Thursday, October 10, 2024

Baalon ko thoda sa chor kar mundwa dena

 Baalon ko thoda sa chor kar mundwa dena


Ibn e Umar Radhiallahu Anhuma kehte hain, maine Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se suna hai: Aap ne Qaza' se mana farmaaya hai.

(Sahih Bukhari: 5920)


❀Qaza' ki chaar qismein hain❀

 Sar ke baal saare na moondna balki jagah jagah se phate huwe baadlon ke tarah, tukdiyon mein moondna.


 Darmiyaan se sar ke baal moondna aur atraaf mein baal chor dena.


 Atraaf moondna aur darmiyaan se sar ke baal chor dena.


 Aage se baal moondna aur peeche se chor dena.


✿Allama Ibn e Taymiyah Rahimahullah farmaate hain:✿

Adl o insaaf qaayem karne ke liye Allah aur us ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ki kamaal e mohabbat o shafqat hai. Insaani jism mein bhi adl ka khayaal rakha ke sar ka baaz hissa moond kar aur baaz hissa chor kar ke sar ke saath be-insaafi na ki jaaye. Baalon se kuch hissa sar ka nanga kar diya jaaye aur kuch hissa dhaank diya jaaye yeh zulm ki ek qasam hai.

(Tohfat ul Maudood Bi-Ahkaam-il-Maulood: 69)


Ibn e Umar Radhiallahu Anhuma se riwayat hai ki Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne ek bachche ko dekha ke us ke kuch baal munde huwe the aur kuch chor diye gaye the to Aap ne unhein us se mana kiya aur farmaaya: Ya to poora moond do, ya poora chore rakho.

(Abu Dawood: 4195)


Is hukm mein jawaan aur bade mard bhi shaamil hain aur sirf bachchon ki takhsees ki koi daleel nahi hai.

 Shaikh Ibn e Basheer Al-Husainwi

واللہ اعلم بالصواب

No comments:

Post a Comment

Important Massage To All Readers

Galati Insaan Se Hi Hoti Hai

Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wabarakatuhu  Bismillahirrehmanirraheem  Galati Insaan Se Hi Hoti Hai. Or Hum Se Bhi Galati Ka Imkaan ...