Wednesday, October 09, 2024

Kya mayyat ko dafnane ke baad haath utha kar dua maang sakte hain?

 Kya mayyat ko dafnane ke baad haath utha kar dua maang sakte hain?


✵Sawaal✵

asslamualaikum varah matullahi vabarakatuhu

kya mayyat ko dafnane ke baad kabrestan me haath utha kar dua maang sakte hen iski vazahat farma dijiye hadees se.


✪Jawaab✪

Walaikum Assalam Wa Rahmatullahi Wabarakatuhu

Dafan karne ke baad mayyat ke liye dua karna Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se saabit hai, chunancha Abu Dawood ki riwayat hai:

كَانَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم إِذَا فَرَغَ مِنْ دَفْنِ الْمَيِّتِ وَقَفَ عَلَيْهِ فَقَالَ‏ اسْتَغْفِرُوا لأَخِيكُمْ وَسَلُوا لَهُ التَّثْبِيتَ فَإِنَّهُ الآنَ يُسْأَلُ

Tarjumah: Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam jab mayyat ke dafan se farigh hote to wahan kuch der rukte aur farmaate: Apne bhai ki mughfirat ki dua maango, aur is ke liye saabit qadam rehne ki dua karo, kiunki abhi is se sawal kiya jaayega.

(Abu Dawood: 3221)


Is mauqe par haath uthaane ya na uthaane ke mutalliq koi sareeh daleel maujood nahi hai chunancha jis shakhs ne mayyat ke liye isteghfaar ki gharz se haath uthaaye to is mein koi harj nahi hai, aur jis shakhs ne haath uthaye baghair hi yeh keh diya: “Ya Allah! Is ki bakhshish farma, ya Allah! Is ki bakhshish farma, ya Allah! Is ki bakhshish farma, ya Allah! Ise saabit qadam bana, ya Allah! Ise saabit qadam bana, ya Allah! Ise saabit qadam bana” to yeh bhi jaaiz hai.

والله أعلم بالصواب

No comments:

Post a Comment

Important Massage To All Readers

Galati Insaan Se Hi Hoti Hai

Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wabarakatuhu  Bismillahirrehmanirraheem  Galati Insaan Se Hi Hoti Hai. Or Hum Se Bhi Galati Ka Imkaan ...