Friday, July 15, 2016

Ramadhan ul Mubarak Ke Kuch Ahkaam o Masaail (Part-2)

Ramadhan ul Mubarak Ke Kuch Ahkaam o Masaail (Part-2)



Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah 

Rozay ki niyat
Tamam a'amaal ka daar o madar niyat par hai lehaza rozay ki qubooliyat ke liye achchi niyyat ka hona zaroori hai.
Allah ka farmaan hai :
قُلْ أَتُعَلِّمُونَ اللَّهَ بِدِينِكُمْ وَاللَّهُ يَعْلَمُ مَا فِي السَّمَاوَاتِ وَمَا فِي الْأَرْضِ ۚ وَاللَّهُ بِكُلِّ شَيْءٍ عَلِيمٌ۞
Tarjumah: Keh dijye! ki kya tum Allah ko apni deendaari se aagaah kar rahey ho, Allah har us cheez se jo aasmaano mein or zameen mein hai bakhoobi aagaah hai. Or Allah har cheez ka jaanney wala hai.
Surah al Hujuraat   Surah No: 49, Ayat No: 16

Goya naam leker apney amlon ko bataney ki zaroorat nahi.
Aur Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka farmaan hai:
حَدَّثَنَا الْحُمَيْدِيُّ عَبْدُ اللَّهِ بْنُ الزُّبَيْرِ، قَالَ حَدَّثَنَا سُفْيَانُ، قَالَ حَدَّثَنَا يَحْيَى بْنُ سَعِيدٍ الأَنْصَارِيُّ، قَالَ أَخْبَرَنِي مُحَمَّدُ بْنُ إِبْرَاهِيمَ التَّيْمِيُّ، أَنَّهُ سَمِعَ عَلْقَمَةَ بْنَ وَقَّاصٍ اللَّيْثِيَّ، يَقُولُ سَمِعْتُ عُمَرَ بْنَ الْخَطَّابِ ـ رضى الله عنه ـ عَلَى الْمِنْبَرِ قَالَ سَمِعْتُ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم يَقُولُ ‏ "‏ إِنَّمَا الأَعْمَالُ بِالنِّيَّاتِ، وَإِنَّمَا لِكُلِّ امْرِئٍ مَا نَوَى، فَمَنْ كَانَتْ هِجْرَتُهُ إِلَى دُنْيَا يُصِيبُهَا أَوْ إِلَى امْرَأَةٍ يَنْكِحُهَا فَهِجْرَتُهُ إِلَى مَا هَاجَرَ إِلَيْهِ
Tarjumah: Alqama Bin Waqqaas Al-Laithi bayan kartey hain ki meiney Masjid e Nabvi Sallallahu Alaihi Wasallam mein Mimbar e Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam par Hazrat Umar Bin Khattaab Radiallahu Anhu ki zabaan se suna , wo farma rahey they ke mainey RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam se suna Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Farma rahe they ki tamaam a’amaal ka daromadaar niyat par hai aur har amal ka nateeja har insaan ko uski niyat ke mutaabiq hi milega, pas jiski hijrat (tark e watan) doulat e dunya (duniya ki daulat) hasil karney ke liye ho ya kisi aurat se shaadi ki gharz ho, pas uski hijrat un hi cheezon ke liye hogi jinkey hasil karney ki niyat se usney hijrat ki hai.
Sahih Bukhari: 1

¤ Niyat ka talluq dil se hai lehaza alfaaz ke zariya zabaan se bol kar niyat karna bidat hai. Aur Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka farmaan hai:
وَكُلُّ بِدْعَةٍ ضَلَالَةٌ وَكُلُّ ضَلَالَةٍ فِي النَّارِ
Tarjumah: Har bidat gumraahi hai aur har gumraahi aag mein le jaayegi.
Sunan Nasai: 1578
! Allama Albani Rahimahullah ne is Hadees ko sahih kaha hai

¤ A’amaal ki qubooliyat ke liye zabani alfaaz ki nahi balkay sachchi niyat (ikhlaas) aur Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki sunnat ki pairwi ki zaroorat hai. Jis ka zikr Allah ke is farmaan mein hai:
فَمَنْ كَانَ يَرْجُو لِقَاءَ رَبِّهِ فَلْيَعْمَلْ عَمَلًا صَالِحًا وَلَا يُشْرِكْ بِعِبَادَةِ رَبِّهِ أَحَدًا۞
Tarjumah: To jisay bhi apne parwardigar se milnay ki arzoo ho usay chahiye ke naik a’amaal karey aur apne parwardigar ki ibadat mein kisi ko bhi shareek na karey.
Surah al Kahaf   Surah No: 18, Ayat No: 110

¤ Pooray Ramadhan ki ikaththay (aik saath) niyat karna durust nahi hai balkay har rozay ki alag alag niyat karey. Niyat ka waqt Maghrib ke baad se Fajr tak hai. Is douran kisi bhi waqt rozay ki niyat karley.
Hadees e Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam hai:
عَنْ حَفْصَةَ، أَنَّ النَّبِيَّ صلى الله عليه وسلم قَالَ:‏ مَنْ لَمْ يُبَيِّتِ الصِّيَامَ مِنَ اللَّيْلِ فَلاَ صِيَامَ لَهُ
Tarjumah: Hafsa Radhiallahu Anha se riwayat hai ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: Jo shakhs raat ke waqt rozay ki niyat na karey uska roza nahi.
Sunan Nasai: 2334
! Allama Albani Rahimahullah ne is Hadees ko sahih kaha hai.

عَنْ حَفْصَةَ، زَوْجِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم قَالَ : مَنْ لَمْ يُجْمِعِ الصِّيَامَ قَبْلَ الْفَجْرِ فَلاَ صِيَامَ لَهُ
Tarjumah: Ummul Momineen Hafsa Radhiallahu Anha se riwayat hai ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: Jis ne Fajr hone se pehlay rozay ki niyat nahi ki us ka roza nahi hoga.
Sunan Abi Daud: 2454
! Allama Albani Rahimahullah ne is Hadees ko sahih kaha hai.

In dono Ahadees se jahan is baat ka ilm hota hai ke har rozay ki niyat alag alag honi chahiye wahein yeh baat bhi maloom hoti hai ke rozay ki niyat ka waqt raat se leker Fajr tak hai.

¤ Logon mein rozay ki niyat ke alfaaz maroof (famous) hain woh alfaaz kuch tarah se hain: 
(1) نویت أن أصوم غدا (mein kal ka roza rakhnay ki niyat karta hun)
(2) بِصَوْمٍ غَدٍ نَّوَیْتُ (kal ke rozay ki niyat karta hun)
(3)  وَبِصَوْمِ غَدٍ نَّوَیْتَ مِنْ شَهْرِ رَمَضَانَ (aur mein Ramadaan mahinay ke kal ke rozay ki niyat karta hun)
Niyat ke yeh mukhtalif alfaaz kisi Hadees se saabit nahi balkay is talluq se koi zaeef ya mauzo riwayat bhi nahi milti. Niyat ke alfaaz khud hi batlatey hain ke hum khudsaakhta (khud se banaye hue) hain. In alfaaz mein lafz “ghad (غد)” (jo ke kal ke meaning mein hai) kaisay sahih ho sakta hai jabkay roza aaj ka hota hai.

‼Tambeeh: Kuch log ummat ko niyat ke naam par aisay a’amaal ka dars detey hain jo na sirf mashaqqat ki wajah bantey hain balkay a’amaal ke barbaad hone ka bhi sabab hain. Mein ne suna hai ke kitney log is liye namaz nahi parhtey ke unhein namaz ki khudsaakhta (khud se banayi hue, banawti) niyat nahi aati.

Romanised By: Umar Asari

Hamara Facebook Page Like Karen:
Click Here

No comments:

Post a Comment