Thursday, October 10, 2024

Daayen haath par tasbeeh padhne ki daleel

 Daayen haath par tasbeeh padhne ki daleel


❀Sawaal:❀

Tasbih seedhe hath per padhni chahiye ulte hath per nahi... iske mutalliq koi daleel??


✿Jawaab:✿

Tasbeeh daayen haath par ginni chahiye. Iski daleel yeh Hadees hai:

عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ عَمْرٍو، عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، قَالَ: خَصْلَتَانِ، أَوْ خَلَّتَانِ لَا يُحَافِظُ عَلَيْهِمَا عَبْدٌ مُسْلِمٌ إِلَّا دَخَلَ الْجَنَّةَ، هُمَا يَسِيرٌ، وَمَنْ يَعْمَلُ بِهِمَا قَلِيلٌ، يُسَبِّحُ فِي دُبُرِ كُلِّ صَلَاةٍ عَشْرًا، وَيَحْمَدُ عَشْرًا، وَيُكَبِّرُ عَشْرًا، فَذَلِكَ خَمْسُونَ وَمِائَةٌ بِاللِّسَانِ، وَأَلْفٌ وَخَمْسُ مِائَةٍ فِي الْمِيزَانِ، وَيُكَبِّرُ أَرْبَعًا وَثَلَاثِينَ إِذَا أَخَذَ مَضْجَعَهُ، وَيَحْمَدُ ثَلَاثًا وَثَلَاثِينَ، وَيُسَبِّحُ ثَلَاثًا وَثَلَاثِينَ، فَذَلِكَ مِائَةٌ بِاللِّسَانِ، وَأَلْفٌ فِي الْمِيزَانِ فَلَقَدْ رَأَيْتُ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَعْقِدُهَا بِيَدِهِ، قَالُوا: يَا رَسُولَ اللَّهِ كَيْفَ هُمَا يَسِيرٌ وَمَنْ يَعْمَلُ بِهِمَا قَلِيلٌ؟ قَالَ: يَأْتِي أَحَدَكُمْ - يَعْنِي الشَّيْطَانَ - فِي مَنَامِهِ فَيُنَوِّمُهُ قَبْلَ أَنْ يَقُولَهُ، وَيَأْتِيهِ فِي صَلَاتِهِ فَيُذَكِّرُهُ حَاجَةً قَبْلَ أَنْ يَقُولَهَا

Tarjumah: Syyedna Abdullaah bin Amr Radhiallahu Anhuma se riwayat hai ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya “Do amal aise hain agar koyi musalmaan bandah un ki paabandi kar le, to jannat mein daakhil hoga aur woh bahut aasaan hain magar un par amal karne waale bahut kam hain. (Ek yeh hai ke) har namaz ke baad das (10) baar «سبحان الله » das (10) baar «الحمد الله» aur das (10) baar «الله اكبر» kahe to zabaan ki adaayegi ke aitbaar se 150 baar hai (majmoo'e taur par paanchon namaazon ke baad) aur tarazoo mein 1500 honge aur jab sone lage to 34 baar «الله اكبر» taintees (33) baar «الحمد الله» aur 33 baar «سبحان الله» kahe. zabaani taur par to yeh 100 baar hai magar meezaan mein yeh tasbeehaat 1000 hongi.” Yaqeenan main ne RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ko dekha, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam inhein apne haath se shumaar karte the. Sahaba ne poocha: Aye Allah ke Rasool! Yeh kaise hai ke yeh amal aasaan hai magar karne waale thode hain? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya “Sote waqt mein kisi ke paas shaitaan aa jaata hai aur is se pehle ke woh yeh tasbeehaat poori kar le, woh use sula deta hai aur (isi tarah) namaz mein shaitaan aa jaata hai aur use koi kaam yaad dila deta hai to woh unhein padhe baghair hi uth jaata hai .”

(Abu Dawood: 5065)

√ Shaikh Albani Rahimahullah ne is Hadees ko Sahih kaha hai. 


Is mein “بِيَدِهِ” mein “ید” waahid (singular) istemaal huwa hai jis se ma’loom huwa ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ek hi haath se tasbeeh ginte the, aur yeh baat maroof o mash-hoor hai ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam har ahem kaam mein daayen haath ko pasand karte the.

حَدَّثَنَا عَبْدَانُ، أَخْبَرَنَا عَبْدُ اللَّهِ، أَخْبَرَنَا شُعْبَةُ، عَنْ أَشْعَثَ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ مَسْرُوقٍ، عَنْ عَائِشَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهَا، قَالَتْ: كَانَ النَّبِيُّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يُحِبُّ التَّيَمُّنَ مَا اسْتَطَاعَ فِي طُهُورِهِ وَتَنَعُّلِهِ وَتَرَجُّلِهِ

وَكَانَ قَالَ: بِوَاسِطٍ قَبْلَ هَذَا فِي شَأْنِهِ كُلِّهِ

Tarjumah: Hazrat Aisha Radhiallahu Anha ne bayan kiya ke Nabi kareem Sallallahu Alaihi Wasallam jahaan tak mumkin hota paaki haasil karne mein, joota pehan-ne aur kangha karne mein daahni taraf se ibtidaa karte.

Ash'as (is hadees ka rawi) jab Waasit shahar mein tha to us ne is Hadees mein yun kaha tha ke har ek kaam mein Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam daahni taraf se ibtidaa karte.

والله أعلم بالصواب

No comments:

Post a Comment

Important Massage To All Readers

Galati Insaan Se Hi Hoti Hai

Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wabarakatuhu  Bismillahirrehmanirraheem  Galati Insaan Se Hi Hoti Hai. Or Hum Se Bhi Galati Ka Imkaan ...