Wednesday, October 09, 2024

 QURBANI KARNE WALE KE AHEL O AYAL KE LIYE BAAL AUR NAKHUN KATNA JAYEZ HAI


بسم اللہ الرحمٰن الرحیم


Mustaqil Fatwa committee ke fatwe me hai ke:

Jo shakhs qurbani karna chahe uske liye ye hukm hai ke wo zul hijjah ka chand nazar aane ke bad apne baal, nakhun aur apne jism ke kisi bhi hisse se koi bhi chiz na kate.

Umme salamah Radiallahu anha se rivayat hai ki Rasool’Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:

                "Jab tum zul hijjah ka chand dekh lo aur tumme se koi ek qurbani karne ka irada rakhta ho to wo apne baal aur nakhun ke katne se ruk jaaye."

Sahih Muslim, 1977


Umme Salamah Radiallahu anha rivayat karti hain ki Rasool’Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:

               “Jiske pas zabah karne ke liye koi qurbani ho to jab zul hijjah ka chand nazar aajaye to wo qurbani zabah karne tak wo apne baal aur nakhun na kaate.”

Sunan Abu Dawud, 2791

Fataawa al-Lajnah al-Daa’imah (11/397)

__________________________________


Sheikh ibn e Uthaymeen Rahimahullah apni kitab "Ash-sharh ul Mumti" me kahte hain:

Hadees se zahir yahi hota hai ke ye hurmat sirf qurbani karne wale ke sath khaas hai to is bina par ye hukm sirf ghar ke hakim pe laagu hai (yani jo qurbani kar raha hai) lekin ahlo ayal par ye haram nahi hoga kyunki Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne qurbani karne wale ke liye ye hukm bataya hai lehaza iska mafhoom ye hoga ke jiske janib se (yani jinke liye) qurbani ki ja rahi hai uske liye ye hukum sabit nahi hota.


Rasool’Allah Sallallahu Alaihi Wasallam bhi apne ahl o ayal ke janib se qurbani kiya krte the lekin unse ye sabit nahi ke Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ne ghar walon ko bhi ye farmaya ho ke tum apne baal aur nakhun aur jism ke kisi bhi hisse se kuch bhi na kaato, agar unpar ye haram hota to Nabi Sallallahu Alaihi wasallam unhe isse mana karte.

   Ash-Sharh ul Mumti’ (7/530)

No comments:

Post a Comment

Important Massage To All Readers

Galati Insaan Se Hi Hoti Hai

Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wabarakatuhu  Bismillahirrehmanirraheem  Galati Insaan Se Hi Hoti Hai. Or Hum Se Bhi Galati Ka Imkaan ...