Sunday, July 17, 2016

Ramadhan ul Mubarak Ke Kuch Ahkaam o Masaail (Part-8)

Ramadhan ul Mubarak Ke Kuch Ahkaam o Masaail (Part-8)


Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah 

Namaz e Witr

Witr ki fazeelat
Ibadat qurb e ilaahi ka zariya hai aur witr ibadaton mein se qurb e ilaahi ka azeem zariya hai. Yeh aik mustaqil namaz hai jo raat mein Isha aur Fajr ke darmiyan padhi jaati hai. Is ki fazeelat mein kai ahadees milti hain:
عَنْ جَابِرٍ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم: مَنْ خَافَ أَنْ لاَ يَقُومَ مِنْ آخِرِ اللَّيْلِ فَلْيُوتِرْ أَوَّلَهُ وَمَنْ طَمِعَ أَنْ يَقُومَ آخِرَهُ فَلْيُوتِرْ آخِرَ اللَّيْلِ فَإِنَّ صَلاَةَ آخِرِ اللَّيْلِ مَشْهُودَةٌ وَذَلِكَ أَفْضَلُ
Tarjumah: Jabir Radhiallahu Anhu se riwayat hai ki Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya : Jisey darr ho ki wo raat ke aakhiri hissey mein nahi uth sakeyga to woh raat ke shuru mein witr padh ley. Aur jisey ummed ho ki wo raat ke aakhir mein uth jaayega, woh raat ke aakhir mein witr padhey kiyunkay raat ke aakhiri hissey ki namaz ka mushahda kiya jaata hai aur yeh afzal hai.
Sahih Muslim: 755

Doosri Hadees mein Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:
وَإِنَّ اللَّهَ وِتْرٌ يُحِبُّ الْوِتْرَ
Tarjumah: Aur Allah witr (taaq) hai aur witr ko pasand karta hai.
Sahih Muslim: 2677

Witr ki namaz ka hukm
Yeh namaz hanafiyah ke nazdeek wajib hai jabkay sahih baat yeh hai ke yeh sunnat e mo'akkadah hai. Daleel:
عَنْ عَلِيٍّ، قَالَ الْوِتْرُ لَيْسَ بِحَتْمٍ كَهَيْئَةِ الصَّلاَةِ الْمَكْتُوبَةِ وَلَكِنْ سُنَّةٌ سَنَّهَا رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم
Tarjumah: Hazrat Ali Radhiallahu Anhu se marwi hai ki Witr farz namaz ki tarah hatmi (wajib) nahi hai balkay yeh to sunnat hai jisay RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne jaari farmaya tha.
Tirmidhi: 454, Sahih

Witr ki namaz ka waqt
Is ka waqt Isha ki namaz ke baad se leker Fajr ki namaz tak hai. Daleel:
إنَّ اللَّهَ زَادَكُمْ صَلَاةً وَهِيَ الْوِتْرُ فَصَلُّوهَا بَيْنَ صَلَاةِ الْعِشَاءِ إلَى صَلَاةِ الْفَجْر
Tarjumah: Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: Beshak Allah Taala ne tumharey upar aik namaz ziyada ki hai jis ka naam witr hai. Is witr ko Isha aur Fajr ki namaz ke darmiyan padho.
Silsila as Saheehah (Albani): 108

Witr ka Afzal waqt
Is namaz ko takheer se ada karna ziyada afzal hai jis ko jaagney pay aitmaad ho:
عَنْ جَابِرٍ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم: مَنْ خَافَ أَنْ لاَ يَقُومَ مِنْ آخِرِ اللَّيْلِ فَلْيُوتِرْ أَوَّلَهُ وَمَنْ طَمِعَ أَنْ يَقُومَ آخِرَهُ فَلْيُوتِرْ آخِرَ اللَّيْلِ فَإِنَّ صَلاَةَ آخِرِ اللَّيْلِ مَشْهُودَةٌ وَذَلِكَ أَفْضَلُ
Tarjumah: Jabir Radhiallahu Anhu se riwayat hai ki Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya : Jisey darr ho ki wo raat ke aakhiri hissey mein nahi uth sakayga to woh raat ke shuru mein witr padh le. Aur jisey ummed ho ki wo raat ke aakhir mein uth jaayega, woh raat ke aakhir mein witr padhey kiyunkay raat ke aakhiri hissey ki namaz ka mushahda kiya jaata hai aur yeh afzal hai.
Sahih Muslim: 755

Witr ki rak'aat
Witr ki namaz kam se kam aik rakat hai aur Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se giyarah rak’aat tak padhna saabit hai. Jo log aik rakat witr ka inkaar kartey hain woh sunnat ka inkaar kartey hain.
Aik rakat witr padhnay ke bohot se dalail hain un mein se kuch dekhen:
عَنِ ابْنِ عُمَرَ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم: الْوِتْرُ رَكْعَةٌ مِنْ آخِرِ اللَّيْلِ ‏
Tarjumah: Ibn e Umar Radhiallahu Anhuma se riwayat hai ki Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: Witr aik rakat hai raat ke aakhri hissey mein se.
Sahih Muslim: 752

Aik doosri Hadees hai:
عَنْ أَبِي أَيُّوبَ، أَنَّ النَّبِيَّ صلى الله عليه وسلم قَالَ: الْوِتْرُ حَقٌّ فَمَنْ شَاءَ أَوْتَرَ بِسَبْعٍ وَمَنْ شَاءَ أَوْتَرَ بِخَمْسٍ وَمَنْ شَاءَ أَوْتَرَ بِثَلاَثٍ وَمَنْ شَاءَ أَوْتَرَ بِوَاحِدَةٍ
Tarjumah: Abu Ayyub Radhiallahu Anhu se riwayat hai ki RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: Witr haq hai, jo chaahey saat (7) padh ley, Jo chaahey paanch (5) padh ley, jo chahey teen (3) padh ley, Jo chahey aik (1) padh ley.
Nasai: 1710

Kai Sahaba e Kiraam se bhi aik rakat padhnay ka suboot milta hai, un mein Abu Moosa Al-Ash’ari Radhiallahu Anhu, Abdullah bin Umar Radhiallahu Anhuma, Muawiya Radhiallahu Anhu, Sa’ad Ibn e Abi Waqqas Radhiallahu Anhu aur Uthman Radhiallahu Anhu hain.

Aik Hadees mein hai:
عَنْ عَائِشَةَ، زَوْجِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم قَالَتْ كَانَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم يُصَلِّي فِيمَا بَيْنَ أَنْ يَفْرُغَ مِنْ صَلاَةِ الْعِشَاءِ - وَهِيَ الَّتِي يَدْعُو النَّاسُ الْعَتَمَةَ - إِلَى الْفَجْرِ إِحْدَى عَشْرَةَ رَكْعَةً يُسَلِّمُ بَيْنَ كُلِّ رَكْعَتَيْنِ وَيُوتِرُ بِوَاحِدَةٍ
Tarjumah: Hazrat Aisha Radhiallahu Anha se riwayat hai wo kehti hain ki RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Isha ki namaz se (jisey log atamah kehtey hain) farigh honay ke baad se subah tak giyarah (11) rak’aat padhtey they, Aap har do rakat par salam phertey they aur witr aik padhtey they.
Sahih Muslim: 736

Raat ki namaz do do rakat hai agar kisi ko taaqat ho to jitna chahay do do karkay padh sakta hai, Aakhir mein aik rakat witr padh ley.
صَلاَةُ اللَّيْلِ مَثْنَى مَثْنَى، فَإِذَا خَشِيَ أَحَدُكُمُ الصُّبْحَ صَلَّى رَكْعَةً وَاحِدَةً، تُوتِرُ لَهُ مَا قَدْ صَلَّى
Tarjumah: Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka farman hai: Raat ki namaz do do rakat hai, fir jab koi subah ho janey se darey to aik rakat padh ley, wo uski saari namaz ko taaq bana degi.
Sahih Bukhari: 990 and Sahih Muslim: 749

Teen (3) rakat witr padhney ka tareeqa
Is ke do (2) tareeqey hain:
Pehla tareeqa: Teen (3) rakat aik tashahhud se padhay. Daleel:
عَنْ أَبِي أَيُّوبَ، أَنَّ النَّبِيَّ صلى الله عليه وسلم قَالَ: الْوِتْرُ حَقٌّ فَمَنْ شَاءَ أَوْتَرَ بِسَبْعٍ وَمَنْ شَاءَ أَوْتَرَ بِخَمْسٍ وَمَنْ شَاءَ أَوْتَرَ بِثَلاَثٍ وَمَنْ شَاءَ أَوْتَرَ بِوَاحِدَةٍ
Tarjumah: Abu Ayyub Radhiallahu Anhu se riwayat hai ki RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: Witr haq hai, jo chaahey saat (7) padh ley, jo chaahey paanch (5) padh ley, jo chahey teen (3) vitr padh ley, jo chahey aik (1) padh ley.
Nasai: 1710

Musalsal (continously) teen (3) rakat ada karey yani do rakat par tashahhud ke liye na baithey. Daleel:
لَا تُوتِرُوا بِثَلَاثٍ، وَلَا تُشَبِّهُوا بِصَلَاةِ الْمَغْرِبِ
Tarjumah: Teen (3) rakat witr na padho aur witr ko (maghrib ki) teen (3) rakat se mushabihat na karo.
Awnul Ma’bood: 4/176
Is Hadees ko sahib e Awn ul Ma’bood (Azeemabadi Rahimahullah) ne Shaikhen ki shart par batlaya hai.
Maghrib ki mushabihat se do tareeqon se bacha ja sakta hai, Aik yeh ke teen rakat ikaththi (aik saath) padhi jayen, beech mein tashahhud na kiya jaye. Doosra tareeqa yeh hai ki Do rakat alag padh kar salam phair diya jaye, phir aik rakat alag padhi jaye. Is ki Daleel neechay zikr ki jaa rahi hai.
Doosra tareeqa:
Do rakat aik salam se padh kar phir aik salam se aik rakat padhi jaaye. Daleel:
كان يُوتِرُ بركعةٍ، وكان يتكلَّمُ بين الرَّكعتَيْن والرَّكعةِ
Tarjumah: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam aik rakat witr padhtey (aakhri) do rakaaton aur aik rakat ke darmiyan (salam phair kar) baat cheet bhi kartey.
Silsila as Saheehah (Albani): 2962

Witr ki qirat
Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam witr ki pehli rakat mein “سَبِّحِ اسْمَ رَبِّكَ الأَعْلَى” doosri rakat mein “قُلْ يَا أَيُّهَا الْكَافِرُونَ” teesri rakat mein “قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ” padhtey they. Daleel:عَنْ أُبَىِّ بْنِ كَعْبٍ، قَالَ كَانَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم يَقْرَأُ فِي الْوَتْرِ بِـ ‏{‏ سَبِّحِ اسْمَ رَبِّكَ الأَعْلَى ‏}‏ وَفِي الرَّكْعَةِ الثَّانِيَةِ بِـ ‏{‏ قُلْ يَا أَيُّهَا الْكَافِرُونَ ‏}‏ وَفِي الثَّالِثَةِ بِـ ‏{‏ قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ ‏}‏ وَلاَ يُسَلِّمُ إِلاَّ فِي آخِرِهِنَّ وَيَقُولُ يَعْنِي بَعْدَ التَّسْلِيمِ ‏"‏ سُبْحَانَ الْمَلِكِ الْقُدُّوسِ ‏"‏ ‏.‏ ثَلاَثًا ‏.‏
Tarjumah: Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam witr (ki pehli rakat) mein “سَبِّحِ اسْمَ رَبِّكَ الأَعْلَى” doosri rakat mein “قُلْ يَا أَيُّهَا الْكَافِرُونَ” aur teesri mein “قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ” padhtey they aur sab se akheer mein salam phairtey they. Aur salam ke baad teen baar “سُبْحَانَ الْمَلِكِ الْقُدُّوسِ” kehtey.
Nasai: 1701
! Allama Albani Rahimahullah ne isko sahih kaha hai. 

Dua e Qunoot ka hukm
Qunoot e witr wajib nahi, mashroo’ hai. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki Qunoot e witr ke mutalliq Hadees mein hai:
عَنْ أُبَىِّ بْنِ كَعْبٍ، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ ـ صلى الله عليه وسلم ـ كَانَ يُوتِرُ فَيَقْنُتُ قَبْلَ الرُّكُوعِ ‏
Tarjumah: Ubai bin Ka’ab Radhiallahu Anhu se riwayat hai ki RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam witr padhtey they to ruku se pehlay Qunoot kartey they.
Ibne Majah: 1182, Sahih

Dua e Qunoot ke seeghay (means alfaaz):
اللَّهُمَّ اهْدِنِي فِيمَنْ هَدَيْتَ وَعَافِنِي فِيمَنْ عَافَيْتَ وَتَوَلَّنِي فِيمَنْ تَوَلَّيْتَ وَبَارِكْ لِي فِيمَا أَعْطَيْتَ وَقِنِي شَرَّ مَا قَضَيْتَ فَإِنَّكَ تَقْضِي وَلاَ يُقْضَى عَلَيْكَ وَإِنَّهُ لاَ يَذِلُّ مَنْ وَالَيْتَ تَبَارَكْتَ رَبَّنَا وَتَعَالَيْتَ
Tirmidhi: 464, Sahih

◾Dua e Qunoot jama ke seeghey (means plural ke alfaaz) ke saath bhi hadees mein aaya hai.

◾Dua e Qunoot mein ziyadti karna bhi jaaiz hai. Allama Albani Rahimahullah likhtey hain:
ولا بأس من الزيادة عليه بلعن الكفرة ومن الصلاة على النبي صلى الله عليه وسلم، والدعاء للمسلمين.
Tarjumah: Dua mein ziyadti karney mein koi harj nahi hai kafiroon pay laanat, Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam par darood aur musalmanoon ke liye dua ki gharz se.
Qiyaam e Ramadhan (Albani): 31

¤ Qunoot e witr ruku se pehlay aur baad mein dono tarah jaayez hai.

¤ Dua e Qunoot mein haath uthaya ja sakta hai jaisay aam duaon mein uthaya jata hai. Kuch logon ne kaha ke Ahadees mein haath uthaney ka zikr nahi is liye haath uthana khilaaf e sunnat hai. Yeh baat sahih nahi hai. Kai Sahaba aur Tabi’een se witr ki dua mein haath uthana saabit hai jin mein Abdullah bin Mas’ood Radhiallahu Anhuma, Umar Radhiallahu Anhu, Abu Hurairah Radhiallahu Anhu, Abu Qilabah aur Imam Mak-hool wagera hain.

¤ Abdul Rehman Mubarakpoori Rahimahullah likhtey hain ke zahiri taur par dua ki tarah is mein bhi haath uthaney ka suboot milta hai.
Tohfatul Ahwazi: 1/343

¤ Witr ki Namaz akeley aur bajmaat aur safar o hazar dono mein padhi ja sakti hai jaisa ki sunnat se saabit hai.

Aik raat mein do witr
Aik raat mein aik martaba hi vitar padhna chahiye kiyunkay Nabi kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:
‏ لاَ وِتْرَانِ فِي لَيْلَةٍ ‏‏
Tarjumah: Aik raat mein do baar witr nahi hai.
Abu Daud: 1439, Sahih (Al-Albani)

Agar koi shakhs aik martaba witr padh kar so jaaye aur dobara qiyam karna chahey to kar sakta hai magar baad mein witr nahi padheyga jaisa ki mazkoorah (upar zikr ki gai) hadees se wazeh hai.

Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:
اجْعَلُوا آخِرَ صَلاَتِكُمْ بِاللَّيْلِ وِتْرًا
Tarjumah: Raat ki apni aakhri namaz witr ko banaao.
Sahih Bukhari: 998 and Sahih Muslim: 751
Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka yeh farmaan wujoob ke liye nahi hai.

Witr ki qaza
Agar kabhi neend ki wajah se witr ki namaz na padh saken to jab baidar ho Witr padh len. Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka farmaan hai:
مَنْ نَامَ عَنْ وِتْرِهِ أَوْ نَسِيَهُ فَلْيُصَلِّهِ إِذَا ذَكَرَهُ
Tarjumah: Jo witr ki namaz padhey bagair so jaye ya usey padhna bhool jaye to jab yaad aaye usay padh ley.
Abu Daud: 1431

Witr ki namaz chorna
Witr aur Fajr ki do sunnat bohot ahem hain jinhein Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne safar o hazar mein hamesha padhnay ka ehtimaam kiya. Is liye hamein bhi hamesha is ka ehtimaam karna chahiye. Kabhi kabhar witr chootnay ka masla nahi hai kiyunkay yeh sunnat e mu’akkadah hai magar barabar chorney wala bohat se ulama ke nazdeek na qabil e shahadat hai.
Sheikh ul Islam Ibn e Taimiyah Rahimahullah likhtey hain:
الوتر سنة مؤكدة باتفاق المسلمين، ومن أصر على تركه فإنه ترد شهادته.
Tarjumah: Witr tamam musalmanoon ke nazdeek muttafiqa taur par sunnat e mu’akkadah hai aur jo lagataar (continuously) isay chorta hai us ki gawahi qubool nahi ki jayegi.
Al-Fatawa al-Kubra

Romanised By: Umar Asari

Hamara Facebook Page Like Karen:
Click Here

No comments:

Post a Comment