Friday, July 08, 2016

Ramadhan ul Mubarak Ke Kuch Ahkaam o Masaail (Part-1)

Ramadhan ul Mubarak Ke Kuch Ahkaam o Masaail (Part-1)


Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah 

Rooiyyat e Hilal (Chand Ka Dekhna):
Islami ibadaat ka Rooiyyt e Hilal se gehra talluq hai khusoosan rozay ka. Roza rakhna, iftaar karna aur Eid manana sab qamri chaand par munhasir hain.
Allah Taala ka farmaan hai:
يَسْأَلُونَكَ عَنِ الْأَهِلَّةِ ۖ قُلْ هِيَ مَوَاقِيتُ لِلنَّاسِ وَالْحَجِّ ۗ
Tarjumah: Log aap se Chaand ke barey mein poochtey hain, Aap keh dijye ki yeh logon (ki ibadat) ke waqton aur hajj ke mausam ke liye hai…
Surah Baqarah  Surah No:2   Ayat No: 189

Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka irshad hai:
فَصُومُوا لِرُؤْيَتِهِ، وَأَفْطِرُوا لِرُؤْيَتِهِ، فَإِنْ أُغْمِيَ عَلَيْكُمْ فَاقْدِرُوا لَهُ ثَلَاثِينَ
Tarjumah: Chaand dekh kar roza rakho or chaand dekh kar roza khatm karo. Agar badli chaa jaaye to (Shabaan ke) Tees (30) din pooray karo.
(Sahih Muslim: 1080)

Is liye musalmanoon ko har mahina chaand dekhnay ka ehtimaam karna chahiye khusoosan ahem mahinay Ramadhan, Shawwaal, Zil Hijja waghera.

* Chaand dekhnay ki dua: 
اللَّهُمَّ أَهْلِلْهُ عَلَيْنَا بِالْيُمْنِ وَالْإِيمَانِ وَالسَّلَامَةِ وَالْإِسْلَامِ رَبِّي وَرَبُّكَ اللَّهُ
{(Sunan Tirmidhi: 3451) Allama Albani Rahimahullah ne Silsila As-Saheehah: 1816 mein isko sahih kaha hai}

* 29 ka chaand nazar na aaye to shabaan ke 30 din pooray kiye jaaney ke baad roza rakha jayega. Upar wali hadees is ki daleel hai.

* Har shakhs ka chaand dekhna zaroori nahi hai, kisi ilaqay mein aik aadil musalman ka chaand dekhna kaafi hai. Daleel:
عَنِ ابْنِ عُمَرَ، قَالَ: تَرَاءَى النَّاسُ الْهِلَالَ، فَأَخْبَرْتُ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ أَنِّي رَأَيْتُهُ، فَصَامَهُ، وَأَمَرَ النَّاسَ بِصِيَامِهِ
Tarjumah: Hazrat Ibne Umar Radhiallahu Anhuma kehtey hain ke logon ne chaand dekhney ki koshish ki (lekin unhein nazar na aaya) or mein ne Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ko khabar di ke mein ne chaand dekh liya hai, to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne khud bhi roza rakha aur logon ko bhi roza rakhnay ka hukm diya.
{(Sunan Abi Daud: 2342) Allama Albani Rahimahullah ne isko Sahih kaha hai}

* Aik shehar ki Rooiyyat (dekhna) qareebi un tamam shehar walon ke liye kaafi hogi jin ka matla’ aik ho. Matla’ ke ikhtelaaf se aik shehar ki rooiyyat dosray shehar ke liye nahi maani jayegi. Daleel:
عَنْ كُرَيْبٍ، أَنَّ أُمَّ الْفَضْلِ بِنْتَ الْحَارِثِ، بَعَثَتْهُ إِلَى مُعَاوِيَةَ بِالشَّامِ قَالَ فَقَدِمْتُ الشَّامَ فَقَضَيْتُ حَاجَتَهَا وَاسْتُهِلَّ عَلَىَّ رَمَضَانُ وَأَنَا بِالشَّامِ فَرَأَيْتُ الْهِلاَلَ لَيْلَةَ الْجُمُعَةِ ثُمَّ قَدِمْتُ الْمَدِينَةَ فِي آخِرِ الشَّهْرِ فَسَأَلَنِي عَبْدُ اللَّهِ بْنُ عَبَّاسٍ - رضى الله عنهما - ثُمَّ ذَكَرَ الْهِلاَلَ فَقَالَ مَتَى رَأَيْتُمُ الْهِلاَلَ فَقُلْتُ رَأَيْنَاهُ لَيْلَةَ الْجُمُعَةِ ‏.‏ فَقَالَ أَنْتَ رَأَيْتَهُ فَقُلْتُ نَعَمْ وَرَآهُ النَّاسُ وَصَامُوا وَصَامَ مُعَاوِيَةُ ‏.‏ فَقَالَ لَكِنَّا رَأَيْنَاهُ لَيْلَةَ السَّبْتِ فَلاَ نَزَالُ نَصُومُ حَتَّى نُكْمِلَ ثَلاَثِينَ أَوْ نَرَاهُ ‏.‏ فَقُلْتُ أَوَلاَ تَكْتَفِي بِرُؤْيَةِ مُعَاوِيَةَ وَصِيَامِهِ فَقَالَ لاَ هَكَذَا أَمَرَنَا رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم
Tarjumah: Hazrat Kuraib se riwayat hai ke Hazrat Umm ul Fazl Bint e Haris Radhiallahu Anha ne mujhey Hazrat Muaawiya Radhiallahu Anhu ki taraf mulk e Shaam bheja. Mein Shaam mein ponhcha to mein ne Hazrat Umm e Fazl Radhiallahu Anha ka kaam poora kiya. Aur wahein par Ramadhan ul Mubarak ka chaand zahir ho gaya. Aur mein ne Shaam mein hi fariday ki raat chaand dekha phir mein mahiney ke aakhir mein Madina aaya to Hazrat Ibn e Abbas Radhiallahu Anhuma ne chaand ka zikr kiya to mujhe poochney lagey ke tum ne chaand kab dekha hai? To  mein ne kaha ke hum ney friday ki raat chaand dekha hai. Phir farmaya! Tum ne khud dekha hai? mein ne kaha haan! aur logon ney bhi dekha hai aur unhon ne roza rakha Hazrat Mu’aawiya Radhiallahu Anhu ne bhi roza rakha.
Hazrat Ibn e Abbas Radhiallahu Anhuma ne kaha ki lekin hum ne to saturday ki raat chaand dekha hai, or saturday se Roza shuru kiya hai, ab chaand ho jaaney tak hum to tees (30) rozey poorey karengey ya yeh ki chaand nazar aa jaaye. Mein ne kaha ki kya Hazrat Mu’aawiya Radhiallahu Anhu ka chaand dekhna aur un ka roza rakhna kaafi nahi hai? Hazrat Ibn e Abbas Radhiallahu Anhuma ne kaha nahi! RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ney hamein isi tarah karney ka hukm farmaya hai.
(Sahih Muslim: 1087)
Yeh hadees Muslim, Tirmizi (693), Nasai (2111), Abu Daud (2332) waghera mein maujood hai, is hadees par Mohaddisen ke Abwab se baat aur bhi wazeh ho jati hai.

Sahih Muslim ka baab:
باب بَيَانِ أَنَّ لِكُلِّ بَلَدٍ رُؤْيَتَهُمْ وَأَنَّهُمْ إِذَا رَأَوْا الْهِلَالَ بِبَلَدٍ لَا يَثْبُتُ حُكْمُهُ لِمَا بَعُدَ عَنْهُمْ

Imam Tirmizi Rahimahullah ka baab:
باب مَا جَاءَ لِكُلِّ أَهْلِ بَلَدٍ رُؤْيَتُهُمْ ‏‏

Imam Nasai Rahimahullah ka baab :
باب اخْتِلاَفِ أَهْلِ الآفَاقِ فِي الرُّؤْيَةِ ‏‏

Imam Abu Daud Rahimahullah ka baab:
باب إِذَا رُؤِيَ الْهِلاَلُ فِي بَلَدٍ قَبْلَ الآخَرِينَ بِلَيْلَةٍ

* Print Media ya Electronic Media ke zariye chaand ki khabar panay par yeh tehqeeq karna zaroori hai ke khabar adil musalman ya qabil e aitmaad idaray ki taraf se hai ke nahi?

* Hindustan, Pakistan, Nepal aur Bangladesh waghera yani jis jis country mein Saudi arab se matla’ ka farq padta hai wahan ke log Saudi ke hisaab se na roza rakhengey or na hi Eid manayengey.

* Kuch ilaqey aisey hain jin mein 6 mahiney din or 6 mahiney raat hoti hai aisey mulk mein rehney waley log qareebi mulk ke hisaab se roza, iftaar or namaz ada karengey.

Romanised By: Umar Asari

No comments:

Post a Comment