Thursday, June 02, 2016

Bachchon ki paanch (5) adatein mehboob???

Bachchon ki paanch (5) adatein mehboob??? 


Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah

Logon mein yeh baat phailai jaa rahi hai ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ko bachchon ki paanch adatein mehboob thin .
riwayat ka matan is tarah se hai:
إنِّي‌ أُحِبُّ مِنَ الصِّبْيَانِ خَمْسَةَ خِصَالٍ: الاَوَّلُ أَنَّهُمْ البَاكُونَ، الثَّانِي‌: عَلَي‌ التُّرَابِ يَجْتَمِعُونَ، الثَّالِثُ: يَخْتَصِمُونَ مِنْ غَيْرِ حِقْدٍ، الرَّابِـعُ: لاَ يَدَّخِرُونَ لِغَدٍ، الخَامِسُ: يَعْمُرُونَ ثُمَّ يُخْرِبُونَ.
Riwayat ka Maf-hoom:
Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: Mujhe bachchon ki paanch adatein bohot pasand hain .
(1) Woh roo kar mangtey hain aur apni baat manwa letey hain.
(2) Woh matti se khailtay hain aur ghuroor or takabbur khaak mein mila detey hain.
(3) Jo mil jaye kha letay hain ziyada jama ya zakheera karney ki hawas nahi rakhtay.
(4) Lartay hain jhagartey hain aur phir sulah kar letey hain yani dil mein hasad, bughz aur keena nahi rakhtay.
(5) Matti ke ghar banatay hain. Khail kar gira detey hain yani woh batatay hain ke yeh duniya baqi rehne wali nahi balkay khatm ho janey wali hai.

Yeh baat hadees ki kisi kitaab mein maujood nahi hai yahan tak ke zaeef or mauzo (mangharat) mein bhi nahi. Tab sawal yeh paida hota hai ke phir kahan se logon mein yeh baat mash-hoor ho gayi?
Meiney is ka bohat pata lagaya to maloom howa ke yeh baat Shia ki kitaab mein maujood hai woh log isay Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki taraf mansoob karkay bayan kartey hain jabkay Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se aisi baat saabit nahi hai.
Yeh baat mash-hoor Shia Aalim Syed Nematullah Jazairi jo ke Shia ke darmiyan Syed Jazairi ke name se Maroof hai us ki kitaab “Zahrurrab’e” mein page no 259 pay mazkoor hai. Phir wahan se deegar Shia kutub mein naqal ki gayi. Yahan tak ke social media Twitter, Facebook waghera ki Shia websites pay bhi khoob share ki gayi hai.

Allah Ki Panah.

Romanised By: Umar Asari