Thursday, October 10, 2024

Kya bina paise ke taash khelna jaiz Hai?

 Kya bina paise ke taash khelna jaiz Hai?


✵Sawaal:✵

AS salamu Alaikum


Ek saheb ka ek sawal Hain

Kya free time mein Bina paiso ke taash khelna haram Hain? Agar ispe haram ka fatwa lagega toh iske kya dalail ho gay.

Kisi bhai ki islah karni Hain

Quran aur Hadith ki roshni mein jawab dey..

Jazak allahu khairan


✯Jawaab:✯

Mustaqil Fatwa committee se darj zail sawaal kiya gaya:

Agar taash khelna Namaz mein rukawat aur susti paida na kare aur is par paise bhi na lagaaye gaye hon to taash khelne ka hukm kya hai?


Committee ka jawaab tha:

Taash khelna jaaiz nahi, chaahe baghair paise ke hi khele jaayen, is liye ke is ki haalat yeh hai ke yeh Namaz aur Allah ke Zikr se mashgool kar deti hai, aur us mein maane’ (rukawat) banti hai, agarche yeh gumaan (khayaal) kiya jaaye ke woh use nahi rokti, phir yeh juwa aur qimaar-bazi ka zariya bhi hai jise nass e Qurani mein haraam kiya gaya hai:

يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا إِنَّمَا الْخَمْرُ وَالْمَيْسِرُ وَالْأَنْصَابُ وَالْأَزْلَامُ رِجْسٌ مِنْ عَمَلِ الشَّيْطَانِ فَاجْتَنِبُوهُ لَعَلَّكُمْ تُفْلِحُونَ

Tarjumah: Aye imaan walo! Baat yahi hai ki sharab aur juwa aur thaan aur faal nikaalne ke paanse ke teer yeh sab gandi baatein, shaitani kaam hain in se bilkul alag raho taaki tum falah-yaab ho.

(Surah Al-Maaidah, Surah No: 5 Ayat No: 90)

{Taken from: Fatawa Islamiyah (Urdu): 4/457}

No comments:

Post a Comment

Important Massage To All Readers

Galati Insaan Se Hi Hoti Hai

Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wabarakatuhu  Bismillahirrehmanirraheem  Galati Insaan Se Hi Hoti Hai. Or Hum Se Bhi Galati Ka Imkaan ...