Wednesday, October 09, 2024

Kya Dawa Khane Ki Koi Makhsoos Dua Hai???

 Kya Dawa Khane Ki Koi Makhsoos Dua Hai???


Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmed Salafi Hafizahullah


Sawaal: Jaisa ki logon mein dawa khate waqt “ھوالشافی” kehna mash-hoor hai kya yeh dawa khane ki dua hai ya koi aur makhsoos dua hai?


Jawab: Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se dawa khane ki koi makhsoos dua saabit nahi hai. “ھوالشافی” Aam taur se muslim doctors dawa waghera likhte waqt shuru mein likhte parhte hain is wajah se logon mein yeh mash-hoor ho gaya. Asal mein “ھوالشافی” aqeedah hai ke dawa khane wala is Emaan o Yaqeen ke saath dawa khaye ke yeh khud se faidah nahi karegi, shifa to asal mein Allah Taala dene wala hai.

Khana khana ho, paani peena ho, dawa khaani ya peeni ho shuru mein Bismillah kahen jaisa ki Hadees se sabit hai. Umm ul Mu’mineen Aisha Radhiallahu Anha se riwayat hai ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam farmatay hain:

إِذَا أَكَلَ أَحَدُكُمْ فَلْيَذْكُرِ اسْمَ اللَّهِ تَعَالَى فَإِنْ نَسِيَ أَنْ يَذْكُرَ اسْمَ اللَّهِ تَعَالَى فِي أَوَّلِهِ فَلْيَقُلْ بِسْمِ اللَّهِ أَوَّلَهُ وَآخِرَهُ ‏

Tarjumah: Jab tum mein se koi khana khaye to pehle Bismillah kahe. Agar khane ke shuru mein Bismillah kehna bhool jaye to «بسم الله أوله وآخره» (is khane ka aaghaz aur ikhtetaam Allah ke naam ke sath karta hun) kahe.

(Abu Dawood: 3767)

Allama Albani Rahimahullah ne is Hadees ko Sahih kaha hai. 

واللہ اعلم بالصواب

No comments:

Post a Comment

Important Massage To All Readers

Galati Insaan Se Hi Hoti Hai

Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wabarakatuhu  Bismillahirrehmanirraheem  Galati Insaan Se Hi Hoti Hai. Or Hum Se Bhi Galati Ka Imkaan ...