Sunday, July 17, 2016

Ramadhan ul Mubarak Ke Kuch Ahkaam o Masaail (Part-7)

Ramadhan ul Mubarak Ke Kuch Ahkaam o Masaail (Part-7)


Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah 

Traweeh
Ramadhan mein qiyam karney ko qiyam e ramadhan kaha jata hai. Yeh wahi namaz hai jo deegar mahino mein qiyam ul lail aur tahajjud ke naam se jaani jati hai. Ramadhan mein aam taur se taraweeh ke naam se mash-hoor hai. Yeh nafl namaz hai is ka bohat ziyada sawab hai. Hadees mein hai:
عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم قَالَ: مَنْ قَامَ رَمَضَانَ إِيمَانًا وَاحْتِسَابًا غُفِرَ لَهُ مَا تَقَدَّمَ مِنْ ذَنْبِهِ ‏
Tarjumah: Hazrat Abu Hurairah Radhiallahu Anhu se riwayat hai ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: Jis ne ramadhan ki raton mein qiyaam kiya, imaan aur sawab ki niyat ke saath, us ke pichley tamam gunah maaf ho jayengey.
Sahih Muslim: 759

¤ Taraweeh ki masnoon rakat aath (8) hain, is ki sab se badi daleel Hazrat Aisha Radhiallahu Anha ki Hadees hai jo Bukhari Shareef mein hai:
عَنْ أَبِي سَلَمَةَ بْنِ عَبْدِ الرَّحْمَنِ، أَنَّهُ سَأَلَ عَائِشَةَ ـ رضى الله عنها ـ كَيْفَ كَانَتْ صَلاَةُ رَسُولِ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم فِي رَمَضَانَ فَقَالَتْ مَا كَانَ يَزِيدُ فِي رَمَضَانَ، وَلاَ فِي غَيْرِهَا عَلَى إِحْدَى عَشْرَةَ رَكْعَةً، يُصَلِّي أَرْبَعًا فَلاَ تَسَلْ عَنْ حُسْنِهِنَّ وَطُولِهِنَّ، ثُمَّ يُصَلِّي أَرْبَعًا فَلاَ تَسَلْ عَنْ حُسْنِهِنَّ وَطُولِهِنَّ، ثُمَّ يُصَلِّي ثَلاَثًا‏.‏
Tarjumah: Abu Salamah bin Abdurrehman ne Hazrat Aisha Radhiallahu Anha se poocha ki RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ki raat ki namaz ramadhan mein kaisi thi. Unhon ne jawab diya ke ramadhan mein aur us ke alawah dono mein giyarah (11) rakaaton se ziyada na padhtey they. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam pehli Chaar (4) rakatein padhtey, tum un ke husn o khoobi or tool (lambaai) ka haal na poocho. Phir chaar (4) rakatein padhtey un ke bhi husn o khoobi aur tool (lambai) ka haal na poocho. Phir teen (3) rakatein (witr) padhtey they.
Sahih Bukhari: 2013

‼Is Hadees par kuch aitraazat ka jawab‼

Aitraaz: Yeh tahajjud ki namaz hai taraweeh ki nahi.
Jawaab: Tahajjud aur taraweeh aik hi namaz ke do alag alag naam hain.

Aitraaz: Taraweeh aur tahajjud do alag alag namazein hain.
Jawaab: Yeh dono aik hi namazein hain jo ke Hadees mein hi mazkoor hai ke ramadhan ya ghair ramadhan mein Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ka qiyam aath (8) rakat ka howa karta tha. Agar yeh tahajjud ki namaz maan li jaye to phir yeh maanna padeyga ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne dobarah taraweeh alag se padhi jis ki koi daleel nahi. Aur Sahaba e Kiraam Radhiallahu Anhum jab chouthay roz (4th day) bajmaat taraweeh ke liye jama hue aur Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam nahi niklay to Sahaba dobara doosray qiyam ke waqt phir atay magar unhon ne aisa nahi kya?

Mash-hoor Hanfi Alim Moulana Anwar Shah Kashmiri ne bhi tahajjud aur traweeh ko aik hi namaz tasleem kiya hai. (dekhen : Al-Arf uz Shazzi: 309)

Aitraaz: Agar yeh taraweeh ki namaz hai to do do kiyun parhtey hain, is hadees mein to char char ka zikr hai?
Jawaab: Is Hadees mein chaar chaar rakat ki sifat batai gai hai na ke chaar rakat par salam phairnay ka. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam do do karkay hi qiyam kartey they jis ke bohat se dalail hain.
Pehli Daleel:
عَنْ عَائِشَةَ، زَوْجِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم قَالَتْ كَانَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم يُصَلِّي فِيمَا بَيْنَ أَنْ يَفْرُغَ مِنْ صَلاَةِ الْعِشَاءِ - وَهِيَ الَّتِي يَدْعُو النَّاسُ الْعَتَمَةَ - إِلَى الْفَجْرِ إِحْدَى عَشْرَةَ رَكْعَةً يُسَلِّمُ بَيْنَ كُلِّ رَكْعَتَيْنِ وَيُوتِرُ بِوَاحِدَةٍ
Tarjumah: Hazrat Aisha Radhiallahu Anha se riwayat hai wo kehti hain ki RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Isha ki namaz se (jisey log atamah kehtey hain) farigh honay ke baad se subah tak giyarah (11) rak’aat padhtey they, Aap har do rakat par salam phertey they aur witr aik padhtey they.
Sahih Muslim: 736

Doosri Daleel:
صَلاَةُ اللَّيْلِ مَثْنَى مَثْنَى، فَإِذَا خَشِيَ أَحَدُكُمُ الصُّبْحَ صَلَّى رَكْعَةً وَاحِدَةً، تُوتِرُ لَهُ مَا قَدْ صَلَّى
Tarjumah: Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka farman hai: Raat ki namaz do do rakat hai, fir jab koi subah ho janey se darey to aik rakat padh ley, wo uski saari namaz ko taaq bana degi.
Sahih Bukhari: 990 and Sahih Muslim: 749

¤ Taraweeh ki namaz akeley aur bajmaat dono padhna sahih hai.

¤ Mard imam ke peechay sirf aurton ka taraweeh padhna bhi jayez hai.

¤ Taraweeh masjid aur ghar dono jagah padhi jaa sakti hai.

¤ Taraweeh mein zaroorat ke waqt Quran uthana aur dekh kar padhna dono jayez hai.

¤ Taraweeh mein quran complete karna zaroori nahi hai Albatta complete karey to behtar hai Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ramadhan mein mukammal quran ka dora kartey they.

¤ Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki taraf mansoob bees (20) rakat taraweeh wali koi riwayat sahih nahi hai.

‼Do ghalatfehmiyon ka izaala‼

Pehli ghalatfehmi: Logon ke darmiyan yeh ghalatfehmi phaili hai ke Hazrat Umar Radhiallahu Anhu ne logon ko bees (20) rakat taraweeh par jama kia jabkay Hazrat Umar Radhiallahu Anhu se mutalliq bees rakat wali hadees zaeef hai aur sahih hadees ke mukhalif hai. Durust baat yahi hai ke Hazrat Umar Radhiallahu Anhu ne Ubai bin Ka’ab aur Tamim Daari ko giyarah (11) rak’aat padhanay ka hukm diya tha jo sahih sanad se saabit hai:
عَنِ السَّائِبِ بْنِ يَزِيدَ، أَنَّهُ قَالَ أَمَرَ عُمَرُ بْنُ الْخَطَّابِ أُبَىَّ بْنَ كَعْبٍ وَتَمِيمًا الدَّارِيَّ أَنْ يَقُومَا، لِلنَّاسِ بِإِحْدَى عَشْرَةَ رَكْعَةً
Tarjumah: Sa’ib bin Yazeed se riwayat hai wo kehtey hain ki Hazrat Umar bin Khattaab Radhiallahu Anhu ne Ubai bin Ka’ab aur Tamim Ad-daari ko hukm diya tha ke wo logon ko giyarah (11) rak’aat padhaya karen.
Tohfat ul Ahwazi: 3/234 and Mu’atta Imam Malik: Book 6, Hadith 4
! Sheikh Albani Rahimahullah ne “Mishkaat”, “Irwa ul Ghaleel”, “Tamam ul Minnah” aur “Salat ul Taraweeh” mein, Sheikh Ibn e Uthaimeen Rahimahullah ne “Buloogh ul Maraam” aur “Riyadh us Saliheen” ki sharah mein, Allamah Mubarakpoori Rahimahullah ne “Tohfat ul Ahwazi” mein is Hadees ki sanad ko Sahih bataya hai.

Goya Hazrat Umar Radhiallahu Anhu se bhi giyarah (11) rak’aat par hi logon ka jama karna saabit hota hai aur yahi baat Bukhari Shareef mein mazkoor Aisha Radhiallahu Anha ke bayan ke muwafiq hai.

Doosri ghalatfehmi: Agar sunnat taraweeh aath (8) rak’aat hai to Haram Shareef mein bees (20) rak’aat taraweeh kiyun padhai jaati hai ?
Asal mein Haram aalmi (international) jagah hai, yahan kisi zamaney mein chaar (4) musalley huwa kartey they, “Aal e Sa’ood” ne Alhamdulillah aik musalley qayem karkay fitnah khatm kiya. Taraweeh bhi logon ke liye ikhtilaaf ka sabab thi is liye maslehat ko dekhtey huwe bees (20) rak’aat rakhi gayin. Is ke liye do imam ka intikhab kiya gaya aik imam dus (10) padha kar chalay jatay hain aur alag se akeley aik rakat witar padhtey hain jis se giyarah (11) rak’aat ki sunnat poori ho jati hai. Yahi haal doosray imam ka bhi hai (means wo bhi isi tarah kartey hain). Is tarah se na sirf fitnah khatm ho gaya balki imam ko giyarah (11) giyarah (11) rak’aat padhnay aur door daraaz se late aanay walon ko jis qadar mayassar ho padhnay ka mauqa mil gaya. Haram ke alawah Saudi Arab ki aksar Masjidon mein sirf aath (8) rakat taraweeh hoti hai kiyunkay arab ke ulama ka yahi mauqif aur fatwa hai. Chunancha “Saudi Lajna Daima” ka fatwa hai:
والأفضل ما کان النبیﷺ یفعله غالبًا وھو أن یقوم بثمان رکعات یسلم من کل رکعتین، ویوتر بثلاث مع الخشوع والطمأنینة وترتیل القراء ة، لما ثبت فی الصحیحین من عائشة رضی اﷲ عنھا قالت: کان رسول اﷲ ﷺ لا یزید فی رمضان ولا فی غیرہ علی إحدٰی عشرة رکعة...
Tarjumah: Aur afzal woh hai jo Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam aksar o beshtar karte they, aur woh yeh ke insaan aath (8) rakat padhay, aur har do rakat ke baad salam phairey, phir teen (3) witr ada karey aur poori namaz mein Khashoo, itminan aur tarteel e quran malhooz rakhey. Bukhari o Muslim mein Hazrat Aisha Radhiallahu Anha se marwi hai ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ramadhan aur deegar mahino mein giyarah (11) rak’aat se ziyada nahi padhtey they.
Fatawa Al-Lajnah Ad-Daymah: 7/212
! Yahi fatwa Sheikh Ibn e Baaz, Sheikh Ibn e Uthaimeen aur arab ke deegar muftiyon ka hai. 

Allah Taala se dua hai ke hamein sunnat ko samajhney aur us ke mutabiq amal karney ki taufeeq ata farmaaye. Aameeen.

Romanised By: Umar Asari

Hamara Facebook Page Like Karen:
Click Here

No comments:

Post a Comment