Thursday, October 10, 2024

Maa Ka Doodh Bakhshwane ki Haqeeqat

 Maa Ka Doodh Bakhshwane ki Haqeeqat


Tehreer: Sheikh Maqbool Ahmed Salafi Hafizahullah


Quran o Hadees Mein Aisi Koi Baat Nahi Milti Lekin Samaaj Mein Yeh Baat Mash-hoor (Famous) Hai Ke Maa Se Doodh Bakhshwa Lo. Ya Baaz (Kuch) Maayen (Mothers) Bolti Hain Ke Mein Ney Apna Doodh Bakhsh Diya.

Yeh Darasal Tawahhumaat (Superstition) Mein Se Hai. Islam Mein Asal Cheez Hai Allah Taala Ke Huqooq, Uske Baad Bandon Ke Huqooq.

Bande Ko Allah Ke Huqooq Ada Karna Chahiye Aur Isi Tarah Bande Ke Upar Bandon Ke Jo Huqooq Hain Usay Ada Karna Chahiye.

Allah Taala Ne Maa Baap Ke Huqooq Wazeh Kar Diye Hain.


✵Walidain Ke Huqooq Mein✵

 Walidain Key Saath Bhalai Ka Hukm

 Maa Baap Ki Khidmat Karna

 Budhaapey Mein Sahara Banna

 Walidain Ke Saath Narmi or Tawazo, Khaksari or Inkisari Se Pesh Aana

 Walidain Ke Liye Dua Karna

 Walidain Ki Narazgi Se Bachna Aur Un Ka Hukm Maanna


Yeh Sab Maa Baap Key Huqooq Hain, Jo In Huqooq Ko Ada Karega Woh Allah Key Yahan Maa Ka Doodh Bakhshwaney Key Mutalliq Nahi Poocha Jayega.

No comments:

Post a Comment

Important Massage To All Readers

Galati Insaan Se Hi Hoti Hai

Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wabarakatuhu  Bismillahirrehmanirraheem  Galati Insaan Se Hi Hoti Hai. Or Hum Se Bhi Galati Ka Imkaan ...