Thursday, October 10, 2024

Musafaha ek haath se sunnat hai ya dono haath se??

 Musafaha ek haath se sunnat hai ya dono haath se??


Sawaal:

Assalamu Alaikum warahmatullahi wabarakatuh...


Ek hath se musafa karne ke Jo bhi hadees hai.

Kya wo ek sath post ke shaql me mil jaaygi.

Jazak Allahu khair


Jawaab:

Walaikum Assalam Warehmatullahi Wabarakatuhu


Musaafaha ek haath se karna Sunnat e Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam hai. Iski wazeh daleel:

حَدَّثَنَا عَبْدُ الْوَارِثِ بْنُ سُفْيَانَ قَالَ حَدَّثَنَا قَاسِمُ بْنُ أَصْبَغَ قَالَ حَدَّثَنَا ابْنُ وَضَّاحٍ قَالَ حَدَّثَنَا يَعْقُوبُ بْنُ كَعْبٍ قَالَ حَدَّثَنَا مُبَشِّرُ بْنُ إِسْمَاعِيلَ عَنْ حَسَّانَ بْنِ نُوحٍ عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ بُسْرٍ قَالَ تَرَوْنَ يَدِي هَذِهِ صَافَحْتُ بِهَا رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ

Tarjumah: Hazrat Abdullah Ibn e Busr farmaate hain ke mere is haath ko dekhte ho, main ne is se Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se musaafaha kiya hai.

(At-Tamheed: 12/246) 


Allama Abdurrehman Mubarakpoori Is Hadees par hukm lagaate huwe kehte hain:

رِجَالُهُ كُلُّهُمْ ثِقَاتٌ وَإِسْنَادُهُ مُتَّصِلٌ

Tarjumah: Is hadees ke saare ruwaat (narrators) siqah hain aur is ki sanad muttasil hai.

(Tohfat ul Ahwazi: 7/430) 


Hadees mein ka «ید» lafz hai jo ism e jins hai jo ek aur do haath dono ke liye istemaal hota hai lekin «ید» ke baad «هَذِهِ» ki ziyaadti se wazahat ho jaati hai ke «ید» se yahan ek haath muraad hai. Agar «ید» se do haath muraad hote to «هَذِهِ» waahid ke bajaaye «ھذان» tasniyah ka segha istemaal kiya jaata.

No comments:

Post a Comment

Important Massage To All Readers

Galati Insaan Se Hi Hoti Hai

Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wabarakatuhu  Bismillahirrehmanirraheem  Galati Insaan Se Hi Hoti Hai. Or Hum Se Bhi Galati Ka Imkaan ...