Wednesday, October 09, 2024

Allah ke zikr se barkat

 Allah ke zikr se barkat


Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah


Romanised By: Umar Asari


Sahih Bukhari ke hawaale (reference) se ek Hadees bayan ki jaati hai ke Allah ke zikr se barkat aati hai us Hadees ko kuch logon ne jhooti samajh liya to kuch doosre logon ne ajeeb o ghreeb tabsirah (comment) kiya is wajah se aagaah karne ke liye yahan bayan kiya jaata hai.


Woh Hadees urdu mein is tarah bayan ki jaati hai:

((Hazrat Abu Hurairah Radhiallahu Anhu se riwayat hai, Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:

Allah farmata hai! Mere zikr ke liye waqt nikalo, main tumhaare kaam mein barkat ataa karunga, warna dunyawi kaamon ki kasrat tum par is qadar musallat karunga ke tumhein fursat hi na hogi aur sukoon se mahroom rahoge))


Is Hadees ke hawaale mein Sahih Bukhari likha hai.


Yeh jo Hadees hai is mein do ghalatiyan hain:

❶ Manwi (meaning) ghalati.

❷ Hawala (reference) ghalat hai, yeh Hadees Sahih Bukhari mein maujood nahi hai.


Ab Hadees ke alfaaz aur us ka sahih tarjumah dekhen:

عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم قَالَ:‏ إِنَّ اللَّهَ تَعَالَى يَقُولُ يَا ابْنَ آدَمَ تَفَرَّغْ لِعِبَادَتِي أَمْلأْ صَدْرَكَ غِنًى وَأَسُدَّ فَقْرَكَ وَإِلاَّ تَفْعَلْ مَلأْتُ يَدَيْكَ شُغْلاً وَلَمْ أَسُدَّ فَقْرَكَ

Tarjumah: Abu Hurairah Radhiallahu Anhu se riwayat hai ke Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: Allah Taala farmaata hai: Aye Ibn e Adam! Tu meri ibaadat ke liye yaksoo ho jaa, main tera seena istighnaa aur be-niyaazi se bhar dunga, aur teri mohtaji door karunga, aur agar to ne aisa na kiya to main tera dil mashghooliat se bhar dunga aur teri mohtaji door na karunga.

(Reference: Is Hadees ko Imam Ahmad, Imam Haakim, Ibne Majah (4107), Ibne Hibban, Baihaqi aur Tirmizi (2466) ne riwayat hai)


☑ Hukm: Yeh riwayat Sahih hai.


Naseehat: Is Hadees se khaas zikr par istedlaal karna aur makhsoos qism ke azkaar ko kasb e rizq batlana sahih nahi hai. Haan yeh baat apni jagah sahih hai ke har neki se rizq mein barkat aur Allah ki taraf se farakhi (khush haali) aur kushaadgi aati hai aur Allah ka zikr bhi neki hai, magar apni janib se zikr makhsoos kar ke kehna ke is zikr se khush-hali aati hai sahih nahi hai.

No comments:

Post a Comment

Important Massage To All Readers

Galati Insaan Se Hi Hoti Hai

Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wabarakatuhu  Bismillahirrehmanirraheem  Galati Insaan Se Hi Hoti Hai. Or Hum Se Bhi Galati Ka Imkaan ...