Saturday, July 16, 2016

Ramadhan ul Mubarak Ke Kuch Ahkaam o Masaail (Part-4)

Ramadhan ul Mubarak Ke Kuch Ahkaam o Masaail (Part-4)


Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah 

Iftaar
Iftaar karna Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki sunnat hai:
عَنْ سَهْلِ بْنِ سَعْدٍ، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم قَالَ: لاَ يَزَالُ النَّاسُ بِخَيْرٍ مَا عَجَّلُوا الْفِطْرَ
Tarjumah: Hazrat Sahl bin Saad Radhiallahu Anhu se riwayat hai ke Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshad farmaya: Meri ummat ke logon mein us waqt tak khair baaqi raheyga jab tak woh iftaar mein jaldi kartey rahengey.
Sahih Bukhari: 1957

¤ Iftaar mein jaldi karna chahiye yani Sooraj doobtey hi fauran iftaar karna chahiye. Upar wali hadees is baat ki daleel hai.

¤ Logon mein mashhoor iftaar ki dua “اللَّهُمَّ لَكَ صُمْتُ وَعَلَى رِزْقِكَ أَفْطَرْتُ” Mursal honay ki wajah se zaeef hai. Sheikh Albani Rahimahullah ne Abu Daud (2358) ki is Hadees ko Zaeef kaha hai.
Dekhen {Zaeef ul Jami: 4349 or Zaeef Abu Daud (Albani): 2358}

¤ Iftaar kartey waqt Bismillah kahen aur iftaar ke baad yeh dua parhen:
ذَهَبَ الظَّمَأُ وَابْتَلَّتِ الْعُرُوقُ وَثَبَتَ الأَجْرُ إِنْ شَاءَ اللَّهُ
Tarjumah: Piyaas khatm ho gai, ragein tar ho gayen, aur agar Allah ne chaha to to sawaab (ajr) mil gya.
Sunan Abi Daud: 2357
! Allama Albani Rahimahullah ne is Hadees ko sahih kaha hai

¤ Iftaar karana barey ajr (sawaab) ka kaam hai. Hadees e Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam hai:
عَنْ زَيْدِ بْنِ خَالِدٍ الْجُهَنِيِّ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏ "‏ مَنْ فَطَّرَ صَائِمًا كَانَ لَهُ مِثْلُ أَجْرِهِ غَيْرَ أَنَّهُ لاَ يَنْقُصُ مِنْ أَجْرِ الصَّائِمِ شَيْئًا
Tarjumah: Zaid bin Khalid Al-Juhani Radhiallahu Anhu se riwayat hai ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmay: Jis shakhs ne kisi rozaydaar ko iftaar karaya to us shakhs ko bhi utna hi sawaab mileyga jitna sawab rozaydaar ke liye hoga, or rozaydaar ke apney sawaab main se kuch bhi kami nahi ki jayegi.
Tirmidhi: 807, Sahih

¤ Jab koi kisi dosray ke yahan iftaar karey to yeh dua parhey:
أَفْطَرَ عِنْدَكُمُ الصَّائِمُونَ وَأَكَلَ طَعَامَكُمُ الأَبْرَارُ وَصَلَّتْ عَلَيْكُمُ الْمَلاَئِكَةُ
Tarjumah: Tumahray paas rozaydaaron ne iftaari ki, naik logon ne tumhara khana khaya aur tum par firshton ne rehmat bheji.
Sunan Abi Daud: 3854, Sahih

¤ Galti se waqt se pehlay iftaar karney walon ko chahiye ke jaisay hi galti ka ilm ho fauran khana chor den, is par koi gunah aur koi kaffara nahi hai. jaisa ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka farmaan hai:
مَنْ أَكَلَ نَاسِيًا وَهْوَ صَائِمٌ فَلْيُتِمَّ صَوْمَهُ، فَإِنَّمَا أَطْعَمَهُ اللَّهُ وَسَقَاهُ
Tarjumah: Jis ne roza rakha ho or bhool kar khaa liya ho to usey apna roza poora kar lena chahiye kiyunki usay Allah ne khilaya pilaya hai.
Sahih Bukhari: 6669
‼Lekin jaan boojh kar aisa karney walon ke liye sakht waeed hai.

¤ Ghair Muslim agar halal kamaai se iftaar karaye to us ke khaney mein koi harj nahi hai agar deeni Maslehat ho lekin agar Islam ke liye bura ho to bachna behtar hai, isi tarah jo log iftaar ko siyasat se jodtey hain aur iftaar party kartey hain us se bhi parhaiz behtar hai.

¤ Airplane mein safar karney walon ko bhi us waqt tak iftaar nahi karna hai jab tak sooraj nazar aaye. Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka farmaan hai:
إِذَا أَقْبَلَ اللَّيْلُ مِنْ هَا هُنَا، وَأَدْبَرَ النَّهَارُ مِنْ هَا هُنَا، وَغَرَبَتِ الشَّمْسُ، فَقَدْ أَفْطَرَ الصَّائِمُ
Tarjumah: Jab raat us taraf (mashriq) se aaye or din idhar maghrib mein chala jaaye ki sooraj doob jaaye to roza ke iftaar ka waqt aa gya.
Sahih Bukhari: 1954

¤ Musalmanoon ke baaz tabqaat mein iftaar ke liye paanch (5) se dus (10) minute tak ka ehtiyat hota hai, usi hisaab se yeh log apney iftaar ka calender banatey hain. Is liye mein aam musalmanoon ko bakhabar karna chahta hun ke yeh sunnat ki mukhalifat hai balkay iftaar mein ehtiyat ko riwaaj dena bidat ka irtikaab hai. Sooraj doobtey hi hamein baghair ehtiyat kiye fauran iftaar karna chahiye.

Romanised By: Umar Asari

Hamara Facebook Page Like Karen:
Click Here

No comments:

Post a Comment