Friday, July 15, 2016

Ramadhan ul Mubarak Ke Kuch Ahkaam o Masaail (Part-3)

Ramadhan ul Mubarak Ke Kuch Ahkaam o Masaail (Part-3)



Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah

Sehri
Rozay ki sehat ke liye sehri khana zaroori nahi hai lekin sehri khana masnoon hai is liye sehri khana chahiye. Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka farmaan hai:
‏ تَسَحَّرُوا فَإِنَّ فِي السَّحُورِ بَرَكَةً ‏
Tarjumah: Sehri khاao kiyunkay sehri mein barkat hoti hai.
Sahih Bukhari: 1923 and Sahih Muslim: 1095

Aik doosri hadees mein Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya:
السُّحورُ أكلةُ بركةٍ فلا تدعوهُ ولو أن يَجرعَ أحدُكم جرعةَ ماءٍ فإنَّ اللهَ وملائكتَهُ يُصلُّونَ على المتسحِّرينَ
Tarjumah: Sehri tamam tar barkat hai lehaza is ko na choro khuwah tum mein se koi aik ghoont pani hi pi ley kiyunkay Allah Taala aur us ke farishtay sehri khanay walon par rehmat bhejtay hain.
Musnad Ahmad: 3/12 - 11101
! Allama Albani Rahimahullah ne is Hadees ko “Sahih al Jami’: 3683” mein Hasan qarar diya hai

¤ Sehri ki barkat se sunnat ki pairwi, Ahl e Kitaab ki mukhalifat, ibadat par quwwat, chusti mein izafah, bhook ki wajah se badkhalqi se najaat, sehar ke waqt sayel ko sadqa, zikr o dua aur niyat e roza ke asbaab or mawaqay miltey hain.
Hafiz Ibn e Hajar Rahimahullah ke Fatah ul Baari ke kalam ka ikhtesaar: 4/140

¤ Sehri khanay ki koi khaas dua nahi hai, sehri se pehlay bas rozay ki niyat karni hai agar raat mein niyat na ki ho to.

¤ Kuch log sehri nahi khatay, kuch log raat ka khana sehri samajh ke khatay hain aur kuch log aadhi raat mein uth ke khaa leney ko sehri samajhtey hain. In tamam tareeqon mein sehri ki sunnat mafqood (khatm) hai.

¤ Sehri ka waqt Fajr se kuch pehlay hai. Daleel:
عَنْ زَيْدِ بْنِ ثَابِتٍ ـ رضى الله عنه ـ قَالَ تَسَحَّرْنَا مَعَ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم ثُمَّ قَامَ إِلَى الصَّلاَةِ‏.‏ قُلْتُ كَمْ كَانَ بَيْنَ الأَذَانِ وَالسَّحُورِ قَالَ قَدْرُ خَمْسِينَ آيَةً‏.‏
Tarjumah: Sahabi e Rasool Zaid bin Sabit Radhiallahu Anhu bayan kartey hain ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke sath hum ne sehri khayi, phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam subah ki Namaz ke liye kharey huwe. Mein ne poocha ke sehri aur azaan mein kitna faasla hota tha to unhon ne kaha ke pachaas (50) Ayatein (parhney) ke muwafiq faasla hota tha.
Sahih Bukhari: 1921

¤ Agar kabhi sehri khatay khatay Fajr ki Azaan ho jaye to khana na chorey balkay plate ka khana saaf karley. Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka farmaan hai:
عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏ "‏ إِذَا سَمِعَ أَحَدُكُمُ النِّدَاءَ وَالإِنَاءُ عَلَى يَدِهِ فَلاَ يَضَعْهُ حَتَّى يَقْضِيَ حَاجَتَهُ مِنْهُ
Tarjumah: Tum mein se jab koi (Fajr) ki azaan suney aur bartan us ke haath mein ho to usay rakhey nahi balkey apni zaroorat poori karley.
Sunan Abi Daud: 2350
! Allama Albani Rahimahullah ne is Hadees ko sahih kaha hai.

Is mein do (2) baatein dhiyaan denay ke laiq hain.
Pehli: Is tareeqa ko mamool na banayen.
Doosri: Is hadees mein us azaan ka zikr hai jo sahih waqt par ho. Jin Masajid mein Fajr ki azaan sahih waqt par nahi hoti balkay takheer se hoti hai wo is hukm mein daakhil nahi.

¤ Sehri ke liye Taharat shart nahi is liye agar ehtelaam (wet dream) ho gaya ho ya jimaa (hambistri, sexual intercourse) kiya ho to is haalat mein sehri khaa saktey hain. Hazrat Aisha Radhiallahu Anha bayan karti hain:
قَالَتْ أَشْهَدُ عَلَى رَسُولِ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم إِنْ كَانَ لَيُصْبِحُ جُنُبًا مِنْ جِمَاعٍ غَيْرِ احْتِلاَمٍ، ثُمَّ يَصُومُهُ‏.‏
ثُمَّ دَخَلْنَا عَلَى أُمِّ سَلَمَةَ، فَقَالَتْ مِثْلَ ذَلِكَ.
Tarjumah: Mein gawaahi deti hun ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam subah junbi hone ki halat mein kartey ehtelaam (wet dream) ki wajah se nahi balkay jimaa (sexual intercourse) ki wajah se! Fir Aap rozay se rehtey (yaani gusl Fajr ki namaz se pahley sehri ka waqt nikal jaaney ke baad kartey). Uskey baad hum Hazrat Umme Salama Radhiallahu Anha ki khidmat mein hazir hue to Aap ne isi tarah Hadees bayan ki.
Sahih Bukhari: 1931and 1932

Subah hi ghusl karley taakay Fajr ki namaz jamaat se ada karey.

Romanised By: Umar Asari

Hamara Facebook Page Like Karen:
Click Here

No comments:

Post a Comment