَخَا ثَقِيفٍ فَإِنَّهُ رَجُلٌ يَتَطَبَّبُ فَلْيَأْخُذْ سَبْعَ تَمَرَاتٍ مِنْ عَجْوَةِ الْمَدِينَةِ فَلْيَجَأْهُنَّ بِنَوَاهُنَّ ثُمَّ لِيَلُدَّكَ بِهِنَّ

Tarjumah: Sa'd bin Abi Waqqas Radhiallahu Anhu bayan karte hain ke main bahut sakht beemaar ho gaya to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam meri iyaadat ke liye tashreef laaye . Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne apna dast e mubarak (mubarak haath) meri chaati ke darmiyaan rakha, yahan tak ke main ne us ki thandak apne dil mein mehsoos ki. To Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya: Tum dil ke mareez ho, Banu Thaqeef ke Haaris bin Kaladah ke paas jaao , woh dawa ilaaj karta hai, usey chaahiye ke Madinah ki Ajwah khajooron mein se saat khajoorein le kar unhein guthliyon samet koot le aur phir tumhein khilaa de.

(Abu Dawood: 3875)


Shaikh Albani Rahimahullah ne isey “Zaeef Sunan Abi Daawood” mein Zaeef kaha hai.

Jabki kuch mohaddiseen ne is ki Sanad ko qawi kaha hai. Ibn e Qayyim Rahimahullah ne Zaad ul Ma'ad mein “Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki sunnat dil ke mareez ke ilaaj ka zikr kiya” ke tehat is Hadees ko zikr kiya hai, aur Shaikh Shaoib Arna'ot ne usko qawi kaha hai. Woh (Ibn e Qayyim Rahimahullah) uske baad zikr karte hain “Aur khajooron ka behtareen asar hota hai is bemaari par khaas taur se jab khajoor madinah ki ho khusoosun ajwah khajoor.”


Kisi bhi halat mein, upar jo baat Sa'd Radhiallahu Anhu ke baare mein zikr ki gayi hai, jo apni bemaari ki shikaayat karte hain, hum nahi keh sakte ki yeh shikaayat dil ke daure ki thi ya kisi aur bemaari ki. Aur phir hum yeh bhi nahi jaante ki yeh tajweez jo hadees mein bayan hue hai har us shakhs ke liye hai jo dil ki bemaari ki shikaayat kare, kiunki Hadees ke siyaaq o sabaaq mein aisa kuch bhi nahi hai jo yeh batata ho.

Taham, agar suboot hai ki ajwah khajoorien faidamand hain is tarah ki bemaari ke liye to phir iska istemaal jaayez hoga. Qata e nazar iske ki yeh Hadees sahih hai ya nahi kiunki asal yahi hai ki ilaaj jaayez hai jab tak koi aisa suboot na mil jaaye jo isko najaaiz qaraar deta ho.

Fatwa link

No comments:

Post a Comment

Important Massage To All Readers

Galati Insaan Se Hi Hoti Hai

Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wabarakatuhu  Bismillahirrehmanirraheem  Galati Insaan Se Hi Hoti Hai. Or Hum Se Bhi Galati Ka Imkaan ...