Saturday, February 13, 2016

Namaz Mein Padhi Jane Wali Duayen

بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

⚫Namaz Mein Padhi Jane Wali Duayen⚫

🔹PART 1🔹

🔘Dua e Sana🔘
1⃣Hazrat Abu Huraira Radhiallahu Anhu riwayat karte hain ke Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Takbeer (Phli Takbeer) aur Qirat ke darmiyan kuch der chup rehte.
Pas main ne kaha: Mere maan baap aap par qurban, aye Allah ke Rasool Allah( Sallallahu alaihi wasallam) ! Aap Takbeer aur qirat ke darmiyan Khamosh reh kar kya padhte hain?
Aap ne farmaya! Main ye padhta hun:👇
اَللَّهُمَّ بَاعِدْ بَيْنِي وَبَيْنَ خَطَايَايَ كَمَا بَاعَدْتَّ بَيْنَ الْمَشْرِقِ وَالْمَغْرِبِ أَللَّهُمَّ نَقِّنِيْ مِنَ الْخَطَايَا كَمَا يُنَقَّى الثَّوْبُ الْأَبْيَضُ مِنَ الدَّنَسِ أَللَّهُمَّ اغْسِلْ خَطَايَايَ بِالْمَاءِ وَالثَّلْجِ وَالْبَرَدِ
Allahumma Ba'id Bainee wa Baina Khataya‐ya Kmaa Baa‐’atta Bainal Mashriqi wal Maghribi, Allahumma Naqqini minal khataaya Kmaa Younaqqath Thaubul Ab yazu Minad Danasi, Allahummaghsil Khataya‐ya Bil Maae wath Thalji wal
Baradi.
Tarjumah👉🏻:Ya Allah! Mere aur mere gunahon ke darmiyan doori dal de jaise tune mashriq aur maghrib ke darmiyan doori rakhi hai. Aye Allah! Mujhe gunahon se is tarha paak kar jaisa ke safed kapda mail(Gandagi)se paak kiya jata hai, Aye Allah! Mere gunahon ko (apni
bakhshish ke) paani, barf aur aulon se dho daal.
(Bukhari:744 – Muslim:598)
2⃣Rasool Allah Sallallahu alaihi wasallam ke Peeche Namaz Mein Ek Shakhs Ne Kaha: 👇
اَللَّهُ أَكْبَرُ كَبِيْرًا وَالْحَمْدُ لِلَّهِ كَثِيرًا وَسُبْحَانَ اللَّهِ بُكْرَةً وَأَصِيْلًا
Allahu Akbar Kabeera wal- Hamdulillahi Katheera wa Sub-hanallahi Bukratau’n wa Aseela.
Tarjumah👉🏻:Allah sab se bada hai, bahot bada, saari tareef Uski hai. Wo (har aib se) paak hai. Subha aur sham ham Uski paaki bayan karte
hain.
Ye sun kar Rasool Allah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ke: ‘Is ke liye asmaan ke darwaze khol diey gye hain’
Ibne Umar Radhiallahu anhuma ne farmaya: Jab se main ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam se ye baat suni hai main ne in kalimat ko kabhi nahi chora.
(Muslim: 601)
3⃣
سُبْحَانَكَ أللَّهُمَّ وَبِحَمْدِكَ وَ تَبَارَكَ اسْمُكَ وَتَعَالَى جَدُّكَ وَلاَ إِلَهَ غَيْرُكَ
Subhanaka Allahumma wa Bihamdika wa Tabarakasmuka wa Ta’ala Jadduka walaa ilaaha Ghairuka .
Tarjumah👉🏻:Aye Allah tu paak hai, (hum) teri ta’areef ke sath (teri paaki bayan karte hain) tera nam (bada hi) baa‐barkat hai, teri buzrugi
buland hai, tere siwa koi mabood nahi.
(Tirmizee:243 – Sunan Abi Dawood: 776 – Ibne Maja:806)Ise Imam Haakim V1 P235 aur Hafiz Zahabi ne Saheeh kaha.

⛔In Teeno Duaon Mein se Koi Bhi Dua Aap Padh Skte Hain.



🔹PART 2🔹

⭕Dua e Sana Ke Bad Auzoobillah( أعوذ بالله من الشيطان الرجيم)  or Bismillah( بسم الله الرحمان الرحيم ) Poora Padhen Fir Ruku Mein Chale Jayen.

🔘Ruku Mein Padhi Jane Wali Duayen🔘
1⃣Hazrat Huzaifa Radhiallahu Anhu farmate hain ke Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ruku mein farmate:👇
سُبْحَانَ ربِّيَ الْعَظِيْمِ
Subhaana Rabbaiyal Azeem.
Tarjumah 👉🏻:Mera
Rab Azeem (Har Aeb Se) Paak hai.
(Muslim:772)
👆Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ye kalimaat 3 dafa(3 Times) kehte the.
(Ibne Maja 888 Imam Ibne Hibban Ne Sahih Kaha Hai)
2⃣Ayesha Radhiallahu Anha kehti hain ke Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam apne ruku aur sajde mein aksar kehte the:👇
سُبْحَانَكَ اَللَّهُمَّ رَبَّنَا وَبِحَمْدِكَ، اَللَّهُمَّ اغْفِرْ لِيْ
Subhanaka Allahumma Rabbana wa Bihamdika Allahumaghfirli
Tarjumah 👉🏻:Aye hamare
parwardigar Allah! Tu paak hai, ham teri taareef bayan karte hain, Ya ilaahi mujhe baksh de.
(Bukhari:794 – Muslim:484)
3⃣Ayesha Radhiallahu anha riwayat karti hain ke Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam apne ruku aur sajde mein kehte the:👇
سُبُّوْحٌ قُدُّوْسٌ، ربُّ الْمَلاَئِكَةِ وَالرُّوْحِ
Subbuhun Quddusun Rabbul Malaa ekati war Rooh
Tarjumah 👉🏻:Farishto’n aur ruh (Jibraeel) ka parwardigar nihayat paak hai.
(Muslim:487)
4⃣Hazrat Auf bin Maalik Radhiallahu anhu riwayat karte hain ke Rasool Allah Sallallahu alaihi wasallam apne ruku mein kehte the: 👇
سُبْحَانَ ذِيْ الْجَبَرُوْتِ والملَكوتِ وَالْكِبْرِيَاءِ وَالْعَظْمَةِ
Subhana Zil Jabrooti wal Malakuti wal Kibriyaae wal azmati
Tarjumah 👉🏻:Qaher (galbe) baadshahi, badaai aur buzrugi ka maalik Allah (nihayat hi) paak hai.
(Abu Dawood:873. Hadees Sahih Hai)

⛔In Duaon Ke Alawah Bhi Duayen Milti Hain Jinko Nabi Sallallahu alaihi wasallam Padhte The. Aap In Duaon Mein Se Koi Bhi Dua Padh Skte Hain.



🔹PART 3🔹

✳Qaumah(قومہ)Kise Kahte Hain❓👇🏾👇👇🏽

🔶Ruku Ke Baad Itmenan Se Seedhe Khade Hone Ko QAUMAH Kehte Hain. Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ruku Se Sar Utha Kar Seedhe Khade Hokar Bade Itmenan Se Qaume Ki Dua Padhte The.
🔶Ruku Se Sar Uthate Hue Ye Kahen 👇👇🏽
سَمِعَ اللَّهُ لِمَنْ حَمِدَه
Sami' Allahu Liman Hameedah
Tarjumah👉🏻:Allah Ne Uski Sunli Jis Ne Uski Taareef Ki.
(Bukhari:735—Muslim:865)
🔘Qaumah Ki Duayen🔘

Ruku Ke Bad Jab Sedhee Khade Ho Kar In Duaon Mein Se Koi Bhi Dua Padhen:👇🏽👇👇🏾
1⃣
اَللَّهُمَّ رَبَّنَا وَلَكَ الْحَمْدُ
Allahumma Rabbana wa Lakal Hamadu
Tarjumah👉🏻:Aye Allah, Aye Hamare Rabb! Tere Hi Waaste Ta’areef Hai.
(Bukahri:796–Muslim:40
⛔Is 👆Alawah Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Se

🔹رَبَّنَا وَلَكَ الْحَمْدُ
Rabbana Wa Lakal Hamd

🔹رَبَّنَا لَكَ الْحَمْدُ
Rabbana Lakal Hamd
Bhi Sabit Hai.

(Allamah Albani Rahimahullah Ki Book Sifato Salatin Nabi:Page:135)

2⃣
رَبَّنَا وَلَكَ الْحَمْدُ، حَمْدًا كَثِيرًا طَيِّبًا مُبَارَكًا فِيْهِ
Rabbana wa Lakal Hamadu Hamdan Kaseeran Tayyiban Mubaarakan Feeh
(Bukhari:799)
3⃣
سَمِعَ اللَّهُ لِمَنْ حَمِدَهُ اللَّهُمَّ رَبَّنَا لَكَ الْحَمْدُ مِلْءَ السَّمَوَاتِ وَمِلْءَ الأَرْضِ وَمِلْءَ مَا شِئْتَ مِنْ شَىْءٍ بَعْدُ ‏"‏ ‏.‏
Sami’Allahu
liman Hamidahu, Allahumma Rabbana Lakal Hamdu mil as Samaawaati wa mil al Arzi wa mil a maa Shita min Shai‐in ba’adu.
Tarjumah👉🏻:Allah ne sun lee Us (bande) ki baat jis ne Us ki ta’areef ki aye hamare Allah! Tere hi liye saari ta’areef hai aasmano’n, zameen
aur Iske Bad har Us cheez ke bharao(بھراؤ) ke baraabar jo tu caahe’. (Muslim:476)

⛔In Duaon Ke Alawah Bhi Duayen Milti Hain Jinko Nabi Sallallahu alaihi wasallam Padhte The.(Aap Sahih Muslim Hadees No:476 and 477 Se Un Duaon Ko Hasil Kar Sakte Hain.)

Aap In Duaon Mein Se Koi Bhi Dua Padh Skte Hain.


🔹PART 4🔹

🔘Sajde Ki Duayen🔘

1⃣Huzaifa Radhiallahu Anhu Riwayat Karte Hain Ke Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Sajde mein (ye dua) padhte:👇🏾👇🏽👇
سُبْحَانَ رَبِّيَ الأعْلَى
Subhaana Rabbiyal A’alaa
Tarjumah👉🏻:Mera Buland Parwardigaar (har a’aib se) paak hai.
(Muslim:772) (A’aib means defect)
👆Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ye Kalimaat 3 Dafa (3 Times)kehte the (Ibne Maja 888)
2⃣Ayesha Radhiallahu Anha kehti hain ke Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam apne ruku aur sajde mein aksar kehte the:👇
سُبْحَانَكَ اَللَّهُمَّ رَبَّنَا وَبِحَمْدِكَ، اَللَّهُمَّ اغْفِرْ لِيْ
Subhanaka Allahumma Rabbana wa Bihamdika Allahumaghfirli
Tarjumah 👉🏻:Aye hamare
parwardigar Allah! Tu paak hai, ham teri taareef bayan karte hain, Ya ilaahi mujhe baksh de.
(Bukhari:794 – Muslim:484)
3⃣Ayesha Radhiallahu anha riwayat karti hain ke Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam apne ruku aur sajde mein kehte the:👇
سُبُّوْحٌ قُدُّوْسٌ، ربُّ الْمَلاَئِكَةِ وَالرُّوْحِ
Subbuhun Quddusun Rabbul Malaa ekati war Rooh
Tarjumah 👉🏻:Farishto’n aur ruh (Jibraeel) ka parwardigar nihayat paak hai.
(Muslim:487)

⛔Or Bhi Kai Duayen Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Se Sabit Hain. Aap In Sab Duaon Mein Se Koi Si Bhi Dua Padh Skte Hain.


🔹PART 5🔹

✳Jalsah Kise Kahte Hain❓👇🏽👇👇🏾

🔶Do Sajdon Ke Darmiyan Baithne Ko Jalsa Kahte hain.

🔘Jalse Ki Masnoon Duayen🔘
1⃣Ibne Abbas Radhiallahu Anhuma riwayat karte hain ke Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam dono’n sajdo’n ke darmiyan (ye) padhte: 👇🏽👇🏾👇
اَللَّهُمَّ اغْفِرْ لِيْ وَارْحَمْنِيْ وَعَافِنِيْ وَاهْدِنِيْ وَارْزُقْنِيْ
‘Allahummagh Firlee war Hamni wa A’afinee wahdini war Zuqni’
Tarjumah👉🏻:Aey Allah! Mujhe Baksh De, Mujh Par Raham Farma,
Mujhe Aafiyat Se Rakh, Mujhe Hidayat De, aur Mujhe Rozi A’ata Kar. (Abu Dawood: al Salah 850—Tirmizee: al Salah 284) Ise
Imam Haakim, Imam Zahabi aur Imam Nawawi ne Saheeh kaha.
🔺Tirmizi Ke Alfaaz Kuch Is Tarah Hain:👇🏾👇🏽👇
اَللَّهُمَّ اغْفِرْ لِيْ وَارْحَمْنِيْ وَاجْبُرْنِيْ وَاهْدِنِيْ وَارْزُقْنِيْ
‘Allahummagh Firlee war Hamni wajburnee wahdini war Zuqni’
Tarjumah👉🏻:Aey Allah! Mujhe Baksh De, Mujh Par Raham Farma,
Mera Nuqsaan poora Karde, Mujhe Hidayat De, aur Mujhe Rozi Ata Kar.
(👆Ye Hadees Hasan Hai. Imam Nawavi Rahimahullah Ne Iski Sanad Ko Jayyid Kaha Hai).
2⃣Hazrat Huzaifa Radhiallahu Anhu riwayat karte Hain Ki Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam donon sajdon ke darmiyan padha karte the:👇🏽👇🏾👇
رَبِّ اغْفِرْ لِيْ ، رَبِّ اغْفِرْ لِيْ
Rabbigh Firlee Rabbigh
Firlee
Tarjumah👉🏻:Aey Mere Rab Mujhe Maaf Farma, Aey Mere Rab Mujhe Maaf Farma.
(Abu Dawood:874–Ibne Majah 897) Imam Haakim V1 P271 aur Imam Zahabi ne Saheeh kaha.

⛔Iske Alawah Bhi Kuch Duayen Uper Zikr Ki Gai Duaon Se Milti Julti Zikr Ki Jati Hain Lekin Unke Alfaaz Zara Alag Hain.


🔹PART 6🔹

🔘Pahle Tasha-hhud Ki Duayen🔘
👆Isko Darmiyani Tasha-hhud Bhi Kahte Hain.

💠Abdullah bin Masood Radhiallahu Anhu se riwayat hai ke Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: ‘Jab tum namaz mein (Qade<قعدہ> ke liye) baitho to ye padho:👇🏾👇
اَلتَّحِيَّاتُ لِلَّهِ وَالصَّلَوَاتُ وَالطَّيِّبَاتُ اَلسَّلاَمُ عَلَيْكَ أَيُّهَا النَّبِيُّ وَرَحْمَةُ اللَّهِ وَبَرَكَاتُهُ السَّلاَمُ عَلَيْنَا وَعَلَى عِبَادِ اللَّهِ الصَّالِحِينَ أَشْهَدُ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُوْلُهُ
Attahiyyatu Lillahi was Salawatu wat Tayyabaatu, Assalamu Alaika Ayyuhan Nabiyyu wa Rahmatullahi wa Barakatuhu,
Assalamu Alaina wa Ala Ibaadillahis Saaliheen, Ash-hadu alla ilaaha illallahu, wa Ash-hadu Anna Muhammadan Abduhu wa Rasuluhu.
Tarjumah👉🏻:(Meri Saari) Qauli,Badani aur Maali Ibaadat Sirf Allah Ke Liye Khaas Hai. Aey Nabi Aap par Allah Taala Ki Rahmat, Salamati aur Barkatein Hon aur Ham par aur Allah ke (Doosre) Nek Bandon par (bhi) Salaamati ho, Main Gawahi Deta Hun ke
Allah Ke Siwa Koi (Saccha) Maabood Nahi Hai aur Main Gawahi Deta Ho Ke Muhammad( Sallallahu Alaihi Wasallam) Allah Ke Bande Aur Rasool Hain.
(Bukhari:831–Muslim:402)


💠Rasool Allah Sallallahu alaihi wasallam darmiyani tasha‐hhud se farigh hokar khade hojate the.
(Musnad Imam Ahmad V1 P 459, 4382) Iski sanad Saheeh hai. Lehaza darmiyan tasha‐hhud mein sirf tasha‐hhud kaafi hai.

💠Tasha-hhud Ke Alawah Nabi Sallallahu alaihi wasallam Se Darmiyani Tasha-hhud Me Darood Padhna Bhi Sabit Hai.
(Nasai:1723)Hadees Sahih Hai.


🔹PART 7🔹

🔘Akhiri Tashah-hud Ki Duayen🔘
Jab Aap Is Tashah-hud Mein Baithein To Pahle Attahiyyat padhein jis Tarha Doosri rakat padh kar aapne Pahle Tashah-hud Mein Padhi Thi. Pichle Part(Part 6)Mein Iska Bayan Guzar Chuka Hai.
💠Attahiyyat Khatam Karke Darood e Ibraheemi Padhein👇👇🏾👇🏽
اَللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ، وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ، كَمَا صَلَّيْتَ عَلَى إِبْرَاهِيمَ، وَعَلَى آلِ إِبْرَاهِيمَ، إِنَّكَ حَمِيدٌ مَجِيدٌ

اَللَّهُمَّ بَارِكْ عَلَى مُحَمَّدٍ، وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ، كَمَا بَارَكْتَ عَلَى إِبْرَاهِيم َوَعَلَى آلِ إِبْرَاهِيمَ، إِنَّكَ حَمِيدٌ مَجِيدٌ

Allahumma Sallai Alaa Muhammadin wa Alaa Aali Muhammadin Kama Sallaita Alaa Ibraheema wa Ala Aali Ibrahima
Innaka Hameedum Majeed. Allahumma Baarik Ala Muhammadin wa Alaa Aali Muhammadin Kama Baarakta Alaa
Ibraheema wa Ala Aali Ibrahima Innaka Hameedum Majeed
Tarjumah👉🏻:Ya Ilaahi Rahmat Farma Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam aur Aale Muhammad Par Jis Tarha Tune Rahmat Farmai Ibraheem Alaihissalam Aur Aale Ibraheem Par Beshak To Taareef Wala Aur Buzrugi Wala Hai. Ya Ilaahi Barkat Farma Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam Aur Aale Muhammad Par Jis Tarha Tune barkat Farmai Ibraheem Alaihissalam aur Aale Ibraheem Par
Beshak To Taareef Wala Aur Buzrugi Wala Hai.
(Bukhari:3370–Muslim: 406)

🔘Darood Ke Baad Ki Duayen🔘
1⃣Ummul Momineen Hazrat Aaisha Radhiallahu Anha Kehti Hain Ke Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Namaz Mein (Aakhri Qaede<Tashah-hud>Mein) Youn Dua Farmate The:👇🏾👇🏽👇
اَللَّهُمَّ إِنِّيْ أَعُوْذُ بِكَ مِنْ عَذَابِ القَبْرِ، وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ فِتْنَةِ المَسِيحِ الدَّجَّالِ، وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ فِتْنَةِ المَحْيَا، وَفِتْنَةِ المَمَاتِ، اَللَّهُمَّ إِنِّيْ أَعُوذُ بِكَ مِنَ المَأْثَمِ وَالمَغْرَمِ
‘Allahumma Inni A’auzu Bika Min Azabil Qabri wa A’auzu Bika min Fitnatil Maseehid Dajjal wa A’auzu bika min Fitnatil
Mahya wal Mamaati Allahumma Inni A’auzu Bika Minal Ma,thami wal Maghrami’
Tarjumah👉🏻:Ya Ilaahi! Main Teri Panah Mein Aata Hun Azaab e Qabr Se Aur Teri Panah Mein Aata Hun Dajjal Ke Fitne Se Aur Teri Panah Mein Aata hun Maut o Hayaat Ke Fitne Se, Yaa Ilaahi Main Gunah Se Aur Qarz Se Teri Panah Maangta Hun.
(Bukhari:832–Muslim:589)
2⃣Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ke Tashah‐hud Mein 4 Cheezon Se Allah Taala Ki Panah Zaroor Talab Karo, Wo Ye Hain:👇🏽👇🏾👇
اَللَّهُمَّ إِنِّيْ أَعُوْذُ بِكَ مِنْ عَذَابِ جَهَنَّمَ ، وَمِنْ عَذَابِ الْقَبْرِ ، وَمِنْ فِتْنَةِ الْمَحْيَا وَالْمَمَاتِ ، وَمِنْ شَرِّ فِتْنَةِ الْمَسِيحِ الدَّجَّالِ
‘Allahumma Inni A’auzu bika Min Azabi Jahannama Wa Min Azabil Qabri wa Min Fitnatil Mahyaa wal Mamaati wa Min
Sharri Fitnatil Maseehid Dajjal’
Tarjumah👉🏻:Aye Allah! Main Jahannam Aur Qabron Ke Azab Se, Maut o Hayaat Ke Fitne aur Maseeh Dajjal
Ke Shar Se Teri Panah Maangta Hun.
(Muslim: 588)
🔺Nabi e Rahmat  Sallallahu Alaihi Wasallam Ye Dua Sahaaba Kiraam ko Is Tarha Sikhate Jaisa ke Unhein Quran ki Suratein Sikhate The.
(Muslim: 590)
Lehaza Ise👆🏻👆🏼Zrur Padhne Ki Koshish Krni Chahiye.
2⃣Hazrat Abu Bakr Siddiq Radhiallahu Anhu Riwayat Karte Hain Ke Main Ne Kaha, Ya Rasool Allah! Namaz Mein Maangne Ke Liye Mujhe (Koi) Dua Sikhaiye(Ke Mein Use Attahiyyat Aur Darood Ke Baad Padha Karun) To Aap Ne Farmaya! (Ye Dua)Padho:👇👇🏾👇🏽
اَللَّهُمَّ إِنِّيْ ظَلَمْتُ نَفْسِيْ ظُلْمًا كَثِيرًا، وَلاَ يَغْفِرُ الذُّنُوْبَ إِلَّا أَنْتَ، فَاغْفِرْ لِيْ مَغْفِرَةً مِنْ عِنْدِكَ، وَارْحَمْنِيْ إِنَّكَ أَنْتَ الْغَفُوْرُ الرَّحِيْمُ
‘Allahumma Inni Zalamtu Nafsi Zulman Katheerawn walaa Yaghfiruzzunooba illa Anta Faghfirli Maghfiratam Min indika
war hamni Innaka Antal Ghafoor ur Raheem’
Tarjumah👉🏻:Ya Ilaahi! Bilaa Shuba Maine Apni Jaan Par Bahot Ziyada Zulm Kiya Hai. Aur Tere
Siwa Gunahon Ko Koi Nahi Baksh Sakta, Pas Apni Janab Se Mujhko Baksh De Aur Mujh Par Raham Kar, Be Shak Tu hi Bakhashne Wala Maherban Hai.
(Bukhari:834–Muslim:2705)

⛔In Duaon Ke Alawah Bhi Duayen Milti Hain Jinko Nabi Sallallahu alaihi wasallam Padhte The. Aap In Duaon Mein Se Koi Bhi Dua Padh Skte Hain.

🔚Masha Allah, Allah Ke Fazl o Karam Se Namaz Mein Padhi Jane Wali Duaon Ka Silsila Complete Hua.

♻Allah Hamein Neak Aamal Ki Taufeeq Ata Farmaye Or Ek Sachcha Musalmaan Banaye.
Aameen.
Dua Ki Guzarish Hai.

2 comments:

  1. Assalamualikum wa rehmatullahi wa barakatathu,Jazak Allah for this,please help me with dua e qunoot and dua e nazila,which we should say while in witr,with sahih refrences

    ReplyDelete